Mujhe tum nazar se gira toh rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula naa sakoge.....
Naa jane mujhe kyun yakeen ho chala hai
Mere pyar ko tum mitaa naa sakoge.....
Meri yaad hogi jidhar jaoge tum
Kabhi nagma banke
Kabhi banke aansu
Tadapta hua mujhe har taraf paoge tum
Shama jo jalayi hai meri wafa ne
Bujhana bhi chaho
Par bujha naa sakoge.....!