👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gayeo jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gayegham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gayekya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gayejaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gayekya kya tavaqqoat thi aahoN se ai 'Khumar'
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye