i'll try some too...
Khuli ankhon ka nazara hi ajeeb tha
Jinke liye hum roz karte the dua woh kissi aur ka naseeb tha
Zara dekheyi to humari bad naseebi
Ghar bhi jalta raha aur samunder bhi kareeb tha.
Unki mohabbat ka nishan abhi baki hai,
Naam lab par jaan abhi baki ahi,
Kya hua jo dekh kar muh pher lete hain,
Tasalli hai chere ki pehchan abhi baki hai.
Laut jati hai duniya gum humara dekh kar,
Jaise laut jati ain lehrein kinara dekh kar,
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahin phir zinda na ho jaoon tera sahara dekh kar
hop u guyzz will like it!! =)