Created

Last reply

Replies

56

Views

4.2k

Users

17

Likes

236

Frequent Posters

annete thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#41
Hoon to khafa us se, per janay phir b kyun
na chaha kar bhi usko chahna acha laagta hai

Haqeeqat se hoon door ye mujh ko hai pata
per jaan k anjaan rehna acha lagta hai

Qaayel nahi main ronay k phir bhi kabhi kabhi
Tanhai main kuch dair rona acha lagta hai

woh uska tha
woh uska hai
woh uska rahega

kuch pal is khayal mein khona acha lagta hai

internet
Arshics thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 6
Posted: 11 years ago
#42

Originally posted by: annete

Beautiful annete, we can always rely on you to come up with such beautiful pearls !

Just sent you a pm. Pl check
happychappy thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#43

Originally posted by: Arshics

Ivy, toh aap shayara bhi hain

Kya yeh tukde hain toote hue dil ke

Jo lafzon main dhal ke kagaz pe utare hain

Ya shayad bikhare hue moti hain

Uss mala ke, jise ab pirona mumkin nahi

Aapke lafz chubhte bhi hain

Kisi tooti hui tasveer ke Kanch ki tarah

Aur in main garmahat hai abhi bhi

Uss pyaari odhani ki, Jo ab taar taar ho chuki hai

Par phir bhi kuch to baki hai, Jo kheench lata hai yaheen

Ummeed mit gayee par pyaar nahi!

Arshi, Dil ka aisa haal jab itna bura hai

gawaah mein khud ke Lafz nakaam pade

Tab yahan Forum mein aana hi padta hai

Aapki shaayari mein apne gham dubaane!
Edited by happychappy - 11 years ago
Arshics thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 6
Posted: 11 years ago
#44

Originally posted by: happychappy

Arshi, Dil ka aisa haal jab itna bura hai

gawaah mein khud ke Lafz nakaam pade

Tab yahan Forum mein aana hi padta hai

Aapki shaayari mein apne gham dubaane!

Jab akele sambhalte na bane toh doston ka Sahara lo

Jab khamoshi se baat na bane, so doston se baat karo

Jab tanhiyan aaraam na dain, to forum pe humse milo

Kyon ki yahan mil jaata sukoon dard ke maron ko

Woh tumhara haath thaam lenge, tum unka thaam lo!
Edited by Arshics - 11 years ago
-Ivy- thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#45

Originally posted by: Arshics

Ivy, toh aap shayara bhi hain

Kya yeh tukde hain toote hue dil ke

Jo lafzon main dhal ke kagaz pe utare hain

Ya shayad bikhare hue moti hain

Uss mala ke, jise ab pirona mumkin nahi

Aapke lafz chubhte bhi hain

Kisi tooti hui tasveer ke Kanch ki tarah

Aur in main garmahat hai abhi bhi

Uss pyaari odhani ki, Jo ab taar taar ho chuki hai

Par phir bhi kuch to baki hai, Jo kheench lata hai yaheen

Ummeed mit gayee par pyaar nahi!

Hum kya, Arshi ji... Bas ekk choti si koshish ki
Aap ke saath chal ke hi yeh hunar azmaane ko mila hai
Jo kucch bhi arz-e-bayaa hoga, aap hi ko pesh-e-khidmat karenge

Waise bhi, iss anjaan desh mein aise khayal aate jaate rehte hai
Zindagi ke aaine, logon se aksar takrate rehte hai.

twila thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#46
Ivy ...

SC ke Gham ne (yaa Ishq ne ) Aapko bhi Shaayar Banaa Diya ...

Ya yeh Ghamgeen Mausam Ka Takaazaa Hai ...

Jo Bhi Ho ... Bohut Khoob Likha Hai ... šŸ‘
-Ivy- thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
#47

Originally posted by: tryforceful

Translation please😳

I can only offer you the gist, Shrija 😳

I had steeled myself that today I will watch, came to read Arshi's post, after reading found that I could not. So don't ask me to watch today, today I shall be a silent companion... Lest the memories I've guarded so precious, become something I cannot recognise.

SC had broken my heart way before, now it is intent on crushing those miniscule pieces... In indifference, maybe they could have just let my broken heart be... So that my memories could have burned, smoldered and been reduced to ash... But no, they are such merciless, that they have made plans now to extinguish and then ignite again.

Despite that, the show is still dear to me... It could not remain true to the faithful, and now it will betray the unfaithful also...
Edited by -Ivy- - 11 years ago
twila thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#48

Originally posted by: Arshics

Ivy, toh aap shayara bhi hain

Kya yeh tukde hain toote hue dil ke

Jo lafzon main dhal ke kagaz pe utare hain

Ya shayad bikhare hue moti hain

Uss mala ke, jise ab pirona mumkin nahi

Aapke lafz chubhte bhi hain

Kisi tooti hui tasveer ke Kanch ki tarah

Aur in main garmahat hai abhi bhi

Uss pyaari odhani ki, Jo ab taar taar ho chuki hai

Par phir bhi kuch to baki hai, Jo kheench lata hai yaheen

Ummeed mit gayee par pyaar nahi! ... šŸ‘šŸ‘

twila thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#49

Originally posted by: annete

Hoon to khafa us se, per janay phir b kyun
na chaha kar bhi usko chahna acha laagta hai

Haqeeqat se hoon door ye mujh ko hai pata
per jaan k anjaan rehna acha lagta hai

Qaayel nahi main ronay k phir bhi kabhi kabhi
Tanhai main kuch dair rona acha lagta hai

woh uska tha
woh uska hai
woh uska rahega

kuch pal is khayal mein khona acha lagta hai

internet

annette ...

Kyaa Khoob Panktiyaan Dhoondh kar Laayi Hain Aap ... šŸ‘
kaadal thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#50
Arshi and others how do you all continue to write such good shayaari's for SC. Aap sab ke charan doond rahi hu. Mein itni shocked hu ki thodi si shaayari jo likthi thi vo bhi bhool gayi šŸ˜• Ye ho kya raha hai iss show mein. Saras screaming in front of everyone that Kumud was hurt by Pramad and he used to look for a new hurt everytime she comes out of the room, such a big truth out and all were standing dumb hearing him 😲 SD Mai ki baath hi alag hai, Kalika ko Pramad ke kamare mein bejthi rahi aur abh Kumud ki joot bardash nahi hua, kya baath hai. Aur ye Bali ka bakara hamesha apna Saras hi rahega. He is blessed to see his mehbooba again getting married, shaadi jo miss kiya tha usne. And what are CV's playing with, Pramad wipes off sindoor, Saras hits the sindoor and that too falls on Kumud's forehead and then again Pramad fills her maang. Is there no value at all for that sindoor anymore ? Kumud kis kis ki maang baregi ? Drama for TRP sake is high but that doesn't mean the CV's start making fun of traditions and values. Pramad wipes off the sindoor and removes MS and asks Saras to marry her, sadly Bollywood seems to be more realistic than this.
The only good thing I can see in this show is atleast it was named Saraswathichandra. I don't know why Tripatiji named it but this show is in every sense is only Saraswathichandra. Bakara ho ya dhol ho ya hero hai bas vahi ek hai. There is no emotions anymore seeing this show, it has hit rock bottom and I still watch it as a routine. The only hope left is that no one ever should say that this show is actually a remake of the novel Saraswathichandra.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".