Adla Badli
Kahani shuru hui
Pehli nazar se
Lachakti Kamar se
Aur uss kamar se lipte
Ek nazuk kamarband se
Saras ki pareeksha tha
Yeh kamarband
Uss ke dil ki khanak tha
Yehi kamarband
Kumud ki pehchaan bana
Yeh kamarband
Beete dinon ki yaad bana
Yehi kamarband
Woh din Kal bhi aaya tha
Jab kusum ne chal rachaya tha
Pehen ke yeh kamarband
Aaj phir chal hua,
Kumud ka kamarband
Ab kusum ka hua!
Ok episode was nice, agar story ko baju main rakho toh!
Wohi girna aur sambhalna
Wohi na ko haan main badalna
Phir se bapu bete ka rishta jodna
Aur iss tarah tute dil ko jodna
Kumud ke paas
Kal jahan Saras tha
aaj Pramaad hai wahan
Wohi narazgi, inkaar se
Wohi takrar har baat main
Wohi thali main parose ke khana dena
Wohi baar baar chale jaane ko kehna
Saras ke paas
Kal jahan Kumud thi
Aaj kusum hai
Sone ke bhav aaj buri tarah se gir gaye
Dono pramaad aur Saras
Uske jaal se nikal rahe hain
Kusum aur Saras, pramaad aur Kumud
That conversation was well shot
Shiny Doshi did really well, today was her day
The kamarband has changed it's kamar
Publicly, officially at least for now!!
Rating - 7/10 , zyada dene ka mood nahi hai
Kamarband jo badal gaya!