(Sidhant is continuing)- btw, 20,dinon ke baad is orphanage ka 50Th foundation day hai,agar aap with family prsnt, rahenge, to hameein kafi khushi hogi.
AHEM-main jarur koshish karunga.
SIDHANT-My pleasure. Ab aap bachchon ke saath enjoy kijiye,main chalta hun,mujhe kuch jaruri kaam karne hain.
On next day, ahem, orphanage ke andar tha. Tabhi,sidhant ki car enter karti hai aur jab sidhant bahar aata hai to uski god mein ek choti si bachchi rahti hai. Ahem ,sidhant ki taraf jata hai.
GATEKEEPER(to sidhant)-kya sir,aaj bhi manager mam nahi aayegi,bachchon ko garba kaun sikhayega, programme ka din bhi kitna najdik aa gaya hai.
SIDHANT- Nahi, wo thodi der mein aa rahi hai, is liye to main is pari ko apne saath lekar aaya hun.
GATEKEEPER- are, haan, aaj to pari baby aayi hain.
Ahem, wahin paas mein khada saari baatein sun raha tha,magar kuch samajh na paya, aur usne samajhna jaruri bhi nahi samjha, magar usne sidhant ko gud morning jarur wish kiya.
AHAM- gud morning sidhant. Ye bachchi ! Kya ye bhi yahin rahegi !!!
SIDHANT- are nahi, ye to ...ye to meri beti hai(kuch ajib se andaj mein kaha tha sidhant ne,aur ek ajib si smile thi uske chere par.) ahem ji, aaj aap 9 bajne ke baad mere office mein aaiyega,main aap ko duniya ke best manager se milwaunga.
AHAM- jaisa ,aap thik samajhe.
After 10'o clock, in sidhant's office- sidhant ek peon ko call karke kahta ha-manager mam, se kahna, sidhant sir, ne bulaya hai.
After 5 mins.
Ek mithi si aawaj sunayi deti hai-may i come in.
Ahem ko apne kaanon par vishwas nahi hota, wah shock rah jata hai, use pehchanne mein jara sa bhi samay nahi lagta ki ye to uski gopi ki aawaj hai.wah entry ki taraf dekhta hai,ye to gopi hi hai.
Edited by ritika-gohem - 13 years ago