Aaj ki hamari special report dekhiye (padhiye) aaj shyam 8 baje only on IF aaj tak
Lalooji ko Gussa kyon ata hain
V/s
Aaj ham aapko dikhayenge apni special report, jisme ham batayenge aapko ki Laloo Prasad Yadav ko gussa kyon aya. Jee haan Laloo Prasad Yadav aaj kal kuch gusseme hain aur yeh kisi virodhi paksha ki kisi chalk e bajehse nahi aur na hi Bihar ki satta jane ke bajehse lekin wo gussa hain Jagjit Singh se. Jee haan wahi Jagjit Singh, jo ki shahenshah mane jate hain gazal ke. To aisa kya hua ki rajniti ke shahenshah gussa hue hain Gazal ke shahenshah ke upar. Yeh koi rajnitic chal nahi aur na hi Jagjitjine Laloojike khilaaf kuch kaha.
Yeh kissa shuru hua show Saregamapase. Laloo Prasad Yadav ji ko sangeet ka bahot shouk hain aur who Saregamapa jaroor dekhte hain. Challenge 2005 ke waqt judges decision round me jab Jagjit ji judge banke aye the, to ek contestant Aishwarya, jo ki Bihar se hain, is contestant par Jagjit ji ne bahot kharab tipani ki thi. Jagjit ji ne kaha tha ki is singer ko mike thikse pakadana nahi ata to gaaenge kya. Tab yeh baat nahi uthi thi kyonki Lalooji Jagjit ji ko ek bada singer samajhate the
Aishwarya
Baadme Saregamapa Lil champs me jab Jagjitji wapis judge banke aye, to Bihar ki contestant, Shraddha ke bareme unhone aisihi kuch tipani ki. Aaiye dekhte hain kya tipani ki Jagjit "Saans ful rahi thi, aur uske bajehse sur nahi lage. Motapa kam karo apna kuch exercise, yoga karo. Pareshaani dur ho jayegi" To yeh tipani unhone kari aur dono episode me unhone bas Bihar ke contestants ko hi nishana banaya aur rude (asabhya) tipaniya ki. Yahi baat ko lekar Lalooji gussa hain Jagjit singhse aur wo biharwasiyonke prati maafi chahte hain.
Shraddha
Abhi lalooji hamare saath phone line pe hain to dekhte hain ke kya kehna hain unka.
Host: Jee Lalooji, to kya kehna hain aapka kyon gussa hain aap Jagjit ji se
Laloo: Dekhiye, baat yeh hain, unhone jo hamar Bihar ke bhai behenoko nishana banake jo tipani kiya hain wo bahot galat baat hain. Humari unka gujarish hain ki wo maafi maange nahi to hum unka koi bhi program yaha Bihar me nahi karane denge. Hum unka railway ke kisi bhi programka bulava nahi denge.
Chaliye Lalooji ab Jangjit jib hi hamare saath phone pe aaye hain unse puch lete hain
Host: Jagjitji aapka kya kehna hain is bareme
Jagjit: (haste) Mujhe to pata hi nahi tha ke isse koi controversy hogi. Meri Bihariyonse koi dushmani nahi hain aur maine job hi kaha wo mera opinion tha aur us aadmi ki bhalaike liye tha.
Host: Lekin jis tareh se baat kahi gayi aapko nahi lagta ke kisi aur tarike se baat kari jaa sakti thi
Jagjit: Abe k example lijiye. Agar main us waqt Aishwarya ko yeh nahi kehta to kya wo Ek main aur ek tu ka vijeta ban pata. Usne apna mike pakadna sikha aur phir uski chemistry acchi jami. Agar Shraddha meri baat par gaur kare to isme uska hi fayda hain. Mera nahi koi fayda hain na hi koi nuksaan.
Host: Jee Lalooji, yeh keh rahe hain ke unka jo kehna hain wo contestants ke bhaleke liye hain aur unka isme koi fayda nahi aur nuksaan nahi hain
Laloo: Dekhiye pehli baar ham bhi samjhe the lekin inhone dono baar sirf Bihariyon par nishana sadha hain. Jaise hamra naam lete hi chara ata hain waise hi bihar ka naam dekhte hi inke munh me aise shabd atehi hain aisa lagta hain. Aishwarya vijeta bana hain apni mehnat se na ki us mike ke bajehse. Aap sangeet ko judge karo na baki sab kahe dekh rahe hain.
Jagjit: Dekhiye Lalooji, yeh baatein unke sangeet ko pareshaan kar rahi thi aur batour judge mera farz tha ke unko bataoon.
Laloo: Phir baki judges ne oo Shraddha ko jada mark kaise diya
Jagjit: Dekhiye gazal mujhse accha koi nahi janta. Aur uske gayaki me saans ki bajehse bahot dikkat thi aur isiliye maine yeh tipani kari thi. Mujhe nahi lagta maine kuch galat kaha hain aur maafi maangne ka sawaal hi nahi hain.
Laloo: Thik hain hum bhi dekhat hain ki aapka iha program kaise hot hain.
Host: Chaliye Lalooji aur Jagjitji waqt ki paabandise hame hamari report yahi khatm karni hogi. Aap donoka bahot bahot shukriya.
To yeh thi hamari khaas report "Laloo ko gussa kyon aaya"