Let me start the post with this:
Chalo phir se agaya hai rakhi ka yeh tehwaar
Jis mein jhalakta hai bhai aur behen ka pyaar
Maana ke saare saal woh jhadagte rehte hai
Lekin is din milne ke liye tadapte rehte hai
Kuch ladke is din kisi ladki se milna nahi chata hai
Galti se bhi haath per rakhi nahi bandwana chata hai
Dar lagta hai is din koi kisi ka haath khushi se thamle
Phir apne purse se rakhi nikalke iske haath pe baande
Kuch bhi kaho yeh rishta dilate hai ladkiyo ko yeh vishwaas
Kahi na kahi uske bhai ke dil mein jagah hai uskeliye khaas
Yeh to hai woh pyaar aur woh jazba jo dilo ka deta hai ehsaas
Bohat khush naseeb hai woh log, behen ya bhai hai jiske paas
Nahi hai agar to "forum"(SRGMP section) mein aao, raho na tum udaas
Ek ko dhoondne niklo to miljayenge tumhe ek din mein hi pachaas(50)What is Rakhi?
R - Re-affirming love and affection
A - A pray for long life and success
K - Keeping memories alive
H - Happiness and laughter
I - Innumerable shared Stories
Rakhi ka yeh tyohar aap sabke liye khushiyaan laaye... Chaliye, hum behne apni bhaiyon ki khushiyaan aur lambi umra ke liye prarthna karte hain... Hum door zaroor hain, lekin dil ke utne hi kareeb hain... Hum yahaan milkar rakhi haath mein toh nahin bandh sakte hain, lekin uska ehsaas zaroor le sakte hain... Kaisa rishta hain yeh jahaan yeh bhai-behan kabhi na mile ho aur phir bhi bhai-behan kehte ho... Yeh rishta dil se juda hain, pyaar se bana hain, Virtual hi kyun na ho, Real ka ehsaas dilata hain...
Today is nothing exceptional as the love and affection we share is the same daily, but lets take this day as the opportunity to express our love and concern for our brothers and sisters....
All Sisters get ready to tie the rakhi for your brothers,
And brothers get ready to give gifts for your sisters...
