Originally posted by: surma_bhopali
subhan allah kishore miyan, bilkul durust farmaya!
wohi main kehte rehta hoon apne doston se. filmon mein to miyan, sab surile lagte hain, lekin live gavaya to meri biwi ka chillana unse behtar sur mein hota hai.
humare jamane mein, miyan kahe riya hoon, koi bhi aise takiniki cheezein nahin istemal hoti thi. tab bhi yeh diggaj log ekdum khare gaate they. Lata to galati se bhi besuri nahin hoti, na hi manna dey saab hote they. rafi aur kishore to rehersal karke hi gaate they. suna hai rafi miyan subah subah teen baje uthkar riyaz kiya karte they, batao! aisi comeetmaint aajke jamane main kahan miyan.
aajkal to sirf apna sonu baba, kavita, shankar aur hari hi pakke sur mein gaate hain. kavita to lata ke baad hai surilepan mein. wah!
sabse jyada 'pitch correction' ka istemal himesh, karta hai aur phir aadesh. unke sangeet suno, kaafi bhari taknikipan nazar ayega. rahman bhi karta hai. jatin lalit aur durbar live orchestra ka istemal karte hain, suna hai. aur rajesh roshan to aaj bhi bina rehersal ke nahin gavata suna hai miyan.
theek farmaya apne.
but let's take an example from the IT world. Before Bill Gates and Windows came along, we had Unix. Unix was considered a far superior and stable operating system, but it was not accessible to most people since it was harder to use. what Windows did was bring in user-friendliness. in terms of growth in the IT world, what subsequently happened was companies began to divert research focus and dollars to "GUI", user-friendly screens and technology. development of computational algorithms stalled, and it is still lagging perhaps 10 years in terms of where the GUI oriented technology is today. in some ways, the new emphasis made all technology more "accessible" to common folks. in other ways, it diverted focus from other important developments. but some of that focus is now returning and we now have easy-to-use technologies to help revitalize that process.
i'd think something similar is happening in music. when the dust settles, we just might have more people plugged into music, and we might get some of the great musical styles of the past brought back to life in greater numbers...
toh apka jamana phir se laut aayega😉
haan, javaani kee chandni ek baar gayee toh phir kisike liye wapas nahee aatee😆