Wish I could make every politician listen to this many times every day. Listen and you would understand the fire raging inside him (Sahir}
[YOUTUBE]http://www.youtube.com/watch?v=34dkJu3LOv8&p=65D961AE32B970C1&playnext=1&index=28[/YOUTUBE]
ye hanste hue phool, ye mehka hua gulshan
ye rang mein aur noor mein, doobi hui raahein
ye rang mein aur noor mein, doobi hui raahein
ye phoolon ka ras peete, machalte hue bhawre
ye phoolon ka ras peete, machalte hue bhawre
main doon bhi to kya doon tumhein, ai shokh nazaaron
ledeke mere pass, kuch aaonsoon hain kuch aahein
ye kooche, ye nilaam ghar dilkashi ke
ye luT_te hue, kaarawaaN zindagii ke
kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke?
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
ye pur-pech galiyaaN, ye badnaam baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
ye sadiyoN se be-Khauf, sahmii sii galiyaaN
ye maslee hui, adh-khilee zard kaliyaaN
ye bikati hui, khokalii rang-raliyaaN
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
vo ujale darIchon mein, paayal kii chhan chhan
thakii haarii saanson pe, tabale kI dhan dhan
vo ujale darIchon mein, paayal kii chhan chhan
thakii haarii saanson pe, tabale kI dhan dhan
ye be-ruuh kamaron mein, khaansii ki Than Than
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
ye phulon ke gajare, ye piikon ke chheeNTe
ye be-baak nazareN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalke badan, aur ye biimaar chehare
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
yahaaN piir bhii aa chuke hain, javaan bhii
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhii
ye biwi bhi hai, ye biwi bhi hai aur bahan bhi, hai maaN bhii
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
madad chaahatii hai, ye hauaa kI beTI
yashodaa kI ham-jins raadhaa kI beTI
madad chaahatii hai, ye hauvaa kI beTI
yashodaa kI ham-jins raadhaa kI beTI
payambar kI ummat, zulaikhaa kI beTI
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN, kahaaN haiN, kahaaN haiN?
zaraa mulk ke, raahbaron ko bulaao
ye kuuche, ye galiyaan, ye manzar dikhaao
jinhe naaz hai hind par, unko laao
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN hain?
kahaaN hain, kahaaN hain, kahaaN hain?
I f you like them I ' ll post more
Edited by Indradhanush - 15 years ago