-MIMOSA- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#1

What a beautiful beautiful episode! 👏
Hats off to each and everyone in the team, who brought up this wonderful show on screens...

My humble tribute to the beautiful bond shared by Anami and Vatsalya...

Bichhad ke mil jayenge, socha na tha
Mil ke bhi naa mil paayenge, socha na tha

Do jahaan mein sahi, Hai hum ek hi
Tere aane ki aahat se hi hum laut aayenge socha na tha

Ek zara aawaz de, chaley aayenge
Dur itne bhi nahi ki laut na paayenge

Tujhse naatey hai janmon ke
Mere rehne na rehne se kabhi mit na payenge...

Edited by -MIMOSA- - 7 years ago

Created

Last reply

Replies

15

Views

2.1k

Users

6

Likes

57

Frequent Posters

Arshi67 thumbnail
Posted: 7 years ago
#2
Such a beautiful tribute to this intensely moving episode. ❤️
Dekhkar, padhkar, ashk yun beh jaayenge socha na tha 👏
Edited by Arshi67 - 7 years ago
tttttt1 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#3
Hey:-)
Beautiful episode ... the poetry... one completing the other's words ,emotions ,questions ... beautifully written and portrayed
Navyya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
#4

Originally posted by: -MIMOSA-

What a beautiful beautiful episode! 👏
Hats off to each and everyone in the team, who brought up this wonderful show on screens...

My humble tribute to the beautiful bond shared by Anami and Vatsalya...

Bichhad ke mil jayenge, socha na tha
Mil ke bhi naa mil paayenge, socha na tha
Do jahaan mein sahi, Hai hum ek hi
Tere aane ki aahat se hi hum laut aayenge socha na tha
Ek zara aawaz de, chaley aayenge
Dur itne bhi nahi ki laut na paayenge
Tujhse naatey hai janmon ke
Mere rehne na rehne se kabhi mit na payenge...

Oh Mimosa...I have read this poem so many times yet I can not get enough of it...still sooo enchanted 👏

-MIMOSA- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#5

Originally posted by: Arshi67

Such a beautiful tribute to this intensely moving episode. ❤️

Dekhkar, padhkar, ashk yun beh jaayenge socha na tha 👏

Thank you! 🤗

Ashkon ko behne de
Dil ko bhi kuch kehne de
Dil ki zubaan hain ye aankhein
Ashkon ke lafzon mein inhe kehne de...

❤️
Edited by -MIMOSA- - 7 years ago
Arshi67 thumbnail
Posted: 7 years ago
#6

Originally posted by: -MIMOSA-

Thank you! 🤗

Ashkon ko behne de
Dil ko bhi kuch kehne de
Dil ki zubaan hain ye aankhein
Ashkon ke lafzon mein inhe kehne de...

❤️

🤗
Bohot khubsoorati se aapne ki hai tarafdaari inn behete ashkon ki
Kaisi ye Zid hai jo pakad li hai inhone
Ab kaun karega sulah inke aur mascara ke beech ki ladai ka ;)

-MIMOSA- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#7

Originally posted by: Arshi67

🤗
Bohot khubsoorati se aapne ki hai tarafdaari inn behete ashkon ki
Kaisi ye Zid hai jo pakad li hai inhone
Ab kaun karega sulah inke aur mascara ke beech ki ladai ka ;)

😆
Laajawab!

Jab ashkon ka mausam ho toh waterproof mascara lagaiye
Aansuon aur mascara, dono ko hi khush rakhiye
Edited by -MIMOSA- - 7 years ago
Farri25 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#8

Originally posted by: -MIMOSA-

😆
Laajawab!

Jab ashkon ka mausam ho toh waterproof mascara lagaiye
Aansuon aur mascara, dono ko hi khush rakhiye

Itne kamzor nahi Ye bohot door se aaye hain
Raaste dhoondte hue ye manzil tak pohonch paaye hain
Kaise wo ashk jo apne nishaan na chod jaaye
Aankhon mein nami aur dil mein sukoon na de jaaye
Inki is ladayi mein inhe jeet lene dete hain
Manzil tak pohnchne ki khushi manane dete hain
Dil se aankhon tak ka safar aasan nahi hota
Kya pata haar ke dar se ye phir nikalna hi chod de
Dil ke dhadakne ke liye inka behna zaroori
Khushiyon se pehle gham ka aana bhi Zaroori hi
Donon manane ashkon la behna bhi Zaroori hai
Behne dete hain inhe behne dete hain
Bina kisi rukawat ke inhe behne dete hain
Jaate jaate inhe apne nishaan bhi chodne dete hain
❤️
-MIMOSA- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#9

Wow! Outstanding!! 👏

Ashk jab behtey hain toh dil ki kahaani kehtey hain
Bin lafzon ke hi haal-e- dil bayaan kartey hain
Inn par kisi ka pehra nahi hota
Yahi toh sukh-dukh ke saathi hotey hain

-MIMOSA- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#10

Originally posted by: -MIMOSA-

Itne kamzor nahi Ye bohot door se aaye hain
Raaste dhoondte hue ye manzil tak pohonch paaye hain
Kaise wo ashk jo apne nishaan na chod jaaye
Aankhon mein nami aur dil mein sukoon na de jaaye
Inki is ladayi mein inhe jeet lene dete hain
Manzil tak pohnchne ki khushi manane dete hain
Dil se aankhon tak ka safar aasan nahi hota
Kya pata haar ke dar se ye phir nikalna hi chod de
Dil ke dhadakne ke liye inka behna zaroori
Khushiyon se pehle gham ka aana bhi Zaroori hi
Donon manane ashkon la behna bhi Zaroori hai
Behne dete hain inhe behne dete hain
Bina kisi rukawat ke inhe behne dete hain
Jaate jaate inhe apne nishaan bhi chodne dete hain
❤️

Wow! Outstanding Fariah!! 👏

Ashk jab behtey hain toh dil ki kahaani kehtey hain
Bin lafzon ke hi haal-e- dil bayaan kartey hain
Inn par kisi ka pehra nahi hota
Yahi toh sukh-dukh ke saathi hotey hain

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".