
PART 2
SCENE 4
Ek bahut hi bada par andhere se bhara hua kamra, ek shaahi palang ke alawa aur kuch nahi tha vaha. Ek Ladki us palang par leti hui thi behoshi ki haalat mein. Tabhi achanak se darwaaza khula aur Kabir andar aaya, usne Ananya ko dekha aur fir halka sa muskuraya. Vo dheere se uski ore badha aur palang ki dusri taraf jaakar baithke usko dekhne laga.
K(pov) - itni masumiyat chalak rahi hai chehre par, man hi nahi kar raha ki ise koi dard ya takleef du par iska rakt hai hi itna swadisht ki khud ko rok bhi nahi paa raha.
Kabir apni khayalo mein ghum tha ki tabhi Ananya ki aankh khul gayi, usne apne chaaron taraf dekha aur fir uski nazar Kabir pe gayi jo uske bagal mein baitha use halki si muskurahat ke saath dekh raha tha. Uski aankhen ab normal thi, lekin Ananya ko use dekhkar sabse pehle vahi laal aankhen yaad aayi aur vo dar se seedhe baith gayi. Kabir ne dekha ki vo bahut dari hui hai isliye usne apna ek haath aage badhaya aur Ananya ke gaal pe rakha. Ananya ne gehri saans li, use samajh nahi aa raha tha ki uske saath kya ho raha hai.
Kabir ne dheere dheere apna chehra uske paas laaya aur jaha usne kal raat kaanta tha vahi par apne Honth rakh diye aur us jagah ko chumne laga (in simple words open mouth kiss), Ananya ne aur gehri saans li, vo hairaan ho gayi, aaj tak kisi ne bhi use is tarah nahi chuya tha. Kabir ne uske dono haanth uski waist pe rakhe aur usse rub karne laga taaki Ananya ko aaram feel ho. Aur yaha Ananya jisne apni aankhen band kar rahi thi, Kabir ke touch se kaapne lagi.
Thodi der baad Kabir ruka aur Ananya ki aankhon mein dekhkar bola
K- bahut dard ho raha hai?
Ananya jo ki kuch samajh nahi paa rahi thi bas apna sar haan mein hilaya. Kabir halke se muskuraya aur fir kaha
K- jaldi thik ho jaayega
Aur vo apni jagah se utha aur jaane laga tabhi Ananya ne pucha
A- aap hai kaun aur hum kaha par hai
Kabir ne waapas uski taraf dekha aur fir ek smirk ke saath usi kamre mein to and fro chalne laga
K- Main ek Vampire hu
Ananya confuse ho gayi, usne aaj se pehle aisa shabd kabhi nahi suna tha
A- vampire matlab kya hota hai, humne aaj se pehle aisa shabd kabhi nahi suna
K- vampire yaani ki vo jaati jo insaano ke rakt ke sahare jee rahi hai.
Ananya bas use uljhi hui nazro se dekh rahi thi ki achanak se use yaad aaya ki Kabir ne kal raat use kaanta tha to use Kabir pe gussa hona chahiye
A- dekhiye jo kuch aapne kaha usme se hume ek bhi cheez samajh mein nahi aayi aur vo sab chhodiye pehle ye bataiye ki aapne hume kaanta kyu, aapko pata hai hume kitna dard hua tha aur aap hume yaha kyu le aaye, hume hamare ghar (haath jodte hue) kripya hume hamare ghar chod dijiye
Kabir bas use hairani se dekhe jaa raha tha aur yehi soch raha tha ki koi itna maasum kaise ho sakta hai
K- vampire yaani vo log jo insaan ke rakt ko peekar zinda rehte hai aur tum ab mere saath rahogi
Ananya ke upar to maano pahad toot pada ye sunkar, vo bas hairaan ho kar Kabir ko dekhe jaa rahi thi, kuch der baad usne apne dono haathon se apne aapko dhaka aur kaha
A- to iska matlab aap mujhe yaha rakh kar roz mera rakt peeyoge
Kabir muskuraya aur kaha - bilkul sahi samjha tumne
Ananya ki aankhon mein aansu aa gaye, use apne papa ki yaad aa gayi, vo rone lagi aur rote rote kehne lagi
A- aap hume is tarah apne paas nahi rakh sakte, hume kripya karke apne papa ke paas jaane dijiye, Hum aapse vinti karte hain, aap chahe to roz aakar vahi hamara rakt pi sakte hai, hum par apne papa se dur nahi reh sakte
Kabir ke chehre pe fir se vahi devil wala smirk aa gaya aur usne kaha
K- insaano pe bharosa kar lu itna bhi bewakoof nahi hu main. Tum yaha rahogi and it is final, tumhe apne papa ki chinta karne ki zaroorat nahi hai, kuch dinon ke liye vo gaon nahi aayenge aur jab aayenge to tumhe dhundhne ki koshish nahi karenge
Ananya aur tez rone lagi aur fir usne kaha - hum aapse vinti karte hain aap hume jaane dijiye, hamare papa pareshaan honge, hume unki bahut yaad aa rahi hai
Kabir ko Ananya ke aankhon se girte hue aansu bilkul pasand nahi aate aur isliye use gussa aa jaata hai aur vo tez aawaz mein bolta hai
K- Ananya rona band karo, tumhare papa ko tumhari chinta nahi hai, unhone to kuch insaano ko paise diye the tumhe maar daalne ke liye aur ye baat maine sun li thi isliye socha ki tumhe yaha leke aa jaunga. Aur ha ye mat sochna ki maine tumhari jaan isliye bachaayi kyuki mujhe aisa karna chahiye tha lekin isliye bachaayi taaki tumhari jaan bachane ke badle tum roz mujhe apna rakt peene do.
Ananya ke upar fir se pahad toot pada, use yakeen nahi ho raha tha ki uske papa aisa kuch karenge, uski aankhon se lagatar aansu beh rahe the aur usne dheemi aawaz mein kaha
A- hamare papa aisa nahi kar sakte
K- mujhe koi fark nahi padta ki tum meri baat par yakeen karti ho ya nahi, lekin ab tum yahi rahogi ye mera aakhri faisla hai.
Kabir fir uski taraf badha aur apni haantho se uske baalo ko pakadkar uske chehre ko thoda upar kiya aur kaha - mere faisla ke khilaaf jaane ki koshish bhi mat karna Ananya varna anjaam bahut bura hoga.
Aur Kabir ne fir se usi jagah apne Honth rakh diye jahan usne kaanta tha aur ek baar use chumke chala gaya.
END
Edited by vssdp - 8 years ago