In this thread i shall post poems which all my friends here ask me to
1)the first poem is on HANUMANJI which rajdeep had requested.Hope u all like it.
Hum katha sunate rambhakta gungram ki,hum katha sunate rambhakta gungram ki
suno hanumant katha aur jai bolo shubh naam ki
Ram bhakta atishay baldhari
bal buddhi me sabse bhari
Ram bhakti ko lakshya banaya
Ram nam ka dhwaja pheyalaya
Rudra ke avtar kaise jape hari ka nam
Ram se shuru jiban jinka ,jiban me base Shree Ram
Kesri anjana suta balban,gati jinke ho paban saman
paban ne shiv tej ko laya
jisse hanumant janma jo paya
balyakal se hi bal me prakhar he
unke bal ka koi upama nehi hain
phal samajh surya ko khaye
indra ne hanu pe aghat laye
krodh se pavan ne stabdha kiya jo swas
stabdha ho gayi dharti,stabdha huye akash.
sab deb paban ke pas aaye
brahma maruti ko bardan de jaye
bal me hoga sabse bhari
buddhi me nahi koi upama sari
surya ne guru bane shiksha diyo
beer kapi shiksha jo liyo
har gyan me bane sarbottam
bhakti kare unka jo puroshattam
aise beer aise bhakta ka kare katha barnan
is katha ka nayak he rambhakta hanuman.
Ram lakhan sugriv se milaye
kandho me dhare prabhu ko le jaye
Sita mat ke khoj ko dhaye
sang Ram mudrika le jaye
langh diya usne sindhu sat yojan
pahuch gaye lanka anjana ke nandan
ashok ban me siya ko dekha
dekh mat ko aye ashru rekha
siya sammukh Ram katha gaye
byakul mata ki nayan bhar aye
hanumant ne mudrika dikhayi di pehchan
kahe maiya main hu RAMBHAKTA HANUMAN.
Ravan ke ahang ko mitaya,sone ke lanka usne jalaya
dekhta raha adham abhimani,kaise jalaye lanka kapi gyani.
RAM ko siya ke darshan ka diya usne barnan
kahe RAM tum dhanya ho he anjana nandan
pathar par SHREE RAM likhkar,phek diya use sagar par
pathar sagar par tehalaye,RAM likha jisme uo na dub paye
sagar par pathar ka setu kiya nirman
le sena setu se chale SHREE RAM bhagwan
yuddh lanka me huya ati bhari,ravan ki sena kaise hari
HANUMANT prabhu ka sahayak bane,dushto par aghat uo hane
Kumbhakarna bhi mara jaye,ravan sut bhi bach na paye
Indrajeet phir yuddh me aya,charam maya apna uo dikahya
nagpaash ram lakhan pe chore,koi nehi jo usko tore
jagatpalk swayam bane naagpash ka shikar
shesh sang murchit huye jag ke palanhar
sab chintit byakul ho jaye,koi upay na bata koi paye
kaise nagpash ko hataye,prabhu kaise mukt karaye
Ram bhakt hanumant niya kiya garur ka smaran
karun pukar kare garur ko ashru mudrit nayan
karne ram ke kaaj
bulaye garurraj
narayan ke sebak ko RAM BHAKTA bulaye
ashru dhara nayan se bas behata jaye
suno hanumant pukar
karo RAM uddhar
garur ne nagpash se prabhu mukt karaye
hanumant pukar sune khagraj baikuntha se aye
hanuman sa na koi bhakt,aise RAM anurakt
duja jagat dekh paye
hum jai bole,hum jai bole
unka geet gaye
bolo JAI HANUMAN
na koi sebak tum saman
indrajeet ne lakhan pe 'shakti' jo chalaye
shesh ka avtar lakhan bhu patit ho jaye
RAM krandan kare,kaise LAKHAN bachaye
bin LAKHAN ke hum na jibit rahe paye
sun prabhu ki karun krandan
sanjeevani buti lane chale paban nandan
bhakta batsalta ki anupam upama
hanumant veer baladhari
prabhu ke liye ,RAM ke liye
ki samarpit jiban sari
bhakta basalta ki anupam upama.
sanjeevan buti lakhan bachai me laye
asambhab ko sambhab ki hanumant laut aye
RAM ye kahe tum dhanya balbaan
tumsa na koi duja hain hanuman
hanumant ye bataye
prabhu aap hi karta ,prabhu aap hi karta
har karya aap karaye
bhakti ka jibit upama
Hanumant ati baldhari
hum barnan kare,hum barnan kare
unke jiban sari
bhakti ka uo jibit upama.
Ravan badh kiye RAM siya kukt karaye
avadh laut raj phir RAM-SIYA paye.
charan me RAM ka hanumant shish jhukaye
hriday me lagaye prabhu une putra sneha dilaye.
RAM-SIYA amar hain amar hain hanuman
dharti hain jabtak tabtak kare log gungan
RAM swayam kahe ki hanumant tum ho amar
rahoge kaliyug ke ant tak is dharti par
kali me paap jab sare dharti par chayenga
tab hanuman hi paap mukt kareyanga
RAM nam ka sare dharti pare kare prakash
Hanumant se hi RAM nam ka hga bikash.
bhakti ka uo jibit upama
bal-buddhi me uo nyari
hum barnan kare,hum barna kare
katha RAM-BHAKT ki sari
amar rahe HANUMANT katha
sankatmochan sankat ko nibare
RAMBHAKTI ka ras jagat ko pilaye
RAM naam se kar liya sara jagat ye snan
RAM sang amar ho sreshtha bhakt HANUMAN
unsa na koi bhakt hain,na sebak un saman
aao sab milkar kahe JAI RAMBHAKT HANUMAN
JAI RAMBHAKT HANUMAN
JAI RAMBHAKT HANUMAN.
friends i have tried my level best to write he poem on HANUMANJI.if there is any mistake,i beg ur pardon .