Ms Farooqui main jaanta hoon ki main ek ghudgarz and khudparast baap ka beta hoon.Ek kamzoor baap ka beta jiske liye rishton ko koi ehmiyat nahin hain , lekin mere liye Rishton se badkar koi aur cheez nahin hai.Meri Ammi meri zindagi ka sabse bada rishta nahin hain , balki meri ammi meri muqammal zindagi hain.Aaj us begairat aadmi ne behisi aur sangdili ki har had paar kar di hai. 17 saal pehle us aadmi ne baap ka saya sar par se utha liya ,mujhse mera bachpan cheen liya maine seh liye kyonki meri ammi mere saath thin. Ms Farooqui agar Rashid Ahmed Khan jaise dost hoon to kisi ko dushmano ki zaroorat nahin hoti hai. Meri ammi ne us pathardil aadmi se belaus mohabbat ki hai, bina sharton ke mohabbat ki hai,lekin us aadmi ne 17 saal main ek dafa bhi nahin socha ki uske jaane ke baad hamari kya kaifiyat hogi ?Meri Ammi ne bahut mehnat mashaqqat se hum dono bhai behno ki parwarish ki hai. Is aadmi ki wajah se unhone behisaab ratein karwate badalte hua siskiyaan lete hua guzari hain aur woh bereham aadmi apne aalishaan mehal main chain ki neend sota raha. Ms Farooqui Aadmi ki khaslat kabhi nahin badalti hai , Woh shaqs meri ammi ko 17 saal pehle tod chukka hai , woh dobaara seh nahin payengi, toot kar bikhar jaayengi. Apne baap ke bina maine tamam zindagi guzaari hai , Ammi ke bina ek din guzaarne ke tassawwur se bhi meri rooh kaanp uthti hai. Soobah fajar ke baad ammi ko salaam karne ki 17 saal poorani aadat ko kaisi badal hoon Ms Farooqui ? Meri zindagi main sirf ek mustaqil raha hai meri Maa , aaj us aadmi ne woh bhi badal diya. Ab shayad woh aadmi is Faqeer ke paas kabhi nahin aayege kyonki ab mere paas dene ko kuch nahin bacha hai...
Aap gairon ki baat karte ho
Humne apnoko azmaya hai
Log katonse bachke chalte hain
Log katonse bachke chalte hain
Humne phoolon se zakham khaye hain.
aaj fir dil hai kuchh udaas udaas
jaane kyun ek mayusi si chhayi hai
aaj fir palkon pe pani hai
bheer mein hoon fir kyun ye tanhai hai