tera sach lage jhutha kabhi, to kabhi tere jhuth pe yakin karne lagu
teri najar se chhu jau to muskan banke hotho pe bikharne lagu.
kah de tu bas ek baar jo sunna chahe ye pagal dil mera,
fir dekh kaise main wafa ban ke tere samne pighalne lagu
haan jalta hai dil mera kisi aur ko paau jo tere karib
mohabbat ki pahli nishani hai ye, fir bhala kyu main isse mukarne lagu
jo kahti rahi ab tak khamoshiyan meri tujhse,
ab vo sach mere alfaz tujhko sunayenge.
maana ab tak khud se hi na kar paaye the ikraar tere naam pe,
par ab jo kiya hai to qayamat tak ham usko nibhayenge.
ab izhaar --e ishq me der nahi shayad mere yaar sun le
kal ke mausam sang apne teri meri mohabbat ke rang laayenge
5