SS:Ajmer mein Mangalpur!-LAST PART UPDATED pg-34!! - Page 6

Created

Last reply

Replies

280

Views

55.3k

Users

107

Likes

1k

Frequent Posters

Madame_Noddy thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#51
Hey guys!! I promised i would post part 2 of my story if a got a good response for the part 1. And What Response!!!! Really guys thanks a lot!!! So here's part 2 of my story (it's pretty long though😆)

Precap:

Kissing her forehead one last time he carried her in his arms and ran as fast as he could. He had to get to the nearest hospital. Fast.



Part 2:

Outside the jungle where Tanveer, Najma and Dilshad were standing:

Dilshad sees a frantic Asad carrying a wounded and bloodied Zoya in his arms and running as fast as he could. She runs up to them. Asad notices that she had been crying.

Dilshad: Asad! Tanveer ne mujhe sab kuch bataaya! Yeh kya ho gaya Zoya ko?!

Asad: Mat roiye ammi. Zoya ko kuch nahi hua hai. Who hume chhod kar nahi gayi hai. Usne bahot khoon gawa diya hai. Humein unko jaldi se jaldi hospital le jana hoga.

Dilshad: Main jaanti thi! Main jaanti thi ki meri Zoya ko kuch nahi hoga! Allah ke dar pe aake koi ma kaise apne bachhe se judaa ho sakti hai! Main abhi ambulance bulati hoon!

Asad: Ammi iski koi zarurat nahi hai. Humare paas itna waqt nahi hai! Jaldi se koi taxi rokiye humme jald se jald kisi hospital pahunchna hoga!!!

Najma runs up to them.

Najma: Bhaijaan! Yeh kya ho gaya Zoya ko?! Bhaijaan usey kuch nahi hoga hai na? Woh theek toh ho jayegi na?Woh mujhe chhod kar nahi jayegi na?!

Asad: Fikr mat karo Najma. Zoya ko kuch nahi hoga. Main usey kuch bhi hone nahi doonga.

Tanveer(seething with anger and thinking): What! Yeh kaise ho gaya?! Maine toh khud apni haathon se Zoya ko chaaku mara tha! Woh bach kaise gayi?! Yeh nahi ho sakta. Meri mehnat aise bekaar nahin ja sakti! No!!!

They all somehow manage to find the cab and while inside it Asad decides to call the police. No one, no one tries to kill his life and gets away with it. He will make sure that each of them would get the worst punishment possible for them. Hell, he'd throttle them now with his bare hands if he could get them now. He'd kill them no matter who they were!

Asad: Hello Police?... Ji, Main Asad Ahmed Khan bol raha hoon...Ji haan wohi Asad Ahmed Khan...Ji...Mere dost aur hone wali biwi par jaan lewa hamla kiya gaya hai...Haan, Dargah sharif ke pichhe jo jungle hai wahan. Daakuon ne un par hamla kiya aur mere hone wali biwi ko chhura bhi mara...Investigation kuch dair baad shuru karenge?! What do you mean?! Formalities? Formal FIR?! I don't care! I want immediate action. I want each of those men to be hanged in the gallows and I want it done now! Do you understand?! NOW!!!Or do you want me to talk to the Commissioner?...Theek hai, kuch pata chalne par mujhe inform kijiyega! Ji...Allahafiz.

Asad clutches Zoya's palm in his hands and sobs quietly making an promise in his mind that he will with her. Always. Never to leave her side again, no matter what.

Tujhe sochta hun main shaamo subah

Is se jyada tujhe or chaahoon to kya?

Tere hi khayalon me dooba raha

Is se jyada tujhe or chahoon to kya?

Bas sare ghum mein jaana, Sang hoon tere

Har ek mausam me jaana, Sang hoon tere

Ab itne imtehaa bhi naa le mere

Aa ha aa aa... sang hoon tere

Aa ha aa aa... sang hoon tere

Aa ha aa aa... sang hoon tere

Soon they reach the nearest hospital and Zoya is admitted there in the ICU.

Outside the ICU:

Asad is sitting on a bench with his head in his hands. The nurse comes.

Nurse: Ye patient ke kapde hain. Aap rakh lijiye.

Asad: Ji shukriya.

Nurse leaves.

Asad stares at the blood stained white clothes. Her clothes. How much pain she had went through. Fresh tears roll down his cheeks. If only...if only he didn't leave Zoya...she would have been okay now. Dammit! Why?! Why does she have to fall into danger when he's not around?! Why?!

Tu mera thikana, mera aashiyana

Dhale shaam jab bhi, mere paas aa na

Hai baahon mein rehna, kabhi ab naa jana

Hoon mehfooz inme, bura hai zamana

Bas sare gham mein jaana, sang hoon tere

Har ek mausam me jaana, sang hoon tere

Ab itne imteha bhi naa le mere

Aa ha aa aa... sang hoon Tere

Aa ha aa aa... sang hoon Tere

Aa ha aa aa... sang hoon Tere

Dilshad comes and sits beside him and puts her hand on his shoulder.

Dilshad: Asad rona bandh karo. Fikr mat karo Zoya bilkul theek ho jayegi. Kuch nahi hoga. Himmat mat haaro. Agar tum himmat haar gaye toh Zoya ko kaun sambhalega? Akhir tum uske hone wale shauhar ho! Asad tum jaante ho ki Zoya bahot bahadur hai, woh bahot strong hai Asad, she'll be fine. Aur tum toh mere sher ho, tum rone lag gaye to Najma kya sochegi?

Asad: Najma aur Tanveer kahan hain?

Dilshad: Tanveer ne apne zakhmo ka illaj karwa liya hai aur maine Najma ke sath usey hotel wapis bhej diya hai. Tanveer ko aaraam ki zarurat hai. Najma nahi jaana chahti thi lekin maine zabardasti bhej diya. Woh tumhe aise nahin dekh pati. Main usey phone karke sab kuch batati rahun, mujhse yeh wada lekar gayi hai woh.

Asad: Yeh theek kiya aapne ammi.

The doctor comes out.

Asad: Doctor! Zoya kaisi hai ab? Woh theek to ho jayegi na?!

Doctor: Dekhiye patient ne bahot saara khoon gawa diya hai. Agar aap unhe laane mein thodi si bhi dair kar diya hota toh woh apni jaan gawa deti. Unka condition abhi bhi kaafi critical hai. Unhe khoon ki bahot zarurat hai. Aap ki kismat achhi hai ki bloodbank mein inke blood group se matching group ka khoon maujud hai. Kuch hi dair mein hum blood transfusion shuru karenge. Lekin...

Asad: Lekin kya Doctor?

Doctor: Dekhiye agle 48 ghante inke liye bahot hi critical hai. Agar isi waqt ke dauran unke sharir ne treatment accept kar liya toh who bach jayegi...lekin agar nahi kiya toh...kuch bhi ho sakta hai. Aap sab dua kijiye. Pyaar aur dua kabhi kabhi dawa se bhi zyaada kaam kar jaati hain. Ek aur baat. Ye ek Police case hai, aapne complaint kiya hai na?

Dilshad, seeing Asad's pale face decides to reply: Ji Doctor.

The doctor leaves.

Asad's face has gone pale white. His head was spinning. He couldn't think straight. His heart seemed to have stopped beating. Everything, everything was being snatched away from right in front of his eyes. Everything seemed to be going dark. His love, his life, his Zoya. No! The doctor's works kept ringing in his ears..." Unka condition abhi bhi kaafi critical hai"," lekin agar nahi kiya toh...kuch bhi ho sakta hai",...Devastated, he stumped down on the bench, not knowing whether he should start crying like a child lost in the crowd or should he just murder the doctor for saying such awful things. In frustration he clenched his fist and slammed it on the wall beside him. Incapable of any further thought he grabbed his head in his hands and started crying...His tears didn't seem to stop. All hope had started to die within him. He felt Dilshad sit down beside him. Defeated, and in need of her warmth and her encouraging words, he rested his head on her shoulder.

Dilshad, seeing her son, her brave lion, broken and devasted somehow managed to control her forming tears. She had to be strong. For her son. Her son, who was on the verge of losing his first love. She stroked his hair lovingly and quietly murmured, "Asad, Zoya bilkul theek hojayegi. Himmat mat haaro beta. Doctor ne kaha hai na ki Zoya ko 48 ghante mein hosh aajayega, toh aisa hi hoga. Meri Zoya bohot himmatwali hai, kuch nahi hoga usey. "

Asad: Ammi aisa mere saath hamesha kyun hota hai?! Kyun mere dil ke sabse kareeb log mujhse chheen liye jaate hai? Kyun, kyun, kyun ammi? Kya main itna bura hoon? Itna bura ki meri pehli mohabbat mujhse chheen liye jayegi? Main Zoya ke bina nahi jee paunga ammi. Nahi jee paunga. Kya Zoya mujhe chhod kar...

Dilshad: Kahin nahi jayegi Asad. Aur ab toh tumne Zoya ke liye apna pyaar bhi qubool kar liya hai. Ab uski kya majaal ki woh tumhe chhod ke chali jayegi?! Kuch nahi hoga usey Asad! Aur woh bhi tumse utna hi mohabbat karti hai jitna ki tum usse karte ho. Main jaanti hoon. Woh tumhe kabhi akela nahi chhod ke jayegi.

Asad: Shukriya ammi...

By this time the police arrives.

Inspector: Yahan Mr. Asad Ahmed Khan kaun hai?

Asad: Ji main hoon.

Inspector: Toh aap hi woh hain jinhone police station mein phone karke dhamki diyi thi?

Asad: Ji. Aap logon ko kuch pata chala?

Inspector: Pehle to Mr. Khan aap ye jaan lijiye ki Dargah Sharif ke aas pass jo jungle hai wahan koi daaku nahi rehte. Wahan koi daakuon ka adda nahi hai.

Asad: Lekin aisa kaise ho sakta hai? Meri dost aur Zoya par jungle mein daakuon ne hi hamla kiya tha! Aisa meri dost Tanveer ne khud mujhe bataaya hai! Woh jhoot kyun bolegi?

Inspector: Mujhe pata nahin. Lekin humne poore jungle ka chappa chappa chhaan mara hai. Wahan jungli jaanwar ke sivai koi aur nahi rehte. Aur haadse ke jagah se humein ye mobile mila hai. Pehchaaante hain issey?

The Inspector shows Asad the phone. Asad recognizes it immediately.

Asad: Yeh toh Zoya ka mobile hai! Lekin Tanveer ne toh kaha tha ki unlogon ki saari cheezein daakuon ne le li hain? Toh phir woh issey kaise bhul gaye? Shayad galti se wahan gir gaya hoga.

Inspector: Mr. Khan aap apni us dost ko yahan bulaye. Kyunki aapki mangetar iss haalat mein nahi hain ki woh humari koi bhi madat kar sakein, humein saari pooch-taach unhi se karni padegi. Aur aap yeh phone bhi rakhiye.

Asad: Ji shukriya. Main abhi usse bulata hoon.

Dilshad: Asad tum ruko. Tanveer aaraam kar rahi hogi. Main Najma ko phone karke usey yahan lane ko bolti hoon.

Asad: Thik hai ammi.

After around half-an-hour Tanveer and Najma arrive.

Najma: Bhaijaan, ammi, Zoya kaisi hai ab?

Dilshad: Woh critical hai Najma. Par Inshallah woh jaldi hi khatre se bahar hogi. Tum dua karo Najma.

Tanveer: Ya Allah! Shukar hai Zoya bach gayi. Hum to darr hi gaye the! Hum dua karte hain ki woh jaldi se theek ho jaye.

Dilshad: Ha Tanveer. Waise police tumse kuch pooch-taach karna chahti hai us hamle ke baare mein.

Tanveer's face goes a bit pale. But she manages to reply: Par khala iski kya zarurat hai? Maine to sab kuch aap dono ko bataya hai na?

Dilshad: Par police who saari baatein tumhare munh se khud sunna chahte hain.

Tanveer:Ji khala.

Inspector: Toh Tanveer ji bataaye ki wahan kya hua tha. Khul kar bataye aur kuch bhi mat chhupaiyega.

Tanveer gives the police the same story that she had given to Asad and Dilshad. Albeit this time without crying.

Inspector: Be specific. Kitne daaku the?

Tanveer: Teen.

Inspector: Dekhiye aap shayad jaanti nahi lekin us jungle mein koi daaku nahi rehte. Ab aap sach sach sab kuch boliye please.

Tanveer: Main aapse jhoot kyun bolungi? Agar who daaku nahi the to gunday honge! Aap jaante hain na ki gunday kahin par bhi jaa sakte hain! Unhe dhoondhne ke jagah aap mujhe pareshaan kyun kar rahein hain?!

Inspector: Dekiye aap humein humara kaam mat sikhaiye. Aap ko yaad hai ki woh log kaise dikhte the?

Tanveer: Ji nahi. Unhone mukhauta pehen ke rakha tha.

Inspector: Aur hathiyaar?

Tanveer: Ek ke paas chaaku tha jo usne Zoya ko maara. Aur doosre logon ke paas kya tha mujhe pata nahi. Unhone nahi nikala.

Inspector: Achha. Aur kapde kaise...

Asad: Inspector sahib bas bhi kijiye! Aur kitni pooch-taach karenge aap inse? Waise bhi us haadse ke baad bahot dari huyi hai yeh. Aur agar aapne dekha nahi inhe bhi kaafi chot lagi hai. Inhe aaram ki zarurat hai. Aap jaayiye aur jungle ki firse talaashi lijiye aur jaake giraftar kijiye unlogon ko jinhone yeh sab kiya hai! Mujhe woh log salaakhon ke peechhe chahiye chaahe woh koi bhi ho!

Inspector: Dekhiye janab aap apne appe se bahar ja rahein hain. Hume humara kaam karne dijiye. Aur waise bhi un logon ko dhoondhne se pehle hume unke baare mein jaanna to hoga hi na? Humara kaam yahan khatam ho chukka hai. Hum jaa rahein hai. Kuch pata chalne par aapko batayenge. Khudahafiz!

Asad: Allahafiz.

The police leave and Asad goes away and slumps down on the ground outside the prayer room, not having enough to go inside. His head is heavy and hurting and his mind is going around in circles.

Meanwhile near the ICU:

Dilshad: Najma tum Tanveer ko yahan se lekar chali jao.

Najma: Ji ammi. Lekin unhe chhod aane ke baad main yahan wapis aa jaungi.

Tanveer: Iski koi zarurat nahi hai Najma. Main kahin nahi jaa rahi hoon. Main yahin rukungi.

Dilshad: Nahi Tanveer tumhe aaraam ki zarurat hai. Main aur Asad hain na yahan pe!

Tanveer: Par aap dono ki khayal kaun rakhe ga? Dekhiye Jammy ko, kitna toot gaye hain woh. Unhe sambhalne ke liye mujhe toh yahan rukna hi padega. Aur aap apni haalat dekhiye khala, aap ka bhi toh tabiyat kharab hai na? Aap ki khayal kaun rakhega? (Thinking):Waise bhi mujhe Zoya ko aaj hi khatam karna hoga chahe jo kuch bhi ho jaye. Uska zinda rehna mere liye khatarnaak hai.

Najma: Ammi Tanveer sahi keh rahi hai. Hum dono ko yehi rukna chahiye aap dono ka khayal rakhne ke liye.

Dilshad: Theek hai. Jaisi tumhaari marzi.

Outside the prayer room:

Asad is lost in the thoughts of Zoya. Their first meet. Their first fight. Those uncountable number of moments when he had lost himself in those beautiful doe eyes. As he is thinking he takes the blue-covered blackberry and caresses it. He gave this to Zoya right after the incident in Mangalpur. Mangalpur. His heart lurches as he remembers that awful day. That day when his heart stopped beating alongwith Zoya's. Fresh tears roll down his cheeks again. Absent-mindedly he presses one of the buttons on the mobile. A message appears:

'Play Recording?'

Recording? What recording? Maybe the phone had been dropped during the struggle and and that time the voice recorder button had been pressed? Asad checks the size of the file. 30 mb??!! What if...what if everything that happened in the jungle had been recorded?! Maybe the recorder had stopped recording when the allotted memory finished! Anxiously, Asad pressed the 'yes' button. The recording started playing:

"Please, please mujhe chhod do! Maine tumhara kya bigada hai?!"

Asad recognizes the voice immediately. Zoya.

"Kya bigada hai?! Yeh poochho kya nahi bigada hai!"

Tanveer?! What is Tanveer saying?I And Why the hell is Zoya pleading to her for heaven's sake?

"Please Tanveer! Please inse kaho ki mujhe chhod de! Tumhe jo chahiye woh main tumhe de doongi! Please bolo ki tumhe chahiye kya?"

"Achha? De dogi? Mujhe apne bache ke liye ek baap chahiye. Duniya ko apni aukaat dikhane ke liye ek maaldar bakra chahiye. Ek shauhar chahiye. Mujhe Asad Ahmed Khan chahiye. Dogi mujhe?"

"Asad...kya?! Tanveer ye kya keh rahi ho tum? Aur baccha? Tum ma banne waali ho? Par kaise? Kiska baccha hai yeh Tanveer?"

"Chup kar ladki! Tujhe isse koi matlab nahi. Tu chup-chap sirf yehi bol ki kya tu Asad ko mere hawale karegi ya nahi?"

"Kabhi nahi! Mr. Khan se mera nikah hone wala hai. Aur main unhe tumhare jaal mein padne kabhi nahi doongi! Main unhe sab kuch bata doongi!"

"Kya bataogi usey tum? Kahogi ki Tanveer ne mujhe marne ki koshish ki? Aur woh tumhari baat maan lenge? Woh tumse kahin zyaada mujh par bharosa karte hain Zoya! Kabhi nahi maanenge ki unki pyaari si, samajhdar Tannu kisi ko bhi chot pohoncha sakti hain! Par waise, tum bologi bhi kaise? Kyunki, usse pehle to tumhe mere aadmiyo se aur mujhse bachkar nikalna padega. Aur yeh hone nahi wala hai kyunki tum abhi upar jaane wali ho. Ha ha haha!!!"

"Aur Tanveer tum kya samajhti ho? Tum kahogi ki Zoya ko jungle mein kisi ne aake maar diya aur woh tumhari baat maan lenge?! Kabhi nahi! Woh mujhe bachaane zarur ayenge! Main jaanti hoon ki woh mujhse kitni mohabbat karte hain! Woh mujhe kuch bhi hone nahi denge samjhi tum! MR. KHAN! PLEASE YAHAN JALDI AAJAIYE! MR. KHAN! ASAD! ASAD!! PLEASE MUJHE BACHAA LIJIYE! ASAD!!!"

"Tumlog yahan khade khade mere mooh kya dekh rahe ho! Mooh bandh karo iss ladki ka abhi! Aur chillana bandh kar Zoya. Kyunki na to Asad yahan hain, aur na hi woh tumhe sun sakte hain!"

"Mrrfff...mmmrrfff!!!"

"Hogaya munh bandh Zoya? Chalo achha hai. Bahot bolti ho tum. Kitni baar. Kitni baar koshish ki maine ki Asad tumhe ghar se bahar nikaal de. Jab tumne gas fix kiya tha toh main ne leak karwa di. Tumhare haathon Asad ko peanuts khilwaya jisse unhe zabardast allergy hai. Humeira ko khilane ke liye jo mithaayi tum laayi thi usmein maine zeher milaya. Mr. Bhataodekar ko baar baar phone karke bataati rahi tumhari expiring visa aur tumhari aur Asad ki nakli engagement ke bare mein. Apna khoon murgi ke khoon se badla. Tumhari saree jala di taaki tum usey pehen na sako. Par nahi! Tumne meri saari tarkeebon par paani feir diya!!! Phir maine live wires se tumhe maarne ki bhi koshish ki thi. Par Asad ne phir tumhe wahan se bacha liya!!! Par iss baar tum kuch bhi nahi kar paogi Zoya! Kyunki iss baar mera plan full-proof hai! Koi bhi tumhe nahi bacha payega! Ha hahahaha!!!"

"Mmmrrrhhhmmm...mmmrrfff!!!"

"Uska mooh kholo. Dekhein ki woh kya kehna chaahti hai!"

"Yeh...yeh sab tumne kiya tha Tanveer! Par kyun?! Hum sab ne to tum par kitna bharosa kiya tha Tanveer! Aur...aur tum toh Mr. Khan ki sabse purani dost ho! Woh tumhe kitna trust karte hain Tanveer! Tum unke saath aisa kaise kar sakti ho!"

"Kyun? Kyunki mujhe Asad chahiye Zoya! Aur tumhaare rehte aisa kabhi nahi ho sakta. Isiliye maine apni factory ki jal jaane ki jhooti kahaani suna kar yahan reh gayi taaki main tumhe apne raste se hataa sakun aur unhe apna bana sakun! Aur aaj main apna yeh sapna pura karke hi rahungi!!!"

"Tumhara sapna sapna hi rahega Tanveer! Aur tumhi ne toh kaha hai ki mere rehte Asad tumhare nahi ho sakte! Toh tum yeh bhi jaan lo Tanveer ki mere jaane ke baad bhi Asad mere hi rahenge. Woh kabhi kisi aur se mohabbat kar hi nahi sakte! Tum unke dil mein meri jagah kabhi nahi le paogi! Kyunki main unke dil mein basti hoon aur woh mere dil mein! Main unse be intehaan mohabbat karti hoon aur woh mujhse. Woh bhale hi mujhse kuch na kahe lekin aisa main ne unki aankhon mein dekha hai. Tum kabhi bhi mujhe unke dil se hataane mein kamiyaab nahi ho paogi Tanveer! Aur tumhare bacche ka kya? Tum unhe itna bewakoof samjhti ho ki woh tumhare bache ko apna khoon maan lenge?! Tum bewakoof ho Tanveer!!!"

"SHUT UP ZOYA!!! Bahot fad-fada rahi ho. Tumhare par toh ab kaatne hi padenge! Pakde rehna usey, kahin jaane na paye!"

"Ji Bibi ji!"

"Tanveer! Chhod do mujhe! Maine kaha chhod do! KOI BACHAO! HELP! ASAD! PLEASE MUJHE BACHAO! HELP!"

"Chhod doon? Theek hai. Ab jab tum itna keh rahi ho toh tumhe chhodna hi padega. Taaki tum tum wahi ja sako jahan tumhari ammi aur abbu hain!"

"Tanveer please! No!"

"Alvida Zoya!"

"No Tanveer! PleasAAAHHH!!!!!!"

"HA HAHAHAHAHAHA!!!!"

Asad's world froze. That blood-curdling scream. Tanveer did that. To Zoya. He grabbed his hair in his fists, unable to take it anymore. He had just heard proof of what his best-friend had done to his life. His Zoya. Tanveer tried to kill Zoya. She almost succeeded. Tanveer did all those horrible things to him and his family...Tannu did...His mind stopped working trying to process all that he had just heard. He couldn't believe his ears. It was so difficult to process everything...Zoya's pleas, Tanveer vicious confessions, Zoya's trust in his love and her declaration of love for him, and then...her gut-wrenching shriek and Tanveer's cruel laugh. The recording continued playing:

"I can't believe it! Zoya finally mere raaste se bahar! Ab Asad ko mera hone se koi nahi rok sakta!"

"Par Tanveer bi, aap unse kahengi kya?"

"Woh main dekh loongi. Tum mujhe ek patthar do. Aur yeh sab cheezein kahin chhupa do. Aur yeh chaaku bhi lo, isey kisi ke haath mat lagne dena."

"Ji theek hai. Par patthar ka kya karengi."

"Sawaal mat poochho. Maine jaisa kaha, waisa karo."

"Theek hai, yeh lijiye."

"Aaahhh!"

"Bibi ji yeh aap kya kar rahi hai? Apne sar ko patthar se kyun maara?! Dekhiye ab khoon bhi nikal raha hai! Aur ab aap apne upar dhool mitti kyun laga rahin hain bhala?"

"Ab agar main bahar jaake Asad se bolungi ki hum dono par daakuon ne hamla kiya aur haathapaayi mein Zoya ko ek ne chaaku maar di aur main bach gayi bina kharoch bhi lage, woh thodi na meri baat maan lenge? Aisa toh lagna chahiye na ki ladaayi ke dauran mujhe bhi chot lagi aur main apni jaan kisi bhi tarah bacha kar bhaagi hoon!"

"Arrey haan! Bibi ji aapke dimaag ka jawaab nahi!"

"Woh toh hai!"

"Tanveer bi hamare paise?"

"Kal tak mil jayenge. Waise bhi aaj toh main bahot khush hoon! Aj mere jashn manane ka din hai! Kal tak tum logon ko tumhare paise mil jayenge. Abhi bhaago yahan se!"

"Ji Bibi ji."

"Zoya, Zoya, Zoya. Achhi ladki thi tum. Par agar tum mere raaste ka kaanta na hoti toh mujhe aisa karne ki koi zarurat nahi padti. Par kya karein? Tum to maani hi nahi! Isiliye mujhe tumhe apne raaste se hataana pada. Alvida Zoya! Ab hum kabhi nahi milenge!"

Asad's blood boiled with anger. How dare she? HOW DARE SHE? HOW could she even THINK of trying to kill his Zoya?! Asad was about to slam the phone down and break it into pieces in his anger but he checked himself. He clenched his fist and punched the wall instead. Hard. So hard that blood started flowing down his knuckles. No. He had to think straight now. Tanveer had done this and she would be punished no matter who the hell she was. Nobody, nobody tried to mess up his life. No one. Wait. Hold on a moment...Tanveer was still in the hospital, wasn't she? She knows that Zoya knows everything about her. She herself told her. That means she will try to harm her again. Oh no. Oh No! NO! Not Again! He couldn't let this happen again! NO! Taking the phone Asad ran. Fast. He had to reach the ICU. He couldn't let anything happen to Zoya. Not this time.


So here ends part two! I hope this was upto your expectations guys!!! Please let me know through your likes, comments and reviews!!!! They mean a lot!!!

Edited by loveQH - 12 years ago
Guguminti thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#52
awesome dear

and yeipeee 1st to comment on such amazing TS 😃
Edited by Guguminti - 12 years ago
friendsall thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#53
Excellent!!!! gud u brought both d confessions together!!! Tanu s evil one n Zo s love!!!

Ab next part kan aayega????
Madame_Noddy thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#54

Originally posted by: friendsall

Excellent!!!! gud u brought both d confessions together!!! Tanu s evil one n Zo s love!!!


Ab next part kan aayega????



Jald hi aayega!!! Sabhr karo dost! Sabhr ka phal meetha hota hai!!!
parthpathak31 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 12 years ago
#55
awesome yaar
cant wait to read further...👍🏼
Amayaa thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#56
My goodness that was superb!!👏👏
You hv written it so well I had the visualisation of entire story running into my mind...
Tanveer the🤬 Nw waiting to see asad's reaction on knwing her so called best frnd's truth
Poor zoya I knw he will not let anything happen to her
but I want u too make him recall all those moments where he blamed zoya unneccessarily..😭
This will be repentence frm his side and we will hegt to see guilt wala asad😆

Waiting lyk hell for the next part..update soon😊
shami810 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#57
Very nice part dear..!!!!
do cont soon..!!!
Santhu.The.King thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#58
awesome.. con't wait for next part... written wonderfully
Madame_Noddy thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#59

Originally posted by: asya143

My goodness that was superb!!👏👏

You hv written it so well I had the visualisation of entire story running into my mind...
Tanveer the🤬 Nw waiting to see asad's reaction on knwing her so called best frnd's truth
Poor zoya I knw he will not let anything happen to her
but I want u too make him recall all those moments where he blamed zoya unneccessarily..😭
This will be repentence frm his side and we will hegt to see guilt wala asad😆

Waiting lyk hell for the next part..update soon😊



Thanks a lot for such a long review!!! You'll see a lot in the third chapter! Hopefully i will finish writing it by tomorow. Let's see what time permits!!! 😃
_Nabeela_ thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#60
I love it please continue soon i cant wait :-)

Related Topics

Qubool Hai Thumbnail

Posted by: Coloursoflove

2 years ago

*New chapter updated* Asya FF: Rendezvous with Honor *New chapter updated* Asya FF: Rendezvous with Honor

Asya FF: Rendezvous with Honor Asad Ahmed Khan is the prodigal son. All the tabloids say so. Coming from an affluent family in Bhopal, he's done...

Expand ▼
Qubool Hai Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

AsYa FF ~ Broken Ties (chapter 5 updated)

[NOCOPY] Hello everyone! Happy to be here. I was searching for an opportunity to be here with all of you as a member after a long time as writer...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".