He was getting nervous now.If theywere discovered committing fraud it would be disastrous.He didnt understand why he hadnt just let her go.It was completely unlike him to be so irrational.He couldnt think of any logical reason why he hadnt just let her be taken back to New york,except that...in those moments when she was being taken away,he had felt a piercing sensation as though someone was plunging a knife through his heart.A sense of fear and helplessness took over that was doubled when his frustrated eyes met her her pleading ones. It was this bundle of emotions along with his constant need to come to her rescue that made him take such an impulsive decision. It almost had him thinking all this would be worth it as long as he could hear her tinkling laughter and chirpy voice everyday. And he had to admit that for some strange reason,it did feel rather nice when she held onto his arm possessively as though it was her right..."So,how did the proposal take place?" Mr Dhurundhars booming voice said,immediately bringing Asad out of his thoughts of his Ms New york.
Background:After the test,Mr Dhurundhar is still not satisfied and so he tells them he is appointing one of his employees to monitor them for a week to be sure they are not lying.
Scene 1 (Asads House)
Asad: Miss Farooqui,Visa office se Mr Dhurundhar ke employee humein ek haphte tak monitor karne waale hai aur iss dauran humein unhe iss baat ka yakeen dilaana hoga ki hum sach me sagai karne waale hain.
Zoya:Sabse pehle agar aapko unhe convince karna hai to aapko 'Miss Farookhi' chodkar mujhe 'Zoya" bulaane ki practice karni hogi haina Mr Kha...I mean...Asad.(smiles mischieviously)
Asad: Haan,woh...okay,Zoya... toh theek hai, please yaad rahkna ki aap ko aisa kuch nahi krna hai jisse unhe kuch bhi pata chale.
Zoya: ofcourse not,vaise bhi main apne hone waale shauhar ko gussa toh nahi dilaana chahungi haina? (winks,smiles and leaves)
Asad:(Looks akward,smiles and then shakes his head) Bas yeh visa ka masla khatam ho jaaye,phir main inse door hi raha karoonga.
(NOTE: Im introducing a new character called Kabir,he would best be played by Ashish kapoor of the sony tv show dekha ek khwab hai and will get the jealous side out of Asad)
Scene 2: (Mr Dhrundhars office)
Dhurundhar: Kabir,main tumhe ek high priority case par appoint kar raha hooon,jisse handle karne ke liye tumhe chaalaki se kaam lena hoga.
Kabir: Dont worry sir,main iss case mein jaan laga doonga
Dhurundhar: Good,very good. Immigrant ka naam hai Ms Zoya farooqui aur unka yeh kehna hai ki unka india mein rehna zaroori hain kyonki unki,Asad ahmad khan namak shaks se sagai hone waali hai.Tum to jaante hoge ki main kaayde+kanoon ko kitna maanta hoon.Main ye yakeen ke saath keh sakta hoon ki yaha ek bahut bada jhooth bola ja raha hai,visa ke khatir. Tumhe iss jhooth ka parda fash karna hain unhe ek haphte tak monitor karke.
Kabir: I understand sir. Aap jaisa chate hai,vaisa hi hoga.
Dhurundhar: Yeh hai unka address aur haan,ek baat yaad rakhna...jitna maine un dono ki shaksiyat ko parkha hai,Zoya kahaniya banakar sach ko chupane mein maahir hain,lekin Asad ka har khayal uske chehre par saaf nazar aata hain. Iss liye tumhe Asad ka Zoya ki taraf kaise vyavahaar hai yeh bahut closey observe karna hoga,but Zoya ke case mein jitna tum usse zyaada baat karoge utni asaani hogi tumhe uski kahaniyo mein nooks nikalne ke liye. Isse tumhe dono ki sachai bhi pata chal jayegi aur saath me yeh baat bhi teh hai ki koi bhi mard apni hone waali patni ko kisi aur mard se gappe ladathe hue dekh khush nahi hoga. Issme bhi hume Asad ke through yeh pata chal jayega ki unke rishte ki sachai kya hain.
Kabir: Theek hai sir,aapka kaaam ho jayega,saath mein main dono ke personal details miss dolly se le loonga,kam mein asaani ho jayegi.
Dhurundhar: Theek hai,ab tum jaa sakte ho. (Kabir leaves) Aur issi ke saath Ab tak pachattar ban gaye Ab take chihattar! (Laughs to himself)
Scene 3: (Asads House)
Zoya: Phoophi! Phoophi! :
Dilshad :Haan beta,bolo kya baat hain?
Zoya: woh kya hai ki,Mr Dhurundhar ko convince karne ke liye,maine ye list banaya hai jisse main asad ki saari baatein jaan sakoon,aap meri help kar dengi?
Dilshad: Ofcourse beta,bolo kya jaanana hai?
Zoya: Pehle toh unko favourite food dish kaunsa hai?
Dilshad: Asad ko sabse zyaada,chocolate cake pasand hai. Tumhe pata hai,ek baar jab asad kuch 5 saal ka tha,maine chocolate cake banya tha,kuch der baad jab fridge khola toh dekha ki asad plate pe baitha hai aur chocolate cake gayab hai!
Zoya : (laughs) Accha abhi bhi itni pasand hai unko,chocolate cake? (gets lost in thought)
Dilshad: Haan,abhi bhi shaukh se khata hain! Aur batao,kya jaanana chahti ho...Zoya?
( sees that shes lost in thought)
Zoya: (snaps out of her daydreaming) Kya? Oh haan phoophi abhi ke liye itna kaaphi hain,mera ek zaroori kaam hai,woh mein niptaake ke aati hoon,thankyou so much phoophi! (leaves the room)
Dilshad: bas itna hi jaanana that? (confused) Ajeeb ladki hai,par hai bahut pyaari. (smiles and goes into the kitchen)
Scene 3: (Asads room)
( Asad is pacing up and down the room and talking to himself)
Asad: Yeh Miss farooqui bhi na,jaha bhi jaati hai,musibaat ko saath lekar. Unka kuch nahi ho sakta!
(the image of zoya dressed in a pink sari,talking about her dimple flashes in his brain making him smile) Yeh main kya soch raha hoon,inse toh door hi rehna chahiye,apne khayalo mein bhi!
(Sits down and start reading a book,when he remembers Zoya holding his arm and saying "main dar gayi thi ki kahi aap mujhe apne inse juda na kar de,haina ji?" he smiles again,then shakes his head stopping himself)
Asad: Zoya ke saath rehkar mein bhi paagal hote jaa raha hoon...pink roses...puppy...kitni bakwas karti hain. Vaise main kyun uske barein mein soch raha hoon,inse door rehna hi mere liya theek hai (Yes,he just called her Zoya)
(goes out to get a glass of water and sees Zoya is in the kitchen,rushes back into the room and closes the door,his heart beating wildly in his chest.)
(In the kitchen)
Zoya: Aur yeh tayyar ho gaya chocolate cake! Hopefully Mr Khan ko pasand aayega. Main khud doongi toh kuch kadvi baatein kehkar mujhse ladayi karne lagenge...isse acha hain main yaha table par rakh deti hoon,isse mera kaam bhi ho jayega aur main bina ladayi kiye unka shukriya ada kar paoongi.
(Awhile later,Asad comes out and sees the kitchen is empty,drinks water and is about to go back into his room when he sees a chocolate cake on the dining table. He goes closer and sees that it says "THANKYOU" and beside it lies a note that says:
"Aaj apne mere liye jo kiya,woh maine aapse kabhi expect nahi kiya tha...phir bhi aapne ki toh hai,meri madad and I just want you to know that I really appreciate it.Aaj aap pareshaan bhi lag rahe the aur phir Phoophi ne bataya ki aapko chocolate cake bahut pasand hai,so maine bana diya. Iss baar dhyan se banaya hai iss liya dont worry,andar CD nahi sirf chocolate filling hi hai."
-ZOYA
(Asad stares at the cake in amazement wondering about this girl who at one end caused him the highest degree of irritation possible and at another end could make even a stone heart like his melt with her sweet and thoughtful gestures)
Precap: Kabir's intro with the song kukkad from student of the year,he comes into asads house looking crazy hot:
Inna sona, inna cool
Munna inna wonderful
Ennu vekhe je kudiya toh kehndi
"Oh My God! Oh My God!..."
Zoya and Najma see him and go "Oh my god" in sync with the song and Asad looks at zoya with an irritated expression.
Then,Zoya trips and is about to fall and asad goes to catch her but she falls into Kabirs arms while the song plays:
Munda better than the rest
Ennu vekhe ke munde toh kehnde
"Oh My God!
Zoya says,Im so sorry,and Kabir says "its okay senorita,bade bade deshon mein aisi choti choti baatein hoti rehti hain" with a wink,Zoya blushes and Asad says "Oh my god" (in sync with the song) disgustedly while giving Kabir a dirty look.