Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 19th Oct 2025 - WKV
BADMINTONN🏸 19.10
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 20th Oct 2025
SECRET OUTT 20.10
🪔🎆Glow Forth and Prosper: Happy Diwali🎆🪔 + Game Sign-up
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 20 Oct 2025 EDT
Are they Ram Sita ? I am a Christian so ? tell
🎬 Khan-tastic Stories – A 90s Bollywood Writing & Graphics Contest
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 19, 2025 EDT
Parineeti and Raghav blessed with a baby boy!
Should Sidharth Malhotra just quit acting?
It's A Boy To Parineeti Chopra Raghav
Diwali Dhamaka: Why does Vicky look so much like Nawazuddin Siddiqui?
13 years Student of the year
Anupamaa 20 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Book Talk Reading Challenge & Book Bingo, November '25 || Sign-up OPEN
Ibrahim Ali Khan Admits Nadaaniyan Was A Bad Film
Veteran Actor Asrani Passes Away
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 21, 2025 Episode Discussion Thread
Peda Hui Ladki To Musam Badal Gaya,
Jaise Khila Gulab Murjha Gaya..!
Unhe Laga Ke Ladka Ho Gaya,
Per Jab Suna Ki Peda Hui Ladki To..
Unka Chehra Utar Gaya,
Jaise Unke Liye To Waqt Hi Tehar Gaya..!
Na Jaane Kyo Ladki Ke Peda,
Hone Per Chha Jati Mausi Hai..!
Isme Dosh Sirf Aadmi Ka Nahi Jab Peda,
Karne Wali Maa Hi Badal Si Jati Hai..!
Na Jane Kyo Wo Bhul Jati Hai Ki Wo Bhi,
To Kabhi Ladki Banker Is Duniya Me Aati Hai..!
Or Ek Ladki Hi To Vans Aage Chalati Hai,
Jab Pehle Pata Chalta Hai Ki Uski Kokh Me Ladki Hai..
To Wo Wahe Uski Hatya Kar Deti Hai Ya Karwa Teti Hai,
Ab Kisi Or Se Kya Kahe Jab Ek Maa Hi Beti Ki Dusman Ban Jati Hai !!!
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya,
Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya…!
Kuch din to mera aks raha ayeena naqsh,
Phir yoon huwa ke khud mera chehra badal gaya…!
Jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay,
To kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya…!
Kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari,
Us nay churaaya haath to sehra badal gaya…!
Koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi,
Jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya…!
Ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal,
Wo be niaaz saara ka saara badal gaya…!
Uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan,
Parda utha to saara tamaasha badal gaya…!
Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay,
Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya…!
Kehnay ko ik sehan main deewar hi bani,
Ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya…!
Shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha who,
Manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya…!
Qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi,
Tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya…!
Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka,
Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya…!
Andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee,
Us no bahaar naaz ka chehra badal gaya…!
Aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye,
Woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee…!
Apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log,
Hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya…!.!!.!!!!
Muqaddar phir say aaRay aa gaya na,
Gulab es baar bhi murjha gaya na…!
Kaha bhi tha ke palkain moondna mat,
Kisi ka khawb phir chounka gaya na…!
Bhula baythay thay jis ko tum achanak,
Phir aglay mour par takra gaya na…!
Mayree haalat pay tum hayrat zada thay,
Tumhain bhi dasht aakhir bha gaya na…!
Zara bhi paon main larzish naheen hay,
Hamain kantoon pay chalna aa gaya na…!
Ousay jatay hoay daykha hi keon tha,
Woh manzar aank main pathra gaya na…!
Wohi milna, bicharna, toot jana,
Kahani waqt phir dohra gaya na…!
Muhabbat es jahan ki shaay naheen hay,
Samajh main ab tumharee aa gaya na…!
Kaha tha hijar palkoon say na choonanna,
Amawas aankh main tehraa gaya na…!!
Kabhi Us Ko intezar Mera Tha,
Ye To Bus Aeitbar Mera Tha…!
Kuch Hum He Khush Fehem They Shayad,
Ke Us Pe ikhteyar Mera Tha…!
Kabhi Us Ki Haalat na Vesi Thi,
Jesey Dil Beqrar Mera Tha…!
Ghamo main Qaid Kar Gaya Mujh Ko,
Wohi Jo Gham-Gusar Mera Tha…!
Mein Kesey Bhul Jaoo Us Shakhs Ko… MANI
Jo Kabhi Eb Bar Mera Tha…!..!.!!!!