In Night-
Raat mein sab logo ke sone ka wait karti hai.Tabhi use Abhay ka sms aata hai-Tumhe aaj sab kuch yaad aa jayega Sukriti.
Sab logo ke so jane ke baad Pia jungle chali jati hai. But Misha use jungle mein jate hue dekh leti hai and woh pia ko follow karne lagti hai.Jaise hi Pia jungle mein entry karti hai, waise use lagta hai ki koi use dekh raha hai.
Raaton ki tanhai mein (woh jungle mein jane lagti hai)
Subhon ki parchayi mein (Misha bhi use follow karti hai)
Chehra hai kya (She is remembering Abhay)
Yeh meri aankhon mein (Pia-I don't know abhay mujhse kya kehna chahta hai)
Khushboo hai kya (Pia jungle mein bahut aage chali jati hai but jungle khatam hi nahi hota)
Yeh meri saasson mein (Pia ko ab dar lagne lagta hai but woh phir bhi nahi rukti)
Kaisa yeh raaz hai (Misha-Oh god, yeh sis itne raat ko jungle mein kyun ja rahi hai?)
Jo ke khulta nahi (Jab Pia jungle mein bahut aage chali jati hai tab use darkness mein kuch dikhayi nahi deta)
Kyun mere zehen mein (aur darkness mein Misha ko Pia dikhayi nahi deti.)
Tu hai aye ajnabee (Pia dar jati hai aur charon taraf dekhne lagti hai)
Hota hai jo sawaalo mein (Tabhi use samne se bahut sare bats aate hue dikhte hai)
Milta nahi Jawabon mein (Par woh un bats ko bina dare dekhti rehti hai)
Rehta hai jo khayalo mein (Tabhi use yaad aata hai ki Abhay ke hath par bhi ek bat ka tatoo tha)
Ab tak hai woh hijabo mein (Par woh wapas confuse ho jati hai ki abhay use kya batana chahta tha)
Hai dil ka yeh (woh ghabrakar charon aur dekhne lagti hai)
Kaisa mausam (Pia (crying) -Help me...Help)
Na Dhoop Hai (Misha Pia ki aawaz sun leti hai and aawaz ke direction mein jane lagti hai)
Na hai Shabnam (Pia ko kisike chalne ki aawaz sunai deti hai)
Kaisa Yeh raaz hai (jab woh piche mudti hai to abhay ko samne dekhti hai)
Jo ke khulta nahi (Woh bas uske ankhon mein kho jati hai)
Kyun mere zehen mein (Tabhi wehan bahut sare bats aate hai and Abhay gayab ho jata hai)
Tu hai aye ajnabee (Pia achanak faint ho jati hai and tabhi misha wehan pahuch jati hai.)
Pia's Room-
Pia ko hosh aa jata hai.Jab woh eyes open karti hai tab dekhti ki Misha and harshad bahut tension mein hai.
Pia-dad what happened? Aap itne tension mein kyun ho?
Harshad-Pia,tum thik to ho?
Misha-sis tum itni raat ko jungle mein kyun gayi thi?
Pia-aise hi...Mujhe nind nahi aa rahi thi isliye ghumne gayi thi.
Misha-aur tum chillayi kyun thi and behosh kaise ho gayi?
Pia-mujhe kuch yaad nahi hai misha. Please mujhe ab nind aa rahi hai. Kya hum is barien mein kal baat kare?
Harshad-ok.Good Night.
Pia-Good night dad.Good night misha
Misha-Good night sis.
Raichand Villa-
Avantika-Abhay aaj tumhari is harkat ki wajah se pia humara sach jaan chuki hai.
Abhay-mom woh pia nahi hai.Woh sukriti hai, jo humara sach pehle se janti hai.
Avantika-aur ager woh pia hi hai to humein yeh shehar bhi chodna hoga.
Alisha-don't worry mom. I am sure ki woh Sukriti hi hai. Werna woh baar baar abhay se baat karne ki koshish nahi karti
Avantika-tum dono ko jo karna hai karo. Bus ek baat yaad rakhna, humara yeh raaz kisiko bhi nahi pata chalna chahiye.
Sameer-humara raaz kisiko pata nahi chalega Avantika
Avantika-Oh really? Aaj ager hum sahi time pe jungle mein nahi jate to abhay pia ko sab bata deta. Aaj ke baad raat ke 3 baje se pehle jungle mein koi nahi jayega.
4