FF: Kriya made for each other pt18 updtd pg#72 - Page 55

Created

Last reply

Replies

656

Views

39k

Users

27

Likes

1k

Frequent Posters

GunDaa thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago

Originally posted by: abhishek_kriyaa



Ap bhi manti hai na ki huma di dil ki saaf aur sone(gold) jaisi hai...par hamari huma di nhi manti hai... Unhe lagta hai ki wo achi nhi hai ...kitni innocent hai wo sach me!!!!



vo majak karti hain bhai...
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Han amit bhai me janta hu..huma di majak karti hai...kaun bhala khud ke hi muh se taarif karega...
Hum playboys ki baat alag hai...hum khud ki taarif khud kar sakte hai...par ye nhi...😆
GunDaa thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago

Originally posted by: abhishek_kriyaa



Han amit bhai me janta hu..huma di majak karti hai...kaun bhala khud ke hi muh se taarif karega...

Hum playboys ki baat alag hai...hum khud ki taarif khud kar sakte hai...par ye nhi...😆

aree hamari toh baat alag hi hai ...hahaha
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: PiE-ChUcKeR_AmI

aree hamari toh baat alag hi hai ...hahaha

han bhai hum hai hi unique piece...lakhon me ek...😆😆


abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago




Pratigya apne ghar ke bahar krishna ko dekhkar shock reh jati hai...

Vishal bhaiya ka wo gift krishna ke roop me dekhkar pratigya soch me pad jati hai ki aakhir vishal bhaiya ko krishna ke baare me kaise pata chala...


Krishna bhi pratigya ko dekhkar aise khush ho raha tha jaise kisi chhote se bachche ko chocolate mil gayi ho...


Krishna aur pratigya ek dusre ki aankho me aise nihar rahe the jaise ek dusre ki aankho me dub jana ho...


Pratigya: Krishna tum yahan!!!


(pratigya krishna se ye sawal aise puch rahi thi jaise use pata hi na ho ki wo vishal bhaiya ka gift hai!!!)


Krishna: Haan..mujhe tumhare bhaiya ne bulaya hai!!!


Pratigya: Kyun !!!


Krishna: Pratigya madam...ab kya saare sawal ap mujhse yahin gate par poochegi...andar nahi bulaogi...


Pratigya: oops!!! Im sorry krishna!!! Aao andar ...tum yahan sofe par baitho ..main tumhare paani lekar aati hun...


Krishna: Ok...jara jaldi aana!!


Pratigya: ok krishna..abhi aati hun..


Pratigya hall se seedhe vishal bhaiya ke room me jati hai...


Pratigya: Bhaiya aapko kaise pata laga ki me aapse kya maangne wali hun!!


Vishal: Bhai agar apni behan ke man ko achi tarah se samajh na paye to wo bhai bhai nahi hota wo ek kasai hota hai jo apni behan ki khushiyo ka gala kat deta hai...aur main apni behan ki khushi janta hu ...wo khushi aur kuch nahi sirf aur sirf krishna hai...hai na???


Pratigya: Haan bhaiya...Main krishna se bahut pyar karti hun...wo mera sab kuch hai...mujhe paisa gadi bangla kuch nahi chahiye...mujhe sirf krishna chahiye...


Vishal: Tumhare man me abhi jo sawal uth raha tha ki mujhe krishna ke baare me kaise pata laga to me tumhe jarur bataunga...


"Tumhe yaad hai pratigya...jab me kal London se ghar aaya tha tab tum mom se apni khushi jaahir kar rahi thi...aur mene tumse kaha tha ki tum mere aane ki khabar se khush ho...us waqt maine tumse jhuth bola tha...maine ghar ke bahar hi tumko aur krishna ko saath me barish me bike par bhigte hue dekh liya tha..tum dono ek dusre ke saath bahut khush nazar aa rahe the...wo tumko ghar tak chhodne aaya tha shayad..."


" jab tum ghar ke andar chali gayi tab main krishna ke pass gaya.."


Vishal: ye sab kya chal raha hai!!!


Krishna: Kya chal raha hai matlab!!! Tumhe nahi dikh raha ki hum baarish me bhig rahe hai..!!


Vishal: wo to mujhe dikh raha hai...lekin ye batao ki meri behan ke saath kya chal raha hai!!


Krishna: Kaun behan...kaisi behan!!! Main tumhari kisi behan ko nahi janta..


Vishal: Acha!!!! Nahi jante!! Tumhari bike par jo ladki abhi baithi thi ...wo meri behan hai samjhe!!!


Krishna: k..k...k...kya!!!! Tum pratigya ke ek aur bhai ho!!!!


Vishal: Aaj ke baad meri behan ka naam tum apni gandi zuban se kabhi mat lena...aur ye ek aur bhai ka kya matlab!! Tum dusre bhai ko jante ho!!!


Krishna(himself): us kameene ko kaun nahi janega!!


Vishal: kya!!! Tumhne kuch kaha!!!


Krishna: Nahi nahi..main to ye soch raha tha ki aapke bhai raj ki kis tarah se tareef karu..wo ladka to sach me laakho me ek hai ..aisa me soch raha tha par aapko dekhkar mujhe lagta hai ki aap dono bhai croron me do ho...


Vishal: Acha !! Makkhan laga raho mujhe!!! Tumko main bread dikhayi de raha hun ...Mujhe jante nahi ho tum ..main bahut hi strict hun...mujhe koi makkhan lagaye mujhe zara bhi pasand nahi hai...


Krishna: sorry bhai...!!


V
lisha: sorry se ab kuch nahi hoga...apna phone number do jaldi se..!!

Krishna: phone number kyun chahiye aapko!!


Vishal: koi mujhse jyada sawaal kare...ye bhi mujhe pasand nahi hai...esiliye acha hoga ki tum mujhe apna number de do...


Krishna: Ok deta hu...+919045510706...


Vishal apne mobile se krishna ka number dial karta hai...aur krishna ke mobile par ring ane lagti hai..


Vishal: Naam kya hai tumhara??


Krishna: Krishnakant...par mujhe sabhi krishna krishna kehkar bulate hai..


Vishal: ok krishna.. Ab tum ja sakte ho yahan se!!!


"Krishna bina koi sawal kiye apni bike start kar wahan se nikal gaya...uske jaane ke baad main jab ghar ke andar aaya to tumhari khushi ko dekhkar meri himmat nahi hui ki me tumse kuch bhi kahu...kyunki me jaan chuka tha ki meri behan ab badi ho gayi hai...aur use bhi kisi se pyar ho sakta hai...ab meri behan sirf meri behan hi nahi kisi ki amaanat bhi ban chuki hai...bas yahi sochkar mene tumse krishna ke baare me koi sawaal nahi kiya...aur khud hi krishna ke baare me jankari nikalne laga..."


"Aur aaj jo mamaji ko police pakad kar le gayi hai na wo bhi sirf krishna ki hi wajah se...krishna ne hi hospital me media ko bulaya aur mamaji ke galat kamo ko poori duniya ke saamne lakar rakh diya..."


"pehle to mujhe krishna par gussa aa raha tha ki wo mamaji ke hospital me media ko bulakar mamaji ki ijjat ko duniya ke saamne uchhal raha hai par baad me jab me poore mamle ko jaan gaya tha to mene bhi krishna ki help karne ki soch li aur mamaji k
e khilaf report kar di..."


"To pratigya ye tha meri krishna ki mulakat ka safar..."


Pratigya: bhaiya aapko kya lagta hai krishna mere kaabil hai ya nahi!!!


Pratigya: krishna meri nazar me ek diamond se kam nahi hai...jaise ek diamond par hamesha chamak bani rehti hai bilkul usi tarah uske chehre par bhi hamesha chamak bani rehti hai aur mujhe poora yakeen hai ki wo tumko bahut khush rakhega...


Pratigya: Aapko krishna pasand hai...mujhe aur kya chahiye!!! Agar aap krishna ke liye razi ho to matlab ghar me sabhi razi ho jayenge..


"Par main bilkul razi nahi hu..."


Vishal aur pratigya ye sunkar shocked reh jate hain..


Vishal ke room ke bahar rajesh singhaniya khade hue the...




Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago







Rajesh: Me us ladke ke liye bilkul bhi razi nahi hun!!!

Pratigya
: Dad aap meri baat ...


Vishal pratigya ki baat beech me kat deta hai...


Vishal: Pratigya, Dad ko me samjhata hun...Dad , krishna bahut acha ladka hai..wo hamari pratigya ko bahut khush rakhega...maine krishna ko bahut kareeb se jana hai...wo pratigya ke liye har tarah se kaabil hai...


Rajesh
: Maine Pratigya ko es ghar me barso se jo esho araam diya hai...kya wo esho araam krishna ese de sakta hai??? Nahi de sakta wo..kabhi nahi de sakta kyunki wo ek mechanic hai..!!

ye baat mujhe abhi abhi krishna ne khud batayi hai...tum ese insaan se kaise shaadi kar sakti ho pratigya jiska koi wajood hi nahi hai...!!

Pratigya: Main krishna se sirf esiliye shaadi nahi kar sakti kyunki wo ek mechanic hai...wah Dad!!! Aaj mujhe pata chal gaya Dad ki aap insaan ko paise ke saath tolte ho...


Vishal: Pratigya, ye tum Dad se kis tarah se baat kar rahi ho!!! Dad bhi tumhari bhalai hi to chahte hai na!!


Pratigya: Nahi bhaiya...Dad ko meri bhalai ki koi chinta nahi hai...inhe to bas apne status ki chinta ho rahi hai ki agar meri krishna se shaadi ho jati hai to duniya wale inhe kahenge ki rajesh singhaniya ka damad ek mechanic hai!!


Vishal: Pratigya, Dad aisa kyun sochenge!!! Dad ko bhi apne status se jyada apne parivaar ki fikar hoti hai..!!


Rajesh: Pratigya, tumne sahi kaha ki mujhe apne status se bahut pyar hai aur main esse kabhi bhi compromise nahi kar sakta...esiliye mera faisla yahi hai ki tum us mechanic se shaadi hargiz nhi kar sakti...acha hoga ki tum use apne dil aur dimaag se hamesha hamesha ke liye nikal do aur use bhool jao..!!


Rajesha ye kehkar room se baahar aa jata hai aur hall me enter karta hai...aur dekhta hai ki krishna abhi bhi wahin hall me sofe par baitha hua hai..


Peeche peeche pratigya aur vishal bhi room se bahar nikalkar hall me aa jate hai...


Pratigya hall me ate hi krishna ka haath kaskar pakad leti hai..
.


Pratigya: Dad..ye maine krishna ka haath thaam liya hai...aur ab ise koi bhi nahi tod sakta...Agar humko koi juda kar sakta hai to wo hai maut...!!


Rajesh: Pratigya...kal tumhe dekhne ke liye ek ladka ane wala hai to acha hoga ki tum bachkani harkatein karna band kar do..


Pratigya: Main shaadi karungi to sirf krishna se warna me apni jaan de dungi...


Rajesh: To phir thik hai tum krishna se shaadi karna chahti ho na...kar sakti ho lekin meri bhi ek shart hai...Krishna ko es ghar me ghar jamai bankar rehna hoga...agar krishna ko ye shart manjoor hai to phir mujhe es shadi se koi problem nahi hai...


Pratigya: Lekin mujhe aapki es shart se problem hai...aapki ye kaisi shart hai!! Krishna ko kabhi bhi ye manjoor nahi hoga ki wo es ghar me ghar jamai bankar rahe...krishna ye shart nahi manega...!!!


Krishna: Mujhe ye shart manjoor hai..!!


Pratigya krishna ki baat par hairan reh jati hai...usne nahi socha tha ki krishna es shart ke liye haan kahega..


Pratigya: Krishna...ye tum kya keh rahe ho!!! Tum es ghar me ghar jamai bankar rahoge!!


Krishna
: To esme burai kya hai pratigya!!! Dad ne tumhari shaadi mujhse karane ke liye ek chhoti si shart hi to rakhi hai to mujhe Dad ki shart se kya problem ho sakti hai...Par Dad ko meri ek baat manni padegi ki shaadi ke baad me to yahan rahunga hi saath me meri chhoti behan aur meri maa bhi yahin isi ghar me rahegi...Dad ko es baat ke liye apni razamandi deni hogi...


Rajesh: Krishna...ye ghar hai...koi dharamshala nahi ki jiski marzi chahe wo yahan reh sakta hai..!!


Krishna: To hum bhi koi kathputli nahi hai ki jiski marzi chahe wo hamein apne isharon me nacha sakta hai...main pratigya se sacha pyar karta hu eske liye mujhe chahe jo bhi karna pade...me karunga par me apne zameer ko nahi bechoonga... kisi bhi keemat par nahi...


Rajesh
: To phir pratigya ko hamesha hamesha ke liye apne dil se nikal do kyunki pratigya tumhari kabhi bhi nahi ho sakti...


Krishna: Dad...Aap mujhse bade hai esiliye meri koi aukat nahi hai ki me aapse kuch bhi keh sakun par ek baat aapse jarur kehna chahunga ki aap kabhi dil se bhi socha kijiye..kyunki jab bhi aap dimaag se sochte hai hamesha hi saamne wale ko takleef hoti hai...pehle bhi kisi ko aapke dimaag se soche hue faisle ki wajah se takleef hui thi...aur uska nateeja ye hua ki usne apni zindagi se haar maan li aur khud ko khatam kar liya..


Rajesh
: Kiski baat kar rahe ho tum !!! Kisne meri wajah se khud ko khatam kar liya!!!


Krishna: Main apne bauji ki baat kar raha hu jisko aapne itna beijjat kiya ki wo aayne ke saamne khud se nazrein nahi mila sakte the..


Rajesh: Kya naam hai tumhare bauji ka??


Krishna
: Sri suryakant ..!!!!


Rajesh singhaniya ki aankhe fati reh gayi ...aisa lag raha tha jaise unhe 440 voltage ka jhatka laga ho...


Rajesh: isse pehle ki main tumhe yahan se dhakka markar bahar kar du...yahan se chup chap nikal jao...


Pratigya: Krishna akela nahi jayega...main bhi uske saath jaungi...aur koi bhi mujhe uske saath jane se nahi rok sakta..


Vishal: Pratigya me tumhari bhavnao ko achi tarah se samajh sakta hu...par tum jo karne ja rahi ho wo bhi to sahi nahi hai...Dad ne itne barso se es ghar me tumhe pyar diya...us pyar ko bhulakar tum krishna ke saath jana chahti ho...ye acha nahi kar rahi ho tum pratigya!!!


Krishna: Pratigya..Vishal bhaiya bilkul theek keh rahe hai...tum ek din ke pyaar ke liye barso ka pyar jo tumhe tumhari family se mila hai use nahi bhula sakti..,.tumko mere saath ane ki koi jarurat nahi hai...ab hamara milan tabhi hoga jab tumhare Dad hamare rishte ke liye razi honge..tab tak tum yahin rahogi...

Pratigya: Krishna...aisa kabhi nahi hoga...,Dad hamare rishte ke liye kabhi bhi razi nahi honge...wo hamare pyar ko kabhi nahi samjhenge...

Krishna: Me vaada karta hun tumse pratigya ki tumhare Dad khud mere pass chal kar ayenge tumhara rishta lekar..!!

Rajesh
: Dekhte hai krishna..!!! Me bhi us din ka intezar karunga...

Krishna ke mobile par achanak ek call aati hai...

Krishna number dekhkar call receive karta hai.


Krishna: Hello !!!

Dusri taraf se pata nahi kya kaha...


Krishna: Kya!!!! Sach !! Me abhi aata hun..!!

Krishna phone cut kar deta hai ...lekin uske chehre par muskurat bani hui thi mano jaise use jindgi ki sabse badi khushi mil gayi ho..




Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago




Meera (krishna's mother)-"Palak beta, aapke bhaiya aapko pareshan to nahi karte hai na.??"


Palak-"Nahi maa!! Bhaiya mujhe bahut pyar karte hai...bilkul pareshan nahi karte..."

Meera-"Aapko pata hai palak.., me haridwar mein jab bhi kisi bhi bhai behan ke beech me ladai dekhti thi na to mujhe hamesha aapki aur krishna ki nok jhok yaad aati thi...aur yahi wajah hai ki aaj me yahan hun.."

Palak-"Maa mujhe bhi teri bahut yaad aati thi...bhaiya to subah jaldi chale jate hai aur main ghar par akeli reh jati hu...aur time pass ke liye saara din tv dekhna padta hai..."

Meera -"Koi baat nahi beta...ab teri maa aagayi hai na ab tera khyal rakhne ki jimmedari meri hai."

Krishna apne ghar me enter karta hai aur apni maa ko dekhkar emotional ho jata hai..
Krishna apni maa ke kareeb jata hai aur unhe gale se laga leta hai..

Krishna-"Maa...aaj me bata nahi sakta ki tujhe dekhkar mujhe kitni khushi ho rahi hai...teri yaad bahut aati thi mujhe...jab bhi me khud ko akela mehsoos karta tab tab teri yaad aati thi..."

Meera-"Bas kar krishna..!! Ab kya sach me mujhe rulayega!! Me ab aa gayi hun na to tera aur palak ka ache se khyal rakhungi...khud ko dekha hai tune kabhi aayne mein??? Kitna thak gaya hai...theek se khata peeta nahi hai kya!!!"

Krishna-"Nahi maa aisi koi baat nahi hai...me apna bahut ache se khyal rakhta hun aur khata peeta to itna hu ki kya bataun...kabhi roti kam pad jati hai to kabhi sabji...!!"

Palak-"Maa bhaiya jhoot bol rahe hai ...bhaiya jyada kuch nahi khate...bhaiya to aajkal kisi ke khyalo me khoye hue rehte hai...!!"

Meera-"Kiske !!"

Krishna-"Kisi ke bhi khyalo me nahi maa...ye to bas aise hi..."

Palak-"Kya bhaiya !! Maa se itna bhi kya sharmana!! Kabhi to unhe pata chal hi jayega na...aaj chahe jo ho jaye me maa ko batakar hi rahungi..."

Meera-"Ab koi mujhe batayega bhi ki baat kya hai.."

Palak-"Maa tujhe pata hai...bhaiya ne tere liye bahu dhund li hai...aur aajkal bhaiya bhabhi ke hi khyalon me khoye rehte hai..."

Meera-"Sach krishna!!!"

Krishna-"Haan maa ye sach hai...me usse bahut pyar karta hun."

Meera-"Tu usse kitna pyar karta hai ye batane ki jarurat nahi hai kyunki me janti hu jo tujhe acha lag jata hai tu usse pyar karne lagta hai...acha ye bata uska naam kya hai??? Kahan rehti hai?? Kiski beti hai?

Krishna-"Maa uska naam pratigya hai...aur wo rajesh singhaniya ki beti hai !!"

Rajesh singhaniya ka naam sunkar meera devi ke tan badan me aag lag jati hai...

Meera-"Wahi rajesh singhaniya na jiski wajah se tere bauji ham sab se itni dur hue hai ki ab kabhi bhi wapas nahi aa sakte..!!"

Krishna-"Haan maa...ye wahi rajesh singhaniya hai jiski wajah se maine apne bauji ko khoya hai..aur esi baat ka badla lunga usi ki beti se shaadi karkar.."

Meera-"To kya tu pratigya se badla lene ki soch raha hai..!!"

Krishna-"Nahi maa...aisa me kaise soch sakta hun...me pratigya ko dil se pyar karta hu aur use dhokha dene ka mera koi irada nahi hai...shayad tune mere badla lene ki baat ko galat le liya...mere kehne ka matlab ye tha ki me uski beti se shadi karke usko dikhaunga ki jyada paise ka ghamand acha nahi hota..."

Meera-"Beta phir bhi ek baar aur soch le...ye itna aasan nahi hai jitna tu soch raha hai.."

Krishna-"Maa tune bete ke roop me barood ko janam diya hai..barood se jo koi takrata hai uska anjam kya hota hai...ye tujhe batane ki jarurat nahi hai...mujhe to sirf tera ashirwad aur tera saath chahiye ...phir dekhta hu ki mujhe pratigya se shadi karne ke liye kaun rokta hai.."

Meera-"Mera ashirwad to hamesha se tere saath hai..aur pratigya ko teri jindgi me lane ke liye bhi me tere saath hu..."

Krishna-"Ab to hamari jeet pakki hai.."





Pratigya-"Mom, me simran ke ghar ja rahi hun...mujhe thodi der ho jayegi esiliye ap meri chinta mat kijiyega..."

Anjali-"Kahin tu simran se milne ke bahane us krishna se milne to nahi ja rahi hai na..!!"

Pratigya-"Mom, agar aapko mere upar shak hai to me nahi jati..me ghar par hi rehti hu.."

Anjali-"Beta me tum par shak nahi kar rahi ...me to sirf itna hi kehna chahti hun ki tum apne dad ke faisle ke against mat jana...warna tumhare dad bahut naraz honge.."

Pratigya-"Dad ko jo kehna tha wo keh chuke aur maine bhi ab unko baat ko maan liya hai to ab unke faisle ke against jane ka to sawal hi nahi uthta.."

Anjali-"Agar mere bas me sab kuch hota to me ye sab hone hi nahi deti..tumhe krishna se kabhi alag nahi hone deti...!!"

Pratigya-"jaane dijiye na mom !! Ab in baaton ka koi matlab nahi...mom ab me simran ke ghar ja rahi hu .koshish karungi jaldi aane ki !!"

Pratigya simran se milne ke liye ghar se nikal jati hai aur anjali pratigya ke baare me sochkar dukhi hoti hai...



Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago


Pratigya simran ke ghar pahunch jati hai ..

Aur hairan reh jati hai ye dekhkar ki Simran ke ghar par tala(lock) latka hua hai..

Pratigya simran ko call karti hai lekin uska cellphone switched off ja raha tha..

Pass me hi ek chai wale ki dukaan thi...

Pratigya chai wale se simran ke gharwalon ke baare me puchhti hai to use pata chalta hai ki do din pehle hi simran kisi ladke ke saath bhag gayi aur uske gharwale badnami ke dar se ye ghar chhodkar chale gaye..

Pratigya apni white car me baithkar phir apne ghar ke liye nikal jati hai...

Ghar par pratigya ko dekh uski maa soch me pad jati hai...

Anjali-"Pratigya, tu abhi abhi to simran ke ghar ke liye nikli thi na phir itni jaldi ghar kaise !!!"

Pratigya-"Mom, main uske ghar gayi thi lekin uske ghar par tala latka hua tha to aur kya karti !! Ghar to ana hi tha na !!"

Anjali-"Uske ghar par tala !!! Kahin gaye hai kya wo log !!??"

Pratigya-"Kahin na kahin to gaye hi honge na esiliye to unka ghar locked hai.."

Anjali-"Hmm...chal koi nahi...tu ek kaam kar jaldi se fresh ho ja main tere liye khana lagati hun.."

Pratigya-"No mom..mera abhi kuch khane ka man nahi hai...baad me jab mujhe bhook lagegi me khud khalungi..aap meri fikar mat kijiye..."

Anjali-"Thik hai...jab tera man ho tab kha lena.."

Pratigya-"Mom, main apne room me ja rahi hu...apko mere se kuch kaam to nahi hai na...!!!"

Anjali-"Nahi beta..mujhe tere se aisa kuch bhi kaam nahi hai...tu aram se apne room me ja.."

Pratigya apne room me chali jati hai...

Pratigya ke jaane ke baad anjali apne pati ke pass jaati hai ...

Anjali-"Aisa kyun kar rahe hai aap!! Aapko pata bhi hai ki aapke faisle se pratigya kitni dukhi hai...na thik se kuch khati hai na kuch peeti hai...na kuch bolti hai na hasti hai...hamesha bindass jeene wali ,khush rehne wali aaj khud apni hasi bhul gayi hai wo bhi sirf aapki wajah se!!"


Rajesh-"To aur kya karun !! Tum kya chahti ho main apni beti ka haath us do kaudi ke mechanic ko de dun!!"

Anjali-"Es baat ki kya guarantee hai ki jis ameer ladke ko aap apna damad banana chahte ho wo hamari beti ko khush rakhega!!! Batao mujhe hai koi guarantee !!!"

Rajesh-"Uske pass paisa hoga gadi hogi shandar aalishaan ghar hoga to hamari beti kyun khush nahi rahegi..!!"

Anjali-"Aur pyaar!!! Kya uske pass hamari beti ko karne ke liye pyaar hoga???"

Rajesh ke pass es sawal ka koi jawab nahi hota...

Anjali-"Dekha na aapke pass khud es baat ka jawab nahi hai...aapko kya lagta hai ki ladkiyon ko sirf paise se pyaar hota hai...wo sirf paise se hi khush reh sakti hai !!?? Agar aapko aisa kuch bhi lagta hai to aaj se aap ye soch apne dimag se bahar kar dijiye kyunki aapki soch galat hai..."

"Ladkiya sirf pyaar ki bhuki hoti hai..wo pyaar leti bhi hai to deti hai...jo pati apni patni ko pyaar nahi de sakta ..wo insaan pati ho hi nahi sakta ...chahe wo kitna bhi paise se ameer kyun na ho wo apni patni ki nazar me hamesha gareeb hi rahega.."

Anjali ki baatein sunkar rajesh ko apni galti ka ehsaas hone lagta hai...

Rajesh-"Tumne jo kuch bhi kaha maine use gehrai se socha aur mujhe lagta hai ki tum thik keh rahi ho..bina pyaar kuch bhi nahi...zindagi adhoori aur veeran hai.."

"Krishna bahut hi acha ladka hai maine uski aankho mein hamari pratigya ke liye pyaar dekha hai...aur ab mujhe pakka yakeen hai ki wo hamari beti ko bahut pyaar karega aur use hamesha khush rakhega."

Anjali-"To chalo aapko der se ye baat samajh aayi par khushi hai ki sahi waqt par aa gayi...abhi kuchh nahi bigda ham kal krishna ke ghar jayenge aur apni beti ke rishte ke bare me unse baat karenge.."

Rajesh-"Thik hai..ham kal hi krishna ke ghar jayenge.."


Krishna ki maa kitchen mein khana bana rahi thi ki tabhi krishna kitchen me pahunch jata hai..


Krishna-"Aur maa kya bana rahi ho???

Meera-"Aloo ka parantha!!"

Krishna-"Are wah!!! Aloo ka parantha...my favourite!!! Ab to bhook aur badh gayi aloo ka parantha sunkar..!!"

Meera-"To phir jaldi haath muh dho main tere liye khana parosati hun.."

Krishna fresh hone ke liye bathroom me chala jata hai ki tabhi uske ghar bahar se koi dastak deta hai...
Wo jo bhi tha lagatar darwaje ko knock kiye ja raha tha...

Krishna gusse me bathroom se bahar nikalta hai aur darwaja kholta hai...darwaja kholne par malum hota hai ki bahar aur koi nahi krishna ka dost vicky tha..

Krishna-"Abey!! Tujhe aka l hai ki nahi !! Kisi ke ghar ke darwaje ko aise koi knock karta hai kya!!"

Vicky-"es galti ke liye maaf karna dost...par kya karta khabar hi kuch aisi hai ki khud ko kabu nahi kar saka"

Krishna-"kaisi khabar !! Jaldi bata mujhe joro se bhook lag rahi hai.."

Vicky-"khabar ye hai ki ki ki..."

Krishna-"Ab ki ke aage bhi kuchh bolega !!"

Vicky-" khabar ye hai ki aaj ke baad aap es ghar mein nahi rahoge..."

Krishna-"Ek kaan ke neeche dunga na saare daant bahar aa jayege..kya matlab hai tera!! Kyun nahi rahunga main es ghar main !!"

Vicky-"kyunki krishna aaj hi tumhari 1 crore ki lottery lagi hai...!!"

Krishna-" Kya !!!"

Krishna ka muh khula ka khula reh jata hai...



Krishna ke ghar anjali aur rajesh aate hai...wo krishna ki maa meera devi se krishna aur pratigya ke rishte ke baare me baat karte hai...
Lekin meera devi es rishte ke liye inkaar kar deti hai ye kehkar ki unhone krishna ke liye ek achi ladki dhundh li hai aur esiliye ab kuchh nahi ho sakta..
Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Res for last part 30...

The end...


Mitu_ thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago

Originally posted by: abhishek_kriyaa


Ap bhi manti hai na ki huma di dil ki saaf aur sone(gold) jaisi hai...par hamari huma di nhi manti hai... Unhe lagta hai ki wo achi nhi hai ...kitni innocent hai wo sach me!!!!

Haan bhai mantii huu 😛Huma di kaa Dil badaa , pure hay aur gold Jaisa hi hay ... hay and i mean it 😃

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".