FF:kriya's honeymoon - Page 9

Created

Last reply

Replies

169

Views

15k

Users

21

Likes

261

Frequent Posters

abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#81

Originally posted by: billaway


Great work! Very romantic!!


THanks dear!!!
Glad u liked it!!
Next part will be more romantic...😃
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#82

Thanks everyone who liked all parts of my os!!!
Hope u will like upcoming parts also...
rahul.verma thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#83

All parts r really awesome...
DareDevil_VickY thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#84
updatewa kab karbo yar 😃 jaldi kar diyo dekho weekendwa bhi aai gaya ab toh kar diyo
Edited by vikram0669 - 13 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#85

Originally posted by: vikram0669

updatewa kab karbo yar 😃 jaldi kar diyo dekho weekendwa bhi aai gaya ab toh kar diyo


Jaldi karunga bhai...😃
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#86

@vikram bhai
Mujhe khushi he ki meri kahani apko pasand aa rahi he
btw.Apko part 6 kaisa laga???
Muskaan92 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#87
Superb package Abhishek...👍🏼
Loved your writing style...👏
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#88

Thanks muskaan...😃
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#89

Part 8


Kriya in restaurent


Krishna aur pratigya nainital ki haseen waadiyon ka maja lete hue aage badh rahe the...

Krishna ki najar ek restaurent par padi...aur restaurent ko dekhte hi krishna ke pet me chuhe kabaddi khelne lage the...

Krishna-"Babu yaar,bahut joro se bhookh lag rahi he ab sabse pehle kuch khaye lete hain...ka kehti ho.???"

Pratigya-" Haan krishna...bhookh to hamein bhi bahut lag rahi he...chalo ab kuch kha liya jaye.."

Dono ek dusre ki bahon me bahein dale hue restaurent ki taraf badhne lage...

Dono restaurent ke andar gaye aur khali table dekhkar us par baith gaye...

Krishna-" Haan ab batao babu...kaa order karna he tumka??? Jaun kucho bhi mangana he jitna bhi mangana he hamka bateye do ham abhi order kar denge..."

Pratigya-"jo bhi tum pyar se khilaoge ...ham sab kha lenge..esiliye tumhe jo acha lage order kar do..."

Krishna-"Are wah babu...tum hamri pasand khabo...ye to kamal ho gawa..."

Krishna waiter ko bulata he ...aur usse kaan me kuch kehta he..
Waiter order lekar chala jata he...

Pratigya-" krishna ye tumne waiter se kaan me kya kaha..???"

Krishna-"kuch nahi babu...ham uu waiter ko order diye he ...aur ka???

Pratigya-"par kaan me kyun?? Tum aise bhi to bol sakte the na.."

Krishna-"Haan uu to he...par ham tumka sarparise(surprise) dena chahte he..."

Pratigya(haste hue)-" krishna...krishna ...krishna...tumko pata he ki tum es duniya me sirf ek anokhe insaan ho...tumhare jaisa koi dusra nahi he..."

Krishna-" ee baat to ham bahut pehle se jante he ki ham jaisa kono dusra nahi he...wese ek baat batao ki tum hamri taarif kar rahi ho ya hamri burai..????"

Pratigya-"nahi nahi..ham bhala tumhari burai kyun karne lage jabki tumhare andar koi burai he hi nahi tum to taarif ke kaabil ho...pyar karne ke kaabil ho...tum ek sache insaan ho...aur hamko bhagwan ne tumhare jaisa insaan hamara pati banakar hamari jholi me daal diya eske liye ham unka dil se shukriya ada karte he...aur unse ye maangte he ki krishna ko har janam me hamara pati banana..."

Pratigya ki baato ko sunne ke baad krishna kuch bol nahi pa raha tha ...samajh nahi pa raha tha ki kya kahein...kyunki sab kuch to pratigya ne bol hi diya tha...
Krishna sirf pratigya ko dekhta raha...aur phir dono hi ek dusre ki aankho me kho gaye...

Waiter khana lekar aajata he aur dekhta he ki dono ek dusre ki aankho me doobe hue he...wo awaaz lagana chahta tha par kuch sochkar wo ruk gaya..aur khane ki plates ko table par rakhne laga...tabhi krishna aur pratigya plates ki awaaz sunkar apni duniya me laut ate he...

Krishna-"babu...khana kab aaya..?? Hamka pata hi chala yaar.."

Waiter-"sir, ap madam se kyun puch rahe ho...unko bhi khud nahi malum..."

Krishna-"kahe..???tumka kaise malum ki uu ko nahi malum..????"

Waiter-" sir, ham yahan bahut der se khade hue the..aur hamne dekha ki aap aur madam ek dusre ki aankho me khoye hue the..."

Waiter ki baat sunkar krishna aur pratigya sharma jate he...

Krishna-"Tum yahan khade khade itni der se hamre romance ka maja le rahe the...ee liye tumka yahan rakha he ki miyan biwi ke romance ke beech me kabab me haddi ban jabo..."

Pratigya-"ye sab tum kya keh rahe ho...jane do na ab ..."

Krishna(waiter se)-"jao ab tum yahan se..bahut der ho gayi tumka...ab yahan es table par dubara dikhai na padna..samjhyo ke nahi..."

Waiter table ko chhodkar wahan se chala jata he...

Krishna-"uu sasura waiter ke chakkar me khana thanda ho gawa..."

Pratigya-"khana to thanda ho hi gaya...par tum khud ko thanda kab rakhoge...????"

Krishna-"babu!!...ham to thande hi hai...ham to bas uu waiter ko samjhaye rahe the ki aise kono miyan biwi ke beech me kabab me haddi nahi bante...babu ab bhookh lagi padi he ab kucho bhi mat puchna...

Krishna aur pratigya khane me lag jate he...

Pratigya-"hamara aakhiri sawaal he...ham puchh sakte he.??

Krishna-"haan babu pucho..."

Pratigya-"tum hame surprise dena chahte the... kya surprise he wo..???

Krishna-"aloo ka parantha,dahi aur chatni ...ee rakha to he tumre aage...yahi to he surprise..."
Pratigya-" haan krishna...ham to bhool hi gaye the ki tumko aloo ka parantha jara bhi pasand nahi he!!!! Sach me ye to bahut bada surprise he hamare liye..."

Krishna-"To phir!! Ham chhota surprise thodehi denge...aur apne babu ke liye kucho bhi kar sakte he...ham tumri pasand ko bhi apni pasand banaye sakte he..phir chahe wo hame napasand kyun na ho..."

Pratigya-"Thank you krishna!!!

Krishna aur pratigya dono khana khakar restaurent ke bahar aa jate he...

End of part 8...

Part 9 is coming soon...
Edited by abhishek_kriyaa - 13 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#90


PART 9


KRIYA VISITS ZOO


Krishna-"babu..aloo ka parantha khakar aaj maja aa gawa...sahi bataye rahe he agar uu sasura waiter jyada bakaity na karta to ham aur khate.."

Pratigya-"Tum bhi na krishna !!! Tumko agar aur khana tha to kha lete ...tum us waiter ki wajah se bhukhe kyun rahe...???"

Krishna-"kuch nahi hua babu...ham baad me kha lenge...abhi to bas ham ghumenge..."

Pratigya-"Thik he..!!"

Krishna aur pratigya ek dusre ka hath thame ghumne ke liye chal dete hain...Tabhi pratigya ki nazar ek banner par padti he ...wo banner 'zoo' ka tha...

Pratigya-"Krishna, yahan par ek zoo he...chalo na ham wahin chalte he..."

Krishna-"zoo matlab ka????"

Pratigya-"zoo matlab chidiya ghar..!!!"

Krishna-"Acha Acha...jahan uu hathi ghoda suar(pig) hote hain...??"

Pratigya-"krishna!!! Wahan par suar nahi hote..!!!"

Krishna-"Sahi keh rahi ho babu...uu jagah par suar kese hoye sakte hain!!! Yahan khule aam suar insaani roop me chhutta saand ki tarah ghum rahe hain..."

Pratigya-"wo sab chhodo na krishna...ham ye sab baatein karne yahan nahi aaye...ham yahan ghumne ke liye aye hain...esliye ham sirf ghumenge aur khub maje karenge...ab tum hamare sath zoo chalo.."

Krishna-" Thik he babu.. Ab tum keh rahi ho to phir hamko to chalna hi he...ee batao ki uu chidiya ghar kitni dur he yahan se...???"

Pratigya(banner ki taraf ishara karte hue)-" wo tumhe bada sa banner dikhayi de raha hai na...wahi chidiya ghar he..."

Krishna-" ee to pass me hi hai...phir to koi pareshani nahi hai...chalo chalte he phir aur to ka..."

Krishna aur pratigya ki baato ko bahut der se ek aadmi sun raha tha...aur krishna ki baaton ko sunkar usko bahut hasi aa rahi thi...wo aadmi man hi man ye soch raha tha ki ye aadmi(krishna) kitna bada fool hai...ese to kuch bhi nahi pata...apni biwi se sab baaten puch raha hai...ab us aadmi se raha nahi gaya aur krishna ke saamne aa gaya...

Stranger-" Excuse me!!! Me abhi yahan se guzar raha tha to mene suna ki aap zoo ja rahe ho ..!!!"

Krishna-"Tum kaun ho..???"

Stranger-"Main yahan ka guide hun...visitors ko guide karta hun...mene aapko zoo jane ke baare me baat karte hue suna esiliye me aapko guide karne chala aaya..."

Krishna-"dekho beta!!! Hame kono guide ki jarurat nahi he ...ham khud jaye sakte hai..aur beta tumka agar kono jagah ghumna ho to abhi bataye do hamka...wahin ki ticket kataye denge...tumra bahut bahut dhanyabad...ab niklo yahan se..."

Guide wahan se chala jata he ..

Krishna aur pratigya zoo ki taraf apne kadam badhane lage...par dono ne jaisa socha tha wesa hua nahin...banner dekhne me unhe pass jarur laga...lekin zoo bahut dur tha...aur rasta bhi chadhai wala tha...

Pratigya-"krishna, yahan to chadhai he...aur zoo bhi bahut dur he...ab kya karein hum..???"

Krishna-"babu...hamo bhi yahi soch rahe hain..!!!

Wahan se ek anjan aadmi guzar raha tha...krishna usko rok kar puchne laga..

Krishna-" suno..yahan uu chidiya ghar jane ka kono dusra rasta hai????"

Stranger-"haan ek shortcut rasta he...par apko uske liye sidhiyon se jana hoga..."

Krishna-"kono baat nahi...ham sidhiyon se chale jayenge..hamka tum bas rasta batao...kidhar se jana he..."

Us anjan aadmi ne krishna ko raste ke baare me bata diya...aur dono ne shortcut rasta pakad liya...

Dono sidhiyan chadne lage...par sidhiyon ka end ho hi nahi raha tha...

Pratigya-"Krishna, hamse ab aur nahi chala jayega...ham bahut thak gaye hai.."

Krishna pratigya ko apne hatho me utha leta he...

Krishna-"ab tum hamre hatho me ho babu..tum thak gayi to ka bhava...ham he na...ham le jayenge tumka chidiya ghar tak..."

Pratigya-"Krishna, hame neeche utaro!!! Koi dekhega to kya sochega...hamko neeche utaro ham chale jayenge.."

Krishna-"Nahi babu...ab chahe jo dekhe chahe jo soche hamka kono bhi farak nahi padta...ham tumka aise hi le jayenge...ham tumka neeche nahi utar sakte..."


Pratigya ke chehre par krishna ke liye respect saaf jhalak rahi thi...wo sach me krishna ko apni jindgi me pakar bahut hi khush thi...
Krishna pratigya ko lekar sidhiyan chadh raha tha aur pratigya krishna ko dekhte ja rahi thi...

Finally love birds apne destination par pahunch jate he...aur dono zoo ke andar enter kar jata hain...

End of part 9

Last Part is coming soon...


Edited by abhishek_kriyaa - 13 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".