Saare khushiyian aayenge
Saras kumud ek honge
Unka milan hoga unke pyaar jaisa
Komal madhur ek kavi ki kalpana jaisa
Jisme honge sang Rehne ke vaade
Kabhi na Bhoolne ke vaade
Jisme honge chandni raatein
Wo raat bhar ki baatein
Ab tho Saare adhikar hain ek dusre par
Tan man Dan aur zindagi par
Phir bhi saras nahin Chota kumud ke baalon ko sehlaane ki aadat ko
Aur kumud nahin chodti apne aap ko usme bhoolne ki aadat ko
Ek ka sapna karega dusra poora
Iss tarah hoga Unka bandhan poora
Ek ke man ke iraade dusre ki lakshya bante hain
Ek ke aansu dusre ke aankhon se nikalte hain
Inka pyaar anokha hai
Ram ji aur sita ji ki tarah
Inka pyaar dekh kar dil bhar aata hai
Unke Milan ki raat ka ab intezaar hai