Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 1st Aug 2025 EDT
Kumkum Bhagya New Season | Episode Discussions Thread #5
GEETU & KICHDI 1.8
71st National Film Awards (Celebrating 2023)
New Time Slot
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 02 August 2025 EDT
ONE CHANCE GIVEN 2.8
Makers mission to prove Navri incompetent in all aspects.
Congratulations SRK National Award
Katrina Kaif Pregnancy Rumours
Anupamaa 01 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
ManVik Hits 150 & Forum Hits 100😎
Congratulations National Award Winning Actress Rani Mukerji
Aamir Junaid Ki Nayi Scheme
Anupamaa 02 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Bookaholic Yaars 👩🏻🤝👩🏽 || BT Reading Challenge, August 2025
💕 Lexophile Dosts 💕 August 2025 Reading Challenge
22 years of Hungama
ForeverNakhrewaalis ❤️🔥 August 2025 Book Buddies
Rate episode 62: "Officer Purvi's Narrow Escape"
Originally posted by: rashmivaish
chal ab main chalti hoon
good nightsweet dreams Indu..sapne me main hi nazar aaungi ye poochte hue ki update kahaan hai
Originally posted by: rashmivaish
aaj sona nahin hai kya??
Dadi - Maan, Mohan aaj tumhare liye rishta lekar aaye hain, Malika ka. Woh chathe hain ki tumhara aur Malika ka shaadi ho.
Maan stood up - What? Ye kaise ho sakta hai?
MMS - Haa dad aise kaise ho sakta hain...
Maan - Hum sirf Ache dost hain dadi...aur yeh baat aap bhi jaante hai uncle...
Mohan - Isme bura kya hai Maan...tum ache dost ho ek doosre ko samajhte ho...shaadi ke liye aur kya chaiye...Malika yaha aayegi toh mujhe koi tension nahi hogi...
Dadi - Aap ko bhi toh shaadi karni hain na Maan...toh malika mein kya burai hai...
Maan - Haa dadi mujhe shaadi karni hai...Malika mein bhi koi burayi nahi hai...lekin sorry uncle main MMS se shaadi nahi kar sakta...
Mohan - Par kyun Maan...abhi toh keh rahe the ki Malika mein koi burayi nahi hai...toh ab kya hua...
Maan - Hum sirf ache dost hain...aur usse kuch zyaada nahi hosakte uncle...I'm Sorry
MMS - Maan theek keh raha hai Dad...Hum sirf ache dost hai aur kuch nahi...aapne mujhse toh poochliya hota yaha aane se pehle...
Mohan stared at his daughter...He had always seen love for Maan in her eyes...then suddenly what happened...had he misjudged her...
MMS - Maan I am sorry...for all this...if I would have known...I would have stopped them...I really don't know any thing...
Maan - I know u well MMS, u would have stopped them if u had known...I am sorry if I had hurt u in any way...
MMS - Maan, Kya main kabhi kabhi aa sakti hoon tumse milne...
Maan - yeh kya keh raho ho MMs, tu meri dost hai aur hamesha rahegi, tum kabhi bhi aa sakti ho mujhse milne...I guess in sub se hamari dosti par koi asar nahi hoga...kyun rohan theek kahana maine...
Rohan - Haa Maan u r right...its just a misunderstanding...aur kuch nahi...Hum dost the, hain aur hamesha rahenge...said rohan and hugged Maan and MMS.
Mohan to Dadi-
Mohan - Maa ab hame chalna chaiye...Mujhe maaf kardiye maa agar aapko...
Dadi - Nahi Mohan...aap kyun maafi maan rahe hain...humne bhi yehi socha tha ki Malika iss ghar ki bahu banegi...jab aap rishta lekar aaye the...par hum maan aur Malika ke marzi ke khilaf kuch bhi nahi karna chahte...ye unki zindagi ka sawaal hain...unhe faisala lene ka haq humse zyaada hai...said dadi...
Dadi let her grandsons choose their brides...she believed in their choice...Veer married naina and she was perfect for veer and to be her bahu...but fate has decided something else and she left them for ever...
MMS took blessings of Dadi. Dadi blessed her with smile.
Dadi - Khush rehna aur jaldi khush khabri dena...main toh thak chuki hoon maan ko kehte kehte...
MMS - sure dadi par yahan koi hai jisse shaadi ki bohut jaldi hai...and looked t maan and rohan...
Dadi - Kaun beta...
MMS - Pata chal jayega dadi...pata chal jayega...ok bye dadi...
Sighanias left from there...
In the Car...
Mohan - Malika yeh sab kya hai...tum maan se pyaar karti ho na...Maine hamesha tumhari aakhon me uske liye pyaar dekha hai...aur dadi ko bhi tum pasand ho toh kyun aise kaha...
Malika with tears in her eyes...par Maan ko koi aur pasand hai Dad...woh kisi aur se pyaar karta hai...
Mohan - What? No malika tumhe koi galat fehmi hogayi hai shayad...agar aisi baat hain to Maan hume zaroor batata...
Malika - Nahi dad...mujhe aaj hi pata chala...maine aaj unhe mall mein dekha...
Mohan - Mall toh veer, anu, geet aur rohan ke saath gaya hai...tum mujhe saaf saff batao ki woh koun hain...main baat karunga usse...mujhe tumhari khushi chaiye ...
Malika - Maan geet se pyaar karta hai dad...woh ladki geet hai ...Maan ke saath maine geet ko dekha mall mein...They love each other...maine dekha maan ki aankhon mein geet ke liye pyaar...Aur geet bhi usse utna hi pyaar karti hain dad...
Mohan - aur tumhara kya malika tumhara pyaar ka kya...
Malika - Main hi pagal thi dad...Rohan hamesha kehta tha ki koi hai maan ke mann mein...lekin maine hi dhyaan nahi diya...ya dhyaan dena nahi chahthi thi...maine sab undekha kardiya dad...aur ab kuch nahi ho sakta...shayad mein ye sab pehle hi jaanleti toh itna dukh nahi hota dad...Aap bhi Apne mann mein kuch nahi rakhenge...sab bhul jayenge...aur pehle ki tarah hi rahenge ...maan ko aap doshi nahi tehrayenge dad...
Mohan - Ok malika jo tum chaho gi waisa hi hoga...mein sab bhul jaonga..par kya tum bhul paogi...
Malika - bhulna hoga dad...iss pyaar ke chekkar mein main maan aur rohan ki dosti khona nahi chahthi...haa thoda time lagega...takleef bhi hogi...par koi baat nahi...main sambhal jaaongi dad...
Mohan felt proud of his daughter...even after knowing that maan never loved or will love her...she has no negative thoughts for maan...He looked at his wife and smiled as if appreciating her for the morals she induced in their daughter...
KM...
Dadi - Chalo bachon ab dinner karte hain...aap teeno bhi change karke aajao...hum nakul se kehdenge ki who table arrange karde...
Maan, rohan and Veer left...
In Maan's Room...
Rohan - Maan I will go Mad...some day...
Maan - Kuch nahi hoga...Main hone nahi doonga...Maine soch liya main dadi se baat karoonga...usse pehle Jasmeet aunty se baat karna hai...
Maan picked up his cell and called jasmeet...jasmeet took after few rings...
Maan - Namaste Aunty...maine aap ko disturb toh nahi kiya...
Jasmeet - Nahi maan...kaho kya baat hain...sab theek haina Geet kaisi hai...
Maan - Sab ache hain aunty...Geet bhi...,mijhe kuch poochna hai aapse...
Jasmeet - Haa maan poocho.
Maan - Phone par nahi aunty. Main aapse milkar baat karna chahta hoon kuch important hain...kal subah aap busy hain kya...
Jasmeet - Nahi Maan main busy nahi hoon, 12 baje ek meeting hain...usse pehle hosakta hain...tum breakfast par ghar aajao, hum baat karenge...wise bhi main aa rahi hoon KM parso...agar jaldi nahi hai toh hum wahi milte hain..
Maan - Nahi aunty...main kal subah aajaaonga...ab der nahi karna chahtha...Ok good night Jasmeet aunty...
Jasmeet - Good Night Maan...
Maan looked at rohan...
Rohan - Tu pehle Jasmeet aunty se baat karega...dadi se nahi...
Maan - Aaj mujhe laga ki shayad jasmeet aunty bhi geet ke liye ladka dhoondti hogi...agar sach mein aisa hua toh gadbad hojayegi...isliye main chance lena nahi chahta...
Rohan - Dadi se kab baat karega...
A servent came and called them for dinner...
Both left from the room...
Maan - tu jaa main geet se milkar aata hoon...
Rohan - Ok, jaldi aana.
Maan moved towards anu's room and entered.
Geet is sitting with garv.
Maan - Geet...
Geet turned and saw Maan...She stood up placing grav on the bed.
Geet - Kya baat hain Maan. Hum neeche hi aa rahe hain...
Anu came out of wash room...
Anu - bhai...aap ...kuch kaam hai kya apni girlfriends se...teased anu...
Maan smiled a little...take garv with u, rohan and dadi are waiting for dinner...Mujhe geet se kuch zaroori baat karni hain...
Anu - nodded and took garv with her...
Maan waited till anu left the room. After confirming anu had left he moved to geet and softly pulled her into a hug...
Geet - Kya baat hain Maan...Aap itne pareshaan kyun horahe hai...
Maan held her more tightly...for the first time he felt that geet might go away from him...fate might take away her.
Maan - Pehli baar darr lag raha hai geet...pata nahi ek bechainisi horahi hai geet...
Geet - Kuch nahi hoga Maan...aap apne dil se darr nikal dijiye...Geet aapki thi aapki hai aur aapki hi rahegi...aapko lagta haina ki maa nahi maanengi...asked geet looking into his eyes...Nahi maan aisa kuch nahi hoga...Maa meri khushi kabhi nakarengi...unhe bura zarur lagega ki hum inte din hamare dil ki baat chupayi lekin woh maan jaayengi...Main manaoongi...
Maan - Nahi geet...tum nahi main jaonga aunty se milne...unse tumhara haath maangne...Maine unhe call kiya aur poochliya...Kal subah jaa raha hoon main...unse baat karne...
Geet eyes moisted. She placer her hand on his cheek and said...Maan Kuch nahi hoga...Maa maanjayengi...kyun ki mera Maan jaa raha hain unse baat karne...agar koi aur hota toh mujhe itna vishwas nahi hota...Main jaanti hoon Mere Maan kabhi bhi nahi haarenge...Aap bas apne pyar par bharosa rakhiye...Aur Main hoon aapke saath...hamesha...
Maan - Agar aunty nahi maani toh...
Geet - Na maanne ka sawal hi nahi hain maan...maa hamesha meri hi khushi chahthi hain...woh zaroor maanjayengi...Agar Nahi maani toh main unhe manaloongi...mujhe poora bharosa hain ki woh meri baat kabhi nahi mana karengi...itna mat sochiye Maan...Aap jayiye aur Maa se baat kijiye...woh zaroor maanjayengi...mujhe vishwas hai ki aap khush khabri ke saath hi aayenge...
Dining Hall...
Dadi - Rohan Maan kaha hain...aap akele hi aaye...
Rohan - Woh Dadi...Maan ko kisi client se call aaya woh waha busy hain...lied rohan...
Dadi - Iss waqt client ka call...
Rohan - Haa...chodiye na...aur batayiye aaj kya special bana hai...
Rohan and Dadi see anu coming down with garv...
Dadi - Arre anu Geet kahan hain aap akelihi aayi...
Anu - Dadi Geet fresh horahi hai...woh garv ko dekh rahi thi toh pehle main fresh hone gayi.. abhi aati hi hogi...Malika, uncle aur aunty chale gaye...aap unhe dinner ke liye rokna chaiye tha...
Rohan - Haa chale gaye...bas milne aaye the...Garv ko mujhe do...main khelunga isse ab...
Dadi - Veer kahan hain...
Veer - Main bhi aagaya hoon dadi...Bhai aur Geet nahi aaye...said veer and looked at anu...
Anu made face and said who geet fresh horahi hai...aur Maan client se baat karr raha hai said Rohan...
Veer- Client...iss waqt kaunsa client ne phone kiya...
Anu slaped her forehead..Rohan answered...
Rohan - Bohut khas client hain veer, tu bhi jaanta hai...samjha karo and winked...
Veer understood...so smiled and nodded his head and sat beside Rohan...
Anu's Room...
Maan - Geet main tumse ek baat kehna chahta hoon...Geet nodded...Main do din pehle tumhare ghar aaya tha...aur maine tumhari aur aunty ki saari baatein sunli...
Geet - Main jaanti hoon Maan...Mera Maan darwaze pe khada ho aur main na jaanu aisa hosakta hain kya...main bhi chup rahi kyunki tab maa ko meri zaroorat thi...
Maan's cell beeped with a message from Rohan...
Maan - Lets go they all are waiting...
Both Geet and Maan went downstairs...All the family member had dinner and left to their respective rooms...Rohan moved to the guest room...
Next day morning...
Geet woke up early...she prayed to God to give her strength and Maan, Success.
Maan Came down fully Prepared.
Geet gave in his coffee and had hers as well. Geet wished him luck and Maan moved to Handa house. Geet went upstairs and made garv ready...came down and gave him his feed...
Dadi - Good morning Geet beta...
Geet - Good mornig Dadi..Aap apni coffee lenge...
Dadi Nodded...
Geet served her coffe and sat down...
Dadi - are Geet aaj aap itni jaldi uthgaye...Anu abhi tak sorahi hai kya...
Geet - Haan dadi...neend khul gayi aur anu abhi tak so rahi hai...
Rohan And Veer came down.Geet gave them their coffees as well...
Dadi - Veer Maan kaha hai...
Veer - Mujhe nahi maloom dadi...main bhai ke kamre mein nahi gaya.
Geet - Maanji abhi bahar gaye hain dadi...Maine unhe dekha...jaate hue...
Dadi - Maan itni subah kaha chalegaye...woh bhi bina bataye...
Rohan - Dadi Maan ne mujhe bataya..woh kisi zaroori kaam se gaya...
Dadi - Aisi bhi kya jaldi hume bina mile hi chale gaye...chodo, Geet aap anu ko jaga dijiye ga...bahut late hogaya hain...
Anu came down by then...
Anu - Main aagayi hoon dadi...Good Morning every one...
Continued Below...
Maan reached Handa House and entered...Jasmeet was waiting for Him...Maan greeted her. She enquired her about dadi, Garv and Geet...
Jasmeet - Ajao Maan...Pehle naashta karte hain aur Baad mein baat karenge...
Maan - nodded and they had Breakfast...
Jasmeet - Ab bolo Maan kya baat karna hai tumhe...
Maan - Aunty kya hum Garden mein baith kar baat karsakte hain.
Jasmeet agreed and they moved to the garden...the weather was pleasant and giving confidence to Maan...
Maan - Aaj main aapse kuch maangne aaya hoon...kya mujhe woh milega...
Jasmeet - Haa Maan tumhe kya chaiye, batao mujhe, agar mere bas mein hain toh main tumhe zaroor doongi...
Maan - Woh sirf aap desakti Hain aunty...
Jasmeet - Aisa kya hai mere paas maan...jo tumhare paas nahi hain...mere paas aisa kya hain jo MSK ke paas nahi hain...
Maan - Hain Maa apke Paas Maan ki Jaan hai...
Jasmeet looked at him puzzled...
Jasmeet - Main kuch samjhi Maan...
Maan - Main aapse apna pyaar mangne aaya hoon...Aapki Geet...
Jasmeet tunned with the revelation...and said tumhara Pyaar Geet...
Maan - Haa Aunty Main aur Geet ek doosre se pyaar karte hain aur Main usse shaadi karna chahta hoon...Main jaanta hoon aunty hume aapko pehle hi batadena chaiye tha par main chahta tha ki Geet apni padhayi poori kare...humne socha tha ki hum aapko batayenge...Naina ki delivery ke baad...lekin jo hum sochte hain waisa nahi hota hain aunty...Naina ki maut hui aur hum kuch keh nahi paaye...aur hum aise nahi batana chahte hain aunty...aap soch rahe honge ki main achanak se ye baat kyun bata raha hoon...Dadi Geet aur Veer ki shaadi ki baat karne aayi thi aapse...isse pehle woh kuch aur kare humne socha ki baat aap ko batani chahiye...Yeh baat maine pehle aapse hi ki hain aunty...Dadi ko bhi nahi pata...Agar aap nahi maane toh dadi ko batakar kya faayda aunty...
Maan - Kya aap maine jo maanga hain woh denge...aapki geet...
Jasmeet - Kabse Maan ...kya tumhe poora yakeen hai ki Geet bhi tumse pyar karti hai...
Maan - Jabse usse dekha hai maine ussi se pyaar kiya hain aunty...jis din aap hamari collage aayi thi ...maine uss din dekhatha Geet ko pehli baar... Phir anu ke saath collage main...Anu aur Geet dost bangaye aur geet se pehchaan badhi...usse jaanne ke baad mera pyaar aur badha...after getting no reply from jasmeet Maan asked...Aap jaanti hain mujhe bohut saalonse...kya aapko lagta hai ki main Geet ke kaabil nahi hoon...
Jasmeet - Nahi Maan aisi baat nahi hain...Tumse kaabil koi aur ho hi nahi sakta...Main jaanti hoon tumne Maaji ko kitna support kiya kam umar mein...apne bahi aur behen ko sambhala...mujhe koi shak nahi hai ki tum kaabil nahi ho...bohut se baatein hain maan jo tum nahi jaante...bas mujhe darr hai...tum samajh sakte ho...main ek Maa hoon aur Apni beti ka bhavisya ko lekar hamesha darr laga rehta hain...
Maan pretended that he doesn't know any thing abour Inder and Jasmeets life...She may not like it if he admits that he knoes the truth...
Maan - Main agar aap maanjaye toh main wada karta hoon ki main geet se bohut pyaar karunga...usse har lamha khush rakhne ka poori koshish karoonga...har pal uska khayal rakhunga...uski choti badi har khwayish poori kaoonga...usse palko pe bithakar rakhunga...
Jasmeet - Lekin Dadi ka kya Maan kya Woh Maanengi...woh toh geet ko...
Maan - Unhe manaloonga main aunty...woh bhi meri khushi chahti hain jaise aap geet ki khushi chahti hain...Mujhe bas Aapki Haan ka intezaar hain...
Jasmeet remained quite for sometime...Maan also did'nt disturb her...
KM...
Anus Room...
Anu - Geet ab aage batao...
Geet - Kya anu...
Anu - Teri Love story...
Geet - Tu bhi na chod...Maine kabhi poocha hain teri love story...kyun mere peeche padi hain...
Anu - Tujhe interest nahi hain toh main kya karoon...mujhe interest hain...ab jaldi se bata...
Geet - acha meri maa...pooch kya jaanna hai...
Anu - Maa nahi, pyari nanad and winked...
Geet blushed...
Anu - ok...pehli date kab gayi bata ...Kahan leke gaye bhai...
Geet - Guess karo...and smiled...
Anu - Umm...Kisi five star hotel ka Pool side book kiya hoga Poora...Taj shereton...Right...
Geet nodded a NO...
Anu - Bhai bohut private hai toh Farm house leke gaye honge...right...
Geet again nodded a no...
Anu - Acha ab tuhi batade...
Geet - Yehi KM par hua hamari pehli date...
Anu - What...yaha ghar par...hum sab kahan gaye...
Geet - Jab Maan Shimla se wapas aaye...maine unhe confess kiya ki main bhi unse pyaar karti hoon...main bohut darr gayi thi aur deri nahi ki...kyun ki mian unka saath chahthi hoon toh deri kyun...phir hum sab shaadi mein busy hogaye...tumhe yaad hai na ki Sangeet mein hum sab ne kitni masti ki...
Anu - Haan...Uss din toh maan bhai bhi naache the...she paused and said tumhare saath...tumne sab ke saamne confess kiya ur kisi ko pata tak nahi chala...main bhi na kitni budhu hoon...
Geet - Haan Dance ke baad main unse keh diya ki main bhi unse pyaar karti hoon...loud music ki wajah se kisi ko pata nahi chala...sab logon se socha ki main kuch aur kehrahi thi...and geet blushed remembering her confession...she never thought that she will express her love like that...Maine Maan ko paas bulaya...unhone socha ki kuch aur baat hain...jaise hi mere paas aaye maine ne unke kaano mein I Love You kehdiya...aur waha se chaligayi...Maan ne to expect nahi kiya tha...She rememberd how Maan pulled her to a corner after her confession...
-----------------------------------------------------------------------------------------------
Maan looking into her eyes...Kya kaha tumne Geet maine theek se suna nahi...Phir se kaho.
Geet nodded a no with her head down blushing...
Maan - Meri aankhon mein dekh karr kaho geet...ankhen chupa karr nahi...
Geet simply stood with her head down. She confessed but and facing him is getting difficult for her...
Maan pulled by her waist...Geet suddenly felt pulled and looked at Maan...maan is seeing her with naughty eyes...
Maan - bolo Geet...Main phir se sunna chahta hoon...
Geet - Main aapse pyar karti hoon maan...I love You...
Maan beemed with happiness and hugged her tight saying...I Love you too. Geet...I Love you tooo...Geet to hugged him...
-----------------------------------------------------------------------------------------------
Anu call Geet ...Kahan khogayi...Haseen pal yaad karr rahi ho kya...
Geet blushed...
Anu ab bata tere date ke bare mein...
Geet - Shaadi ke 10 din baad...Didi aur jiju HoneyMoon par gaye...Daadi kisi function attend karne Mumbai gayi...tub hi unke saath gayi unko chodne...tu wapas aane wali thi same day...Maa ko achanak hoshiyarpur jana pada..darji ki tabiyat thodi kharab hui thi...Main nahi jaa saki kyun ki main collage mein gir gayi aur sprain hogaya tha...aur maa ke saath nahi jaa saki...Maa ne mujhe KM chodke hoshiyarpur chaligayi...kyunki unhe pata tha ki tu raat ko wapas aane wali hain...Maan ne phone kiya kisi kaam ke liye...Maine kaha ki main KM mein hoon...unhone kaha ki ghar aarahe hain...Maan ke saath kuch log aaye...Maan ne nakul se kaha ki unhe outhouse dikhade...nakul chala gaya...mujhe laga koi office ka kaam hoga...maine dhyaan nahi diya...Tera phone aaya ki flight delay hogaya hain...maine maan se kaha...unhone kaha ...acha hai...I asked him about dinner...unhone kaha ki thodi der wait kare...kuch der baad who office wale log aaye aur Maan ne unhe paise diye aur woh chale gaye...Phir unhone ek packet diya aur kaha ki main change karke aaon...woh mujhe uss dress main dekhna chahte hain...Maine fresh hoke change karke aayi...Phir unhone poocha ki main unke sath date par chalongi kya...Maine kaha ki main zyaada door nahi chal sakti mere pair mein sprain hain...unhone mujhe uthaya aur kaha ki ab toh chalogi na...Main maan gayi...unhone mujhe out house leke gaye...Poora out house candles se saja hua tha aur poora furniture hatadiya...beech mein ek table saji hui thi...aur poora floor par gulab ke pankhuriyon the...ab iske baad kya hua main tujhe nahi batane wali...
Handa house...
Jasmeet started thinking...If Geet really wants to marry Maan I will not stop her...I can see it Maans eyes he can keep her safe and happy...Aur geet ussi ghar mein rahegi toh Garv ka bhi chinta nahi hogi...shayad bhagwan bhi yehi chahte hain...Lekin kya maaji maanengi Maan aur Geet ke rishte ke liye...
Jasmeet - Mujhe apna faisla sunane se pehle Maaji se baat karni hogi Maan...
Maan - Ji aunty main Dadi se aaj hi baat karunga...Mujhe aur kuch nahi chaiye aunty bas Geet chaiye aur Aap ko Maa kehne ka haq...said maan...with slight wetness in his eyes...
He composed himself before the wetness turned into tears...
Maan - Main chalta hoon aunty...Main aapko phone karunga dadi se baat karke...hosake toh sham ko koi meetings nahi rakhiyega...
He took jasmeet's blessing and went away from there.
He reached KM. He went to dadi who is sitting on the dining table and instructing Nakul.
Maan - Dadi Mujhe aapse kuch zaroori baat karni hain...
DAdi - Haa Maan boliye...kya baat hain...
Maan - Jab veer ki shaadi horahi thi aapne mujhse poocha meri shadike bare mein...Maine aapse wada kiya ki jab main tayyar hojaonga toh aap ko apni pasand se milaonga...
Dadi - Haa hume yaad hain Maan...toh kaha hain aapki pasand...abhi lekar aaye kya...
Maan - Nahi dadi, abhi nahi, Sham ko Mandir challenge Kanhaji ka...Waha milaonga main aapko meri pasand se...
Dadi - Theek hain Maan, Hum tayyar rahenge...
Maan - Dadi Anu aur Veer ko bhi kehdijiye ga...sab log milkar challenge...
Dadi - Haa, hum sab se kehdenge...Geet bhi toh hain ghar mein hum usse bhi saathe mein lekar jaayenge...
Maan - ST- Geet nahi chalegi toh aap kisse milengi dadi...Mujhe pata hain ki aap ko shock lagega...lekin main kuch nahi kar sakta...
Maan left for office...Maan called geet and told her about his discussion with jasmeet and dadi...and told her to be ready...then he called Jasmeet and told her to come to Mandir in the evening...
Dadi told every one about the plan...All Agreed...
Evening...
DAdi, Maan Geet, Veer, Rohan, Anu and Garv went to mandir. Jasmeet also came...Geet was happy to see her mother...
After offering prayers...Maan took all of them to the Mandir's garden backside.
Dadi - Maan apne kaha ki aap hume apki pasand se milana chahte hain...lekin yah toh koi nahi hain...
Maan - Woh yehi hain Dadi...Aapke saamne...
He looked at Jasmeet and farwarded his hand towards Geet...Geet looked at her mother. Her mother nodded in a yes...
Maan took Geet to Dadi. They both stood in front of Dadi. Dadi looked at them confused...
Maan - Woh ladki Geet hain Dadi...Main aur Geet ek doosre pyaar karte hain...
A shocked Dadi - Yeh kya hain Maan...Aap sach bol rahe hain kya...
Maan - Haa dadi yehi sach hain...main maafi chahta hoon maine itne donon tak aapse yeh baat chupayi...par halat kuch aise hogaye ki ab yeh baat apko batana padha...
Dadi tuned to Geet and asked - Kya maan jo keh rahe hain kya who sach hain beta...Kya aap bhi Maan se pyar karti hain...
Geet answered slowly...Haa dadi main bhi unse pyaar karti hoon...it was very difficult for her to confess infront of dadi and her Maa...She felt shy and even frightened too...for their reactions...
Dadi - Main jasmeet se baat karna chahti hoon...aap sab log yehi rahiye...
To jasmeet - Aap hamare saath aayiye...and they went a little far to discuss the matter..
Dadi- App yeh baat jaanti hain jasmeet...
Jasmeet - Aaj subah hi Maan ne mujhe bataya hain Maaji...
Dadi - Toh aapka kya kehna hain...
Jasmeet - Agar aapko mazoor hain toh mujhe koi aitraaz nahi hain maaji...Geet ki khushi bhi issi mein hain...mujhe geet ki khushi se badhkar aur kuch nahi hain...aur aapki bhi icha poori hojayegi...
Dadi - Meri icchha...
Jasmeet - Geet ko Garv ki Maa banana chahti thi aap...lekin ab geet Garv ki badi Maa banegi...Geet ussi ghar mein rahegi toh garv ka bhi humko chinta karne ki zaroorat nahin...
Dadi - Haa aap sahi kehrahi hain...Hume bachonki khushi ke liye haa kehdena chahiye...
They discussed for some more time...
Dadi and Jasmeet went to Maan and Geet who stood there still holding hands...
Dadi in a stern voice...Ye sab kitne dononse chal raha hain Maan...
Maan taken aback by dadi's stern voice said - Dadi Who...who...
Dadi couldn't hold her laugh seeing Maans condition...
DAdi - Hume aur jasmeet ko ye rishta manzoor hain Maan...
Maan left Geets hand and hugged Dadi...and said . Thank you Dadi Thank you very much...
Dadi - Patted his cheeks...
Jasmeet gestured her to take Dadi's blessings...Geet bent down and took her blessings...
Dadi - Jasmeet hume pandit ji se milke inki shaadi ka mohurat nikalwayenge...
Before Jasmeet could answer...Maan interrupted...
Maan - itni jaldi nahi dadi...abhi kuch din rukiye..Geet ko apni studies complete karne dijiye... unke exams ke baad hum decide karenge...kya karna hain...Main chahta hoon ki anu aur Geet training ke liye Jasmeet aunty ke paas jaye...future mein unhe bhi toh office join karna hain...
DAdi - Aapne toh saari planning karke rakhi Maan and smiled...
Jasmeet - Maan aap jo kehrahe hain who theek hain...lekin hum Engagement toh kar sakte hain...
Dadi - Yeh acha idea hain...Hum engagement karenge aur announce kardenge...hamare closed circle mein...
Maan - Lekin Dadi...
Dadi - Maan aap chup rahiye...humne aap ki baat maani hain aur aapko yeh baat maanni hogi...
Maan became silent...He also wanted to tell the same...
It was decided by dadi and jasmeet that engagement ceremony will be held soon...
Anu congratulated geet and hugger her calling her badi bhabhi...
Veer and Rohan also congratulated Maaneet...
Maan and Geet took blessing from the elders together...
Suddenly Jameet Said...Maaji aapko Nahi lagta Maan aur Geet Made for each other lagrahe hain...
Maan and Geet stood still...Jasmeet looked at them and said...Geet tumne shipa aunty ko pehchana nahi...kal mall mein...Main aur shipa aunty mile...aur tum dono ko waha dekha...
Get felt shy and went away with anu...Even Maan left from there...
DAdi - Mall mein kya hua Jasmeet...
Jasmeet - Main aapko batati hoon Maaji chaliye...Ghar chalte hain...Aaj khushi ka din hain aur hum celebrate karenge...
The one soul who is extremely happy is Jasmeet...She thanked God for not making her another Jasmeet...
Here ends the story...
**************************************************************************
Thank you for every one who has encouraged me. The first and the foremost is Rashmi...our lovely writer rashmivaish...she is the one or rather Say VICTIM of my writing who read my OS first and encouraged me to post it...I was very nervous...but she gave me courage to post it...and then my dear half hubby(priya111111) and my little jerry(valli 30) for encouraging me in every step...and then The Bollywood Express(aanya84) and Payal(Kiddo)...for their beautiful comments...and last, not the least...all the readers who read, liked and commented...Love you guys...Thank you so much for the Love...Thanks a Ton guys...
Something About You Hi all Lovelies, I am starting to post a new wonderful story called 'Something About Love'. The credit for writing concept...
Chapter One: The Studio of Shadows ⸻ The city outside never truly slept. It sighed, it buzzed, it rattled—but within the walls of the Khurana...
Title:- The Name That Wasn’t Mine Chapter 1: A Life That Smiles Back ⸻ The first thing she noticed was the stillness. Not the antiseptic hum of...
Title:- Beyond the Gavel Chapter 1: The Verdict of First Impressions ⸻ Delhi High Court, Courtroom No. 7 9:32 AM, Monday Morning The courtroom...
Title:- “When Rain Tastes like Fire” Chapter 1: Shadows in Stone The rain had begun its descent long before she arrived. It wasn’t the romantic...
1.1k