JODHA AKBAR EK NAYI KAHANI

msbhattacharya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#1

CHAPTER 1

YE KAHANI HAI MUGHLIYA SALTANAT KE KAMIYAB SEHENSHA ABUL -FATH- JALAL-UDDIN MAHAMAD AUR UNKI MAHABAAT KI

Kahani ki surwat hoti hai san 1576 se jaab 20 saal ka jalal adha Hindustan jeet chukka tha aur sapne dekh raha the ke ekdin wo pure Hindustan par apni hukumaat kayam karega . Jalal me pure Hindustan ka badsha banne ki kabiliyat to thi par usme ek khami bhi thi wo samajhta tha ke jang se rajya jite jate hai aur dehesth se avam par raaj kiya jata hai . Waise ye soch jalal ne apne abhibhawak bairam Khan se hi payi thi . Bairam khan ki mrittu ke baad jala ne agra me apna raaj pat samhal liya ,par abhi bhi wo apne Khan baba ke sikhaye hue ususlo ko nahi bhoole . jala har chiz ko har jasbaat ko kimat se tolta tha aur dimag se kyu ki uske mutabik uske pass dil hi nahi tha kyuki dil insaan ko kamzor banata hai aur ek sehensha ko kamzor hona sobha nahi deta .

Raat ka samay hai jalal apni begam rukayiya ke khab gah me hai . Rukayiya aur jalal ki Shadi 9 saal ki umar me hui thi aur tab se rukayiya jalal ki begam bhi hai dost bhi aur hum razz bhi . Rukayiya kuch khas nahi dikhti par uski siyasati samajh khas thi isi liye Rukayiya ki jaga haram me khas thi . haram agre ke mehel ka wo hissa tha jaha jang me jiti, sehensha ko nazar hui, sehensha ke logog ki uthai gayi aur sehensha ki begame reheti thi . Sehensha hukka gurgura rahe hai aise me Rukiya unse keheti hai

Rukayiya - Aap ne Kabul me bagio ko acha sabak sikhaya aab wo aap ke khilaf bagawat karne ke baremenahi sochenge .

Jalal - ha Rukayiya waha humare khilaf bagawat ho rahi thi aurjo sehensha bagawat na rok sake wo apni riyasat nahi samhal sakta .

Rukayiya - Waise iss baar aap dalat ke saath saath kuch arto ko bhi haram me laye hai jalal .

Jalall- Kyu tumhe jalan ho rahi hai rukayiya?

Rukayiya - aap to jante hai jalal hume jalan nahi hoti , kyuki hum jante hai ki kuch hi dino me ye ladkia aap ki nazro se uttar jayengi . Ji behela kar aap unhe bhool jayenge .

Jala - Tum to janti ho rukayiya ki kisis bhi insaan ya cheez me humara maan zada dino taak nahi laga raheta . Log kehete hai kekisis ek ka hokar zindagi bitane ko mahabaar kehete hai . Par hume to ye mahabaat kamzoror ka bahana lagti hai.

Rukayiya - Hum jante hai jalal tabhi to humare aur aap ke bich begam aur sahar hone ke saath saath dosti ka rista hai . Kyuki hum aap ki takat banna chahte hai kamzori nahi

Jalal - Hum jante hai Rukayiya ke tum hume samajhti ho tabhi to tumhara ahada iss haram me saab se ucha hai begame khas ho tum .

DUSRI TARAF HAI HARKA BAI AMRE RAJYA KE RAAJ VAIDYA KI KANYA HIRA BAI . USKE TEEN BHAI HAI SANKAR PRASAD, BHAWANI PRASAD AUR DURGAPRASAAD. TINO AMER KE RAAJ PARIVAR KE LIYE KAAM KARTE HAI. SANKAR PRASHAD RAJ GUPTA CHAR HAI AMER RAJ PARIVAR ME BHAWANIPRASAD UP SENAPATI HAI AMER KE AUR DURGA PRASAD APNE PITA SE CHIKIYSHA VIDYA SIKH RAHE HAI . IN TINO BHAIYO KE PITA HAI HARIPRASAD SING JINHE APNE BETO KO LEKAR CHINTA NAHI . CHINTA HAI TO APNI EK LATI BETI RUPMATI/HIRA KO LEKAR . HIRA BAHAT BAHAT GUN WATI HAI WO ACHA GA SAKTI HAI, ACHE CHTRA BANATI HAI, GHAR KE KAAM BHI JANTI HAI AUR SAABSE BARI BAAT WO BAHAT HI SUNDAR HAI ITNI SUNDAR KI RAAJ KUMARIYA BHI USKE SANDARIYA KA MUKABLA NAHI KAAR SAKTI .PHIR BHI USKA VIVAH NAHI HO RAHA . RAAT KO HIRA KE PITA APNI PEHELEI PATNI SUPRIYA KE SAATH BAITHE THE

Supriya - Kya hua ji aap itni chinta kai kar rahe ho?

Hari - To Kya Karu? Hira ka viha nahi ho raha hai. 26 saal ki ho gayi hai .

Supriya- Aap chinta na karo ji. Raaj jotshi ne to kaha hai naji ki solwe saal ke lagte hi humari hira ka viha hoga

Hari - janta hu par tu to jane hai halat thik na hai . Mughlo ki sena kabhi bhi kisis bhi rajya pe akraman kar rahi se . Aur waha ke sampatti ke saath saath waha ki bahu betio ko bhi utha kar le ja rahi hai apne sehensha ke liye .

Ssupriya - main saab janu aap ko chinta hai na ke humari hira ka rup rang uske liye abhisaap na bane? Aapdekhna ambe maa saabthik karengi aisa kuch na hoga .

Hari- Ishwar kare tera kaha sach ho warna uski chinta me to mane nind na ave

Supriya aap so jayiye ji saab thik hi hoga . Dono diya bujha kar so jate hai .

CHAPTER 2

HIRA APNI SAHELI DEVANGANA KE SAATH SUBHA NIKLI HAI . ROJ SUBHA WO DONO KANHA KE MANDIR JATI HAI POOJA KARNEKE LIYE .

Hira - kya baat hai tum aaj bahat prasanna lag rahi ho koi vishes suchna hai kya?

Suneyna - ha wo bapu saa mare liye rista dhunfd rahe hai aab bahat jald mara viha ho jayega.

Hira - ye to bahat subh suchna hai . iska arth ye hai ke bahat sighra tum hume chor kar chali jaogi .

Suneyna - ha par usme bhi samay hai . Agar bura na mano to ek baat kahe?

Hira - ha kaho na? Chacha saa tumhara vivah kaab karwayenge? Tum itni roopwati ho koi bhi tumse vivah karna chahenge .

Hira- Acha hi to hai hum jaab taak apne maike me rahenge tab taak laad pyar milega aur jaise hi apne sasre jana hoga waise hi jimedariya a parengi . Lo mandir a gaya palki se utro .

MANDIR PAHACH KAR HIRA AUR SUNEYNA HEYERAN HAI MANDIR KA DARWAZA KHULA HUA HAI AUR PANDIT JI PARESAAN BAITHE HAI.

Hira - Kya hua panditjee aap aise kai baithe ho?

Pandit ji- gajab ho gaya koi kisaan ji ka mukut aur unke gahene aur daan peti ke paise chura kar le gaya hai . Ghor kalyug.

Hira- Kya ye aap kya kahe rahe ho? Kisan ji ke gehene chori ho gaye/ kaun kar sakta hai aisa?

Suneyna- dekhna jisne kiya hoga pandit ji uska kabhi bahalo na hogog .

Hira - chalo pooja kar lete hai aye hai to pooja karke jayenge. Aur pandit jee aap chinta na karo kisan ji ke gehene main la kar dungi aur wo bhi aaj hi.

UDHAR AGRA ME SAHI BAGICHE ME NUMAYISH LAGI HAI KAYI FANKAR AYE HAI APNE APNE FAN KI NUMAYISH KARNE . KOI APNI MASIKI DIKHA RAHA HEI KOI TASWEERE BANA RAHA HAI TO KOI SERO SAIRI SUNA RAHA HAI . YE BADSHA HAA SAAL KARWATE HAI UNHE KALA KI KADR HAI . ISS ME AURTE SARIK NAHI HOTI . SEHENSHA GHUM RAHE HAI BAGICHE ME AUR SAAB KUCH DEKH RAHE HAI UNKE SAATH ABDUL BHI HAI SEHENSHA KE KHAS

Abdul - Iss baar kheme bahat ache saje hai sehensha .

Jalal - ha sahi kaha ye kheme hume haar baar hindustaan ki haar tarha ki tehezeeb se rubaru hone ka mauka dete hai.

Abdul - Wajay farmaya sehensha . ye saab apki k nazar aur karam ke liye yaha aye hai

Jalal- Hum sehensha hai jis par hum karam karde uski to kismaat hi badal jati hai

Abdul- ji wajay farmaya apne huzur . tabhi ek sipahi ata hai

Sipahi- Sehensha ka ikbaal buland ho . sehensha begame khas aap ke didar ki ijazaat chahati hai.

Jala- unse kahiye huma abhi a rahe hai . jalal haram ki taraf ja rahe hote hai tabhi unki nazar ek fankar ke banaye hue ek tasweer par parti hai . Uss tasweer ko dekh kar jala rukh jate hai . Itni khoob surat ladki unhone kabhi nahi dekhi thi . Uski wo geheri kali ankhe wo khule hue kale baal . wo sone jaisa bighalta rang . uski dilkash muskan . sehensha ko ruka hua dekh fankar keheta hai .

Fankar - lagata hai sehensha ko daas ka ye kaam acha laga hai

Jalal be shak kaun hai ye? Ye tumahara khayal hai ya hakikaat?

Fankar - ji nahi sehesha ye sach me hai .

Jalal - bahat khoob . tye kehekar jalal ek asrafio se bhari thayeli us fankar ko dete hai aur sipahoi ko hukm dete hai. Ye tasweer humare khabgah me lejaya jay.

JALA RUKAYIAY SE MILNE AHARAM ME TAE HAI YE BAAT DUSRI BEGAMO KO PATA CHALTI HAI AUR UNME AFRA TAFRI MACH JATI HAI

Jala - adab.

Rukayiay - Adab sehesha

Jala -m Rukayiya hum bahar jaldraajpootane ki aur kuch karenge jang ke liye iss bich hum shayad apse milne na a paye tayiyari jo dekhni hai .

Rukayiay - hum samajhte hai sehensha. Tabhi sppahi ata hai taswere le kar .

Sipahi- Gustakhi maaf huzur ye tasweer kaha lagani hai?

Jalal humare palang ke upar wali diwar par .

Rukayiya - lagta hai sehensha ka naya sokh hai . waise manna parega aap ki nazar ko kya tasweer hai

Jala ha rukayiya iss tasweer me koi baat hai jo hum iski taraf khiche chale gaye . acha abhi chalet hai aap se raat ko mulakaat hogi khooda hafis

Rukayiya - khooda hafis .

Created

Last reply

Replies

2

Views

1.6k

Users

3

Likes

2

Frequent Posters

LekhSha thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 11 years ago
#2
Very nice , please continue.
SShreShthA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#3
AUSOME DEAR... LIKE IT...
CONTINUE SOON...

Related Topics

Jodha Akbar thumbnail

Posted by: ParijatDeewani · 3 months ago

Hey y'all! I've created this thread so that you'll can easily access all the Akdha Vms in one place. Please feel free to add to the list. 1....

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: Swissgerman · 6 years ago

Jodha Akbar FF : --- Who loves Him Most (M) --- Link to my other threads Thread 1 Thread 2 - Thread 3 :::::Thread 4::::...

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: Swissgerman · 9 years ago

... Shahzada Of Her Dreams ... ::::::::::::::::::::::::::::::::Index::::::::::::::::::::::::::::::: Chapter-1.....The beginning Chapter-2:...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".