T2: kiya pyar mei paya ha last part pg 42 20th sep - Page 11

Created

Last reply

Replies

242

Views

41.9k

Users

46

Likes

462

Frequent Posters

umamah70 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
wow...
awesome update...
loved it...
OMG...kia wo photo wali sach main rosh hai...
ab kia hoga...
riya sings..
update soon...
IshitaRocks015 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
awsum update!!
thnx 4 d pm!!
sumbulqaiser thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
PART: 14
KIYA PYAR MEI PAYA HAI;

At Home:
In night;
Riya: Thanks Arjun

Arjun: Thanks ki koi zarorat nahi hai.
Riya: mei janti hai wo sab aap nay mere liay kiya tha Arjun.
Arjun: stop it Riya , just forget that mujhe neend aa rhi hai.
Riya: par mujhe neend nahi aa rhi.
Arjun: phir mei kiya karun.
Riya: batein.
Arjun; but Riya (he wants to scolds her but he control his anger) Ok par tum mujh say batein kyun karna chahti ho.
Riya: jab tak aap say batein nahi karun gi toh aapko janun gi kaisay.
Arjun: kiya karo gi mujhe jaan k.
Riya: kaisay chupa letay hain aap itna sab kuch aap ki gehrai janna chahti hun.
Arjun (POV): kahin isay kuh pata toh nahi chal gaya.

Riya: kiya sochnay lagay aap
Arjun: kuch nahi
Riya: toh phir ap jawab kyun nahi detay.
Arjun: kiya jawab dun.
Riya: mujhe us k baray mei janah hai Arjun. Aap us say jab itna pyar kartay hain toh keh kyun nahi detay usay kyun chupa rhay hai aap us say ye sab.
Arjun: please Riya mujhe is baray mei koi baat nahi karni.

Riya: par mujhe karni hai Arjun , mei aapko takleef mei nahi deekh sakti, nahi dekha jata aapka dard, ye jantay huway bhi mei aap say mujhe sirf dard milay ga mei nahi rook pati khud ko , dard hota hai aap k dard ko deekh k plz Arjun mujhe bataen aap us say kyun nahi keh daytay mei hun aap k sath
.
Arjun holds her by her shoulder.
Arjun: janah chahti ho kyun.

Riya simply nodded her head in Yes.

Arjun: toh suno, mei usay kho k hi khush tha Riya, usay paa k mei khush nahi ho sakta, kyun k aaj tak jo shaks mere nazdeek aaya hai mei nay sirf usay khoya hai, isliay usay pana nahi chahta kyun k dour say hi mei usay khush deekh k khush hun.
Riya: aaisa har bar nahi hota Arjun.
Arjun: par mere sath hota hai
Riya.
Riya: ek bar keh dyn Arjun.
Arjun: nahi keh sakta.
Riya: please us k liay.

Arjun: nahi Riya mei us say buhat pyar karta hun,usay paa k hamesha k liay khud say dour nahi bheej sakta , please meri mohabat ko itna majboor nahi karo Riya, mei nahi jee paun ga us k bina, buhat kuch khoya hai mei nay ab usay nahi kho sakta, wo hi mere jeenay ka sahara hai, meri nafrat hi us k liay kafi hai, meri mohabat usay mujh say cheen lay gi riya. Mei nahi keh sakta us say k mei us say pyar karta hun.
Riya: mei hun aap k sath hamesha phir aap kyun dartay ho Arjun.
Arjun: dour raho mujh say Riya , tumhain sirf dard milay ga aur kuch nahi kyun aai ho tum meri zindagi mei kyun , kyun meri care karti ho kyun, I hate you , nafrat karta hun mei tum say

Riya: par mei aap say chah k bhi nafrat nahi kar sakti na mujhe aap k past say nafrat hai, chahay aap mujh say hazar bar kehen k aap kisi aur k ho phir bhi mei aap say nafrat nahi kar sakti arjun nahi kar sakti, chahay aap mujhe dard do mei phir bhi aap say nafrat nahi kar sakti, nahi rook sakti khud ko.

Arjun: jaal jao gi Riya is nafrat k aag mei.
Riya: mujhe jalna manzoor hai Arjun.
Arjun: please Riya.
Riya: mohabat majboor karti hai Arjun, jaisay aap majboor hain waisay mei majbor hun Arjun.
Arjun: Riya please tum mujhe chor k chali jao, mei nahi reh sakta aab tumharay sath.
Riya: par mei nay aapni zindagi aap k naam likh di hai, marun ya mitun par aap k sath hi.
Arjun: shut up Riya marna aasan nahi hai Riya, kabhi socha hai un k baray mei jo tumhain
chahtay tumhari maa, Ayehsa , ambaji unka kiya hoga.
Riya: aur aapka'.
Arjun: mujhe koi faraq nahi parta.
Riya: bus yahi sunna chahti thi, soo jaen buhat dyar ho rhi hai Arjun.
Arjun: good night.

Riya: good night.
She lyies besides him and place her hand on his chest, he free himself from her grip but she again holds his shirt.
Arjun (POV): pagal hai ye larki
Riya (POV): don't Arjun ek din aap ko pyar ka ehsas dila k hi rahun gi.
IN Sasha House:

Naina: Ayesha beta sameer aa gay tum log , itni dyar laga di , dadi maa bhi kab say tum logon ki rah deekh rhi thi, kahan reh gay thay tum log.
Sameer; bus maa Ayesha buhat dino bad aapnay doston say mili thin a isiliay dyar ho gai.
Naina: par beeta ek phone toh kar saktay thay na, tumhari dadi maa kitni pareshan thi theek say unhom nay khana bhi nahi khaya.
Sameer: sorry maa. Aainda khayal rakhen gay.
Naina: array Ayesha beta tum itni pareshan kyun lag rhi ho sab theek hai na.
Ayesha: ji ( she says rudely)
Naina: kya baat hai beeta.
Ayesha: maa har baat aapko batani zarori hai kiya, waisay bhi aap ko humari fikarvkarnay ki koizarorat nahi hai , hum bachay nahi hai apna khayal khud rakh saktay hain, please humari chinta nahi kiya kejiay, sameer mei apnay room mei jar hi hun mujhe neend aa rhi hai.
Sameer: ye kiya tareeka hai baat karanay ka, behave your self.
Naina: chor do sameer beshari pareshan hai, kahen tum nay toh usay kuch nahi kaha.
Ayesha leaves from there.


Sameer: nahi maa wo buhat khsuh thi pata nahi aakhir mei uski Riya say kiya baat hui tab say pareshan hai.
Naina: behan hai na uski fikar toh hogi, tum nay Arjun say baat ki.
Sameer: nahi maa.
Naina: kyun? Riya kitni aachi hai aakhir wo usay apna kyun nahi leta.

Sameer: maa ap janti ho phir bhi aap.

Naina: janti hun magar is mei riya ka kiya kasoor.

Sameer: maa lekin mei Arjun k sath hun, Riya say mujhe hamdardi hai maa ,magar mujhe Arjun ka pyar uski khsuhiyan zayda aaziz hain ,chahay ayesha ko ye baat aachi lagay ya buri lekin mei aapnay dost k sath hun, waisay hi jaisay usay apni behan ki khushiyan aziz hain mujhe bhi apnay Arjun ki fikar hai.
Naina: beta aisa kuch ma krna k tumharay aur Ayesha k rishtoh mei darar par jaey.
Sameer: maa mei manage kar lunga, don't worry good night

Naina: good night

In sasha bedroom:

Ayesha is throwing all her accessories on the dressing table, sameer enters in the room and sees her like this.
Sameer; ye sab kiya hai Ayesha , kis lehjay mei tum nay maa say baat ki , tumhain zara bhi fikar hai meri family ki , why you do all this Why?
Ayesha: aapki family aapki maa kyun hamesha interrupt karti hum jahan jaen jab ghar wapis aaen who are she to ask such questions?
Sameer; wo maa hai meri unhen humari fikar hai.
Ayesha: par mujhe aaisi dekhaway ki care ki zarorat nahi hai.
Sameer: maa ki care tumharay liay dikhawa hai

Ayesha: ha mujhe aapki family ka hare k shaks banawati lagta hai jo sirf pyar aur care ka dekhawa kartay hain aur kuch nahi
Sameer: Ayesha please mei apni family k baray mei kuch nahi sunna chahta maa nay kitnay oyar say is pariwar ko sanjoya hai, aurvtumhain ye sab care fake lagti hai. Agar maa ko hamari fikar nahi hoti toh wo itni raat tak humari yun rasta nahi deekh rhi hoti, kab ki soo chuki hoti hum sab ko apni neendein aziz hoten , magar maa wo neend apnay betay apni bahu k liay haram kar di aur tumhain ye sab dhong lagta hai. Kaisi larki ho tum Ayesha ..
Ayesha: sameer mei buhat pareshan hun please mujh mei abhi aap say larnay ki himmat nahi hai, for god sake mujhe akela chor dyn.
Sameer: baat kiya hai Ayesha, mujh say share nahi karo gi.
Ayesha: nahi mei ye baat kisi say bhi share nahi kar sakti kyun k Riya nay mujhe mana kiya hai.
Sameer: zaror ye baat Arjun say related hogi
Ayesha: ha.
Sameer: I know , theek hai soo jao aur please maa say zaror maafi mang leena.
Ayesha: jeee.

Next Day:
Sameer: arjun we have a new case.
Arjun: good tell me details.
Sameer: here is the file in which all details are written.
Arjun: thanks saam.
Sameer: you welcome.
Arjun is busy in studying file while sameer stares him constantly , Arjun also observe him from his corner of eyes, atlast he puts file back on table and break the silence between them.
Arjun: aaisay kyun mujhe ghoor rhay ho jaisay pehli baar mera chehra dekha hai, ya koi ghalti kar di hai mei nay
Sameer simply nodded his head in negative.

Arjun: kuch kehna hai mujh say.

Sameer: ha kuch poochna hai tujh say, can I ask you?

Arjun: pooch tujhe meri ijazat ki zarorat kab say par gai.

Sameer: jab say tu mujh say batein chupanay laga hai.
Arjun: what? Tu janata hai na saam mei nay aaj tak sirf tujh say ek baat chupai hai, phir tu aaisa kyun keh rha hai.
Sameer: Riya ka tujh say kiya rishta hai Arjun.
Arjun: tu janta hai phir bhi pooch rha hai.
Sameer: bata Riya ka tujh say kiya rishta hai.
Arjun: biwi hai wo meri.
Sameer: aur..
Arjun: aur kiya saam.
Sameer: Arjun tu usay chor day
Arjun: kyun saam
Sameer; tu usay chahta nahi hai phir kyun us kay sath reh rha hai ek anchahi zindagi kyun guzar rha hai.

Arjun: mei nahi chor sakta usay
Sameer: kyun?
Arjun: agar mei nay usay chor diya toh uski zindagi barbad ho jaey gi wo toot jaey gi.

Sameer: tujhe kab say uski fikar honay lagi.

Arjun: wo meri zimadari hai.
Sameer: dekh mei tujhe is tarha ghut ghut k jeetay huway nahi deekh sakta , riya k zimadari mei layta hun, wo khush rhay gi mei uski khushyun ki zima layta hun mei wada karta hun tujh say k mei us k liay aaisa jeewan sathi dhundun ga jo us say pyar karay, ayesha bhi yahi chahti hai.
Arjun:riya kiya chahti hai tu nay us say poocha, nahi na uski khushi mujh mei hai.

Sameer: aur teri khushi Arjun.
Arjun: saam please yar.
Sameer: theek hai anb mei is baray mei baat nahi karna chahta, par plz Riya buhat aachi hai arjun tu us k liay kuch kar ya toh tu khud ko us k naam kar day ya usay azad kar day.
Arjun:
tujhay paa bhi nahi saktay tujhay kho bhi nahi saktay

Ye kaisi majboori hai k hum tere ho bhi nahi saktay."

Arjun: sam case par dhayan dyn.
Sameer : ha.
At evening:
Riya is busy in cleaning her house , while some one knock on the door, she runs towards the door and opens , she is chocked to see sameer and Arjun together, sameer holds Arjun by his shoulder and arjun's arms bleeding.
Riya: sameer jiju ye kiya huwa hai Arjun ko.
Sameer: don't worry Riya case k doran Arjun ko chot lag gai hai.
Arjun: sam mamoli si chot hai theek ho jaey gi,
Riya: arjun ye mamoli choot hai, kitna khoon beh rha hai aapka aur aap keh rhay hain k mamoli choot hai.
Sameer; riya relax humaray job mei ye chooti mooti chot roz ki hain, humara kam khatron say kheelna hai riya, us mei isay chooten toh lagti rehti hain.
Riya: par jiju, Arjun please aap aaisi waisi job chor dyn .
Arjun: relax riya, overacting karna band karo, Thanks saam tu ja Ayesha tera intezar kar rhi hogi.
Sameer: pehlay mei tere bandages toh kar dun.
Riya: nahi mei kar dun gi bandages aap takleef na karen.
Sameer: sure kahin tum behosh toh nahi hogi.
Riya: nahi
Sameer: Are you sure? Agar tum behosh hoi ga toh Arjun ko ulta tumhain sambhalna paray ga

Riya: I am a brave girl
Sameer: mujhe shak hai riya.
Riya: jiju bus mujh say apnon ki takleef nahi dekhi jati, otherwise I am brave
Sameer: good.

Arjun: sam tu ja rha rha hai ya nahi.
Sameer: jar ha hun na, I am sure tujhe apni wife k sath time spend karna hai I know.
Arjun: saam.

Riya smiles .
Sameer: jar ha hun chilla kyun rha hai, bye Riya, take care Arjun.
Riya: bye jiju.

Sameer leaves for his house.
Riya: Arjun hath dyn apna.
Arjun: mei khud kar lunga.
Riya: mere hotay aap kyun karen gay

Arjun: i can manage.
Riya: please Arjun
Arjun:ok
Riya first examine his wound and clean his wound with anticeptic and applying cream on his wound , her hand touches his chest , she can feels
his heartbeat on her hand , she bandages his wound but she can'tcontrol herself , she place her hand over his heart and feels his heart
beat, then she rested her ears over his heart and hears his beats, now her lips proceed towards his heart she gives a small picks over his heart, she turns her head on other side and blushing , but he faces is burning with anger,
she feels angerness she says sorry for that action, but he hold her by her shoulder
and shakes her.
Arjun: sorry tum kiya samjhti hun mei tumhain itni asani say maaf kar dunga, no Riya
Riya: sorry Arjun mei apnay aap par control nahi kar saki.
Arjun: nahi riya tumahin iski saza milay gi Riya.
Riya: please Arjun.
He tightened his grip and she screamed with pain.

Riya: arjun..
But Arjun more tightened his grip and pulls her she hits with his chest an he release her.
Arjun: riya aabhi saza poori nahi hui hai.
Arjun steps in and she steps back, he again takes a step and she steps back, after few steps she hits with wall.
Arjun: kiya kaha tha tum nay tumhain khud par control nahi rha na, ab tum dekho mei kiya karta hun.He placed his hand over her heart too, she lower her gaze and smiles, his angerness also turns into a smile he sees in her eyes and her dimple smiles makes effects him.He also bents his head to kiss over her heart, before he can do this she hugs him tightly,Arjun also puts his hand around her.
Arjun: that'sks not fair Riya saza bhi poori nahi hui aur tum.
Riya not answered she is lost in his arms , he pathes her back , she feels herself in the heaven, but this was temporary happiness for her, soon he separates her from him and pushes her.
Arjun: sorry I am sorry riya I am really soory pata nahi kaisay i don't mean that.
Riya: but I need you Arjun, don't say sorry , I am always with you Arjun

Edited by sumbulqaiser - 12 years ago
Shanafr thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
Fan update api plz cont soon
ll_megha_ll thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
Res

unres

awesome update dear.
Continue soon.
And thanx for pm.
Edited by mastmegha22 - 12 years ago
unishaz thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
nice update dear.. Loved it.. Thanks for pms..
rizwanaa thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
amazing update
ariya convo was nice n emotional
arjun fears to loose people he loves
raesha were good
last scene was awesome
loved ariya
thanks for pm
cont soon
fly.high thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
awsm update dear...
i loved it...haww romance brewing betn arjun nd riya...

bt sam aisha k beech jhagda...por thm...

i hope jaldi hi unke beech sab thik ho jae...

continue soon

love
Aisha
life93 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
hi sumbul di🤗... awesome update😃... aisha got angry...sam n aisha arguement!...
and ariya was nice😊
IlaTanwar thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
it was awsome... Ayesha behaving rude usse aadat nhi... I m confused the way arjun or riya behave pyaar hai ya kya hai...

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

5 months ago

Ariya/ETF OS: Pyar Ke Farishtey

Pyar Ke Farishtey The ETF SUV rolled to a stop outside Aashiyana Orphanage , a quaint two-story building painted in soft pastels, surrounded by...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

7 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-33 Updated (Page-62)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: VindhyaMounika

1 years ago

Arakshi SS: Chance By Kismat - Part 15 Updated (Page 4)

Arakshi SS: Chance By Kismat Prologue, Part 1 and 2 Part 3: Arjun kneeled before lifeless Sakshi, who didn’t even blink from past 5minutes. She...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

4 months ago

Ariya SS: Bandhan – A Tale of Shadows and Sunshine {Part 3, P.5}

Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

5 months ago

Ariya FF: Tera Mera Rishta Purana {Part 12, P. 12}

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".