Dear KAAians,
Its been nearly 3 months since I joined the KAA forum, and its been an awesome ...to be a part of this IF... it often struck me quite a surprise, how in the name of a mere serial, many a like minded people, meet and form bonds of a lifetime... and establish relations through mere words... and thoughts... and feel the presence of another , through heartfelt emotions,expressed in words....
I have been blessed with a warm welcome into this forum and have received adulation far more than I deserve and its deeply humbling... this one is a mere attempt in expressing the beauty of this virtual world and the bonds people share in this world as well...
Yahin soch kar man mein aaye khayaalon ko shabdon mein bayaan karne ki koshish ki hai ... and this one is dedicated to KAA IF and all the KAAians...😊
-Sareeta
Saathi...
Saazishon ke bhanwar ...
Mein uljhe kirdaaron...
Ki baatein..
Lage mazedaar .....
Aur karne yahi ...
Chatpati baatein...
Nikal padte hain...
Dhoondhte hue saathi...
Karne apne dil ki baat...
Gumnaam galiyon mein...
Chehre ki pehchaan...
Na ho Jahaan...
Chehre ki hasi ...
Na dikhe ..
Par mehsoos ho ...
Man ki muskaan...
Aur khayaalon se..
Ho insaan ki pehchaan...
Khayaalon se bande...
Rehte hain...
Ek doosre se...
Jahaan...
Judte hai dil..
Jahaan..
Shabdon ke taar se...
Aankhon se nahin...
Lafzon se bayaan ...
Hote ehsaas dil ke ..
Jahaan....
Bante hai rishtey...
Ehsaason se...
Jinhe maante hai...
Jahaaan ... dil se...
Ehsaason se bande...
Dilon ke rishton..
Ko yunhi nibhaate hain..
Yahaan...
Saathi ko pehchaane
Jahaan...
Man ki aankhon se...
Khayaaal yahin..
Aaye hamein..
Jab bhi ham..
Guzre..
KAA IF ki galiyon se...
-Sareeta