Tum kehti ho, Meray khat mujh ko
Wapis kardo, Wapis kardo,
Bheegi shamein, Khusbho yadein,
Saari batein, Tum kehti ho,
Wapis kardo,
Kuch sookhein phool, Kitaboun Mein,
Aik chehra hay, Meray khawabo mein,
Kuch tuhfey hein, Tasveerein Hein,
Meray daman mein, Yahi cheezain Hain,
Jo Tanhai Ki Saathee Hain
Saari yadein, Tum kehti ho,
Wapis kardo, Wapis kardo,
Meray khat Mujh Ko Wapis Kardo
Khushyan Sari Woh Gham Sare
Wadey Qasmain Mausam Sare
jo Saath Bahey Woh Sab Aansoo
Beetey Lamhon Kai Sab Jugnoo
Jo Tanhai Ki Saathee Hain
Saari yadein,
Tum kehti ho,
Wapis kardo, Wapis kardo,
Meray khat Mujh Ko Wapis Kardo
2