Kavya's thoughts in Shimla-
Kehte hain ke chote shehron me aksar badi yaadein chupi rehti hain,
Uunche pahado se giri,gehri waadiyon ke beech...aur un gehraiyon se bhi gehri hoti hai...dil me chipi yaadein,
Jo na kisi aur ko dhikti hai,nahi dard deti hai.
Pahado ke beech nikli ye aawazein wahi goonjti hai...wahi kaid hoke reh jati hai,
Jaise wo lamhe...jo wahi beetein aur wahi gum ho gaye.
Log yahan aate hain,milte hain...aur kayeen baar yahan se jaane ke baad kabhi aapas me nahi mil pate
Lekin unki yaadein...unki yaadein yehi kaid rehti hain
Aur jabh bhi un me se koi ek yahan pe wapas aata hai,to ye hawaein use un yaadon ka sandesha deti hai
Ye mitti us pyaar ke mausam ki khushboo ka ehsaas karati hai...ke koii hamse door hai...magar phir bhi dil ke paas
Yaad ban kar...
Yahan hazaron logon ke saath hamari bhi yaad chupi hai.
Ek yaad meri...Ek Anjali ki...Ek Yug Ki...aur Ek shayad Pammi Ki
Aur un yaadon ko jodti hai yeh kahani...jo yehi paida hui...yehi pali hai...aur yahin khatam bhi ho jati hai
Meri aur Anjali ki kahani...
Kavya aur Anjali...jo juda hoke bhi ek hai
Aur ek hoker bhi juda.
Here's the link-