Amit: (Smiling and driving the car) Amita, Aaj aapne jo kiya woh wakayi kabile tarife hain!
Amita: Nahi Amit. Tarif tho aapki karni chahiye!
Amit: Jab aap competition mein ayi tab mein thoda naraj tha par badh mein aapne jis tarah se halat ko sambhala, mein tho dangh hi reh gaya!
Amita: Ab etani bhi tarif mat kijiye, meine tho bus ek purana nuska apanaya! (Smiling)
Amit: (Smiling)
Amita: Amit, aaj aap bhi kuch kam nahi the! Aapko dance se kitni allergy hain phir bhi aapne sabke samne etna acha performance diya! ( la la la moment : and a long eye-lock)
Amita: (Shrieks) Wow!! Muje tho abhi bhi yakin nahi ho raha ki hum yeh competition jeet gaye!
Amit : (Smiling and enjoying Amita's expressions)
Amita : Thank you Khana! Aap hamare sath the es liye hum donone etana bada competition jita ! Mummyj sunegi tho kitna kush hojayengi na!
Amit: Haan ! Mummy ko kafi sari umeedein hain aapse. Woh bahut kush ho jayengi. (Pauses) Kyu na hum es jeet ki kushi manaye. Amita chalo hum aapki woh coffee shop chaltein hain.
Amita : (Smiles happily) Haan , chalo chatein hain !
Both are enjoying the drive and recollecting all the events that happened on that day. They reach the coffee shop and order respective coffees. Suddenly Amita recollects how Riya behaved and how she was about to spoil her day. But Amita is happy that she was able to pull it off gracefully.
Amita: Pata hain Amit muje DDLJ kyu acchi lagti hain ?
Amit : Kyu ? (Is amused by this statement)
Amita : Kyuki SRK rishto ki kadar karna janta hain.Vo janta hain ki ek beti apane pitah ko dhuki karne kabi kush nahi reh payegi. Es liye tho voh kehta hain ki hum shadi karenge, sab ki kushi se aur samatise karenge, kaas kar ki papa se ejaajat milne ke badh hi karenge.
Amit : (Listens intently)
Amita : Tabii tho SRK ne kahan 'Hum bhagkar nahi, balki mein tumhe doli mein bitakar le javunga!' Woh rista hi kya jisme parivar ki kushi na ho!
Amit: Aapne sahi kahan Amita, parivar ki kushi mere liye bhi bahut mayne rakhti hain.
.
Amita : Uss movie mein aur ek bat kafi sochne layak hain.
Amit : Kaunsi bat ?
Amita: Agar SRK ya Kajol ne unki dil ki baat aapas mein share ki hoti tho, Kajol kabhi India nahi jati. SRK wahi Kajol ke papa ko mana leta. Aur woh dono kushi kushi apani jindagi bitatein. Esse pata chalta hain ki ek couple ke bech mein feelings share karna etana jaruri hota hain.
Amit : (Smiles) Aaj aap etani pyari aur sayni bat kar rahi ho. Lagta hain competition ke badh aap kafi samajdar ban gayi ho. (Teases her)
Amita: Amit, muje aapse kuch kehna tha. Pata nahi kaise kahun. (Is bit tense)
Amit : Kahiye na Amita. Kya bat hain?? (he is confused after seeing her expression)
Amit : (Is waiting for her reply'..adjusts his spectacles and stares her)
Amita: Hamare bech mein bhi kafi sari unkahi batein aur galat femiyan hain. Aur yeh sab clear karna bahut hi jaruri hain.
Amit : ( waiting '')
Amita : Hum dono ko hamare parivar ki kushi bahut mayne rakhti hain, lekin koi tho hain jo hamare es rishtein se kush nahi hain.
Amit : Yeh aap kya keh rahi ho Amita ? Aapko aise kyu laga ?
Amita : Aapko yaad hoga, function wale din mein Suraj se bat kar rahi thi! Aur''.(Pauses)
Amit : (Face hardens and a stern expression)
Amita : Woh mein (pauses) kisine mere mobile se Suraj ko SMS beja tha ! Usmein likha tha ki mein es shadi se kush nahi hun aur Suraj hi ake muje es unchahe bandhan se bacha sakta hain.
Amit: (Sarcastically and in angry tone) Kisine bhi beja ho, kya farak padtha hain ! Waise bhi aapka tho pehla pyar hain na '.yeh Suraj ! (Gives a very sarcastic smile)
Amita : (corrects him) Pehla pyar tha, woh tho bahut pehle ki baat thi. Par aapse milne ke baadh'. abbb'..(Pauses)
Amit : Aur abbb'.(la la la moment '..anxiously looks at her ''.they share an eye lock'tries to read her eyes and face)
Amita : (changes the subject) Koi tho hain jo hamare shadi ko thodana chahta tha.
Amit : (Thinking'.) Aise kuan kar sakta hain? Aur kyu ?
Amita : Aur pag phere ke din papa ne hamari bat sunli thi. Par meine uss samay tho sambhal liya par badh mein Tina kaki ne sab batein papa ko bata di!
Amit : (Stunned and shocked)Dekho Amita apani galti chuppane keliya aap kamakah mere parivar ko es mein mat ghasito!
Amita : (in a angry tone)Hamara parivar. Chaho tho aap mere papa se puchlijiye !
Amit : (In a mocking tone ) Amita, woh aapke papa hain. Tho jahir si bath hain ki woh aaphiki taraf dari karenge !
Amita : Aaap ka matlab kya hain. mere papa jhoot bolenge ?? (Very angry)
Amit : (adjusts his spec) Nahi Amita, mere yeh matlab nahi tha!
Amita : Accha , aapko meri baat par yakin nahi hain na ! Tho apani Nani se hi puchlo. Aaj jab mein competition keliye nikal rahi thi tab Riya ne kahan ki party ka theme western nahi Indian hain. Aur yeh bat nani ne bhi suni.
Amit : Aapko pakka yakin hain aapne tik se suna ???
Amita : (Narrowing her eyes and grinding her teeth) Amit mere kaan bilkul tik hain. Aur Riya mere sath yeh bartav pehli baar nahi kar rahi hain. Eske pehle bhi vajan kam karne tips sab galat bataye the!
Amit : Par Riya aapke sath yeh sab kyu karegi?? Uski aapse kya dushmani hain?
Amita : Yeh muje nahi pata Amit. Par mein aapki patni hun aur yeh sab aapko batana mera farz hain.
Amit : (Thinking deeply'..unable to believe his ears)
Amit : Amita, yeh sab batein aap kisiko mat batana.Dekhenge agge kya karna hain (Checking his watch). Kafi der ho chuki hain aur mummy bhi wait kar rahi hongi,ghar chaltein hain.
Amita : Tik hain, ghar chaltein hain.
Both get into the car and reach home. Phalguni is eagerly waiting for A2.
Phalguni : Amit, mein kab se tumhara mobile try kar rahi hun? Aap dono kahan the?
Amit : Woh mummy hum jara ek coffee shop chale gaye the.
Phalguni : Agar jana hi that ho ek phone karke bata dete!
Tina : Jane dijiye na bhabi, bacche hain , jeet ki kushi manane gaye honge !
Phalguni : Mein aaj bahut kuch hun. (Removes her gold kangan) yeh lo Amita beta , yeh soneke kangan tumhare liye.
Amita : (Smiles happily) Thank you mummyji (Amit also smiles, both share an eyelock. La la la moment)
Tina : (Jealous) Han han bhabi ,jab Amit US jayega atleast es trophy ko dekhkar usse yaad tho ayega ki uski koi biwi india mein hain!
Amita : (Hurt and sad'.Amit sees this change in expression'..both share a meaningful look)
Amit : (he responds) kaki, muje meri biwi ko yaad karne ke liye kisibhi trophy ki jarurat nahi hain!
Amita: (Smiles and A2 share a eyelock) (la la la moment)
Amit : (worriedly thinks : mein en sabke bech Amita ko akele kaise chodke US javunga??)
Amit : Mummy mein soch raha tha, US jane ke bajay kyu na yahin se video conferencing karlun.
Phalguni : (Is thrilled ) Sach Amit ! Aise ho sakta hain kya ??
Tina : (Shocked) Lekin Amit , muje nahi lagta client eske liye maan jayega!
Amit : Pehle mein client se baath karke confirm karlun phir aap sabko bata dunga.
Phalguni : Kafi acha idea hain.
Amita: (Surprised and smiles. In her mind: Thanks khanaji aapne mere dil ki bat sunli.Ab mere mann mein ek nayi umeed jagi hain ki mein hamare es benaam rishtein ko ek safal rishta bana sakti hun.Bus aapka ashirvad chahiya! )
Tina : (Sulks after realizing that all her plans have been foiled)
Amita and Amit look at each other, smile and share a lock eye lock. (la la moment )
BG (Ankhon hi Ankhon hi
mein ishara ho gaya
Baithe baithe jine ka sahara ho gaya
Ankhon hi Ankhon hi ...
Gate ho git kyun, dil pe kyun hath hai
Khoe ho kis liye, aisi kya bat hai
Ye hal kab se tumhara ho gaya)
Hit on like button if you like this OS.😊 Please provide your feedback on this.