phir say wohi silsilay hain.
jo dard us nay diay thay,
wohi dard tujhsay bhi milay hai.
jo dard mei nay diay thay tujhko,
aaj unka ehsaas ho raha hai.
kal tak tha mei tera sub kuch
mat poch aaj tu meri kya hai
jo shama teray dil mei jal rhay thay,
wo chirag meray dil mei jaal uthay hai.
jo dard us nay diay thay,
wohi dard tujhsay bhi milay hai
ab kaisay tujh ko chahen
ab kahan say tujh ko layen,
tu gai hai door itni,
k tujhay dekh bhi na paen,
phir udaasiyan barh rhen hai,
aankhon mei ratjagay hain,
jo dard us nay diay thay,
wohi dard bhi tujh say milay hain.
tu gai then chor k jahan par,
saansein tham gain then wahan par,
ab tera aana nahi hai mumkin,
ab bhi hum kharay hain wahan pay,
ab nahi hai tujh say koi doori,
bus ek zindagi k fasalay hain,
jo dard us nay diay thay,
wohi dard tujhsay bhi milay hai
agar hum khatam kar dayn zindagi ya
na rahenge fasalay koi,
na liker hogi zindagi ki,
na mout ko hoga koi sikwa,
khatam hojaen gay ye jo baytasalsul say silsilay hain
jo dard us nay diay thay,
wohi dard tujhsay bhi milay hai
phir dil kar rha hai mohabat,
phir say wohi silsilay hain.
2