Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27th July 2025 EDT
CID Episode 63 - 26th July
WELCOME 🏠 MAIRA27.7
CID Episode 64 - 27th July
Anshuman 😭😭😭😭😭 Mannnnnn
Aneet Padda and why I think she's the next big thing
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
YRKKH to take a generation leap!!!
Maa esi nahi hoti…
What are your thoughts on this?
Ideal mother for Rahi
Vanga : My films are losing revenue due to Adult certification
Mohabbatein: one of the best scenes
Has Kajol forgotten how to act?
Geetanjali vs Abhinav
Who is Best for gen 5
Anyone else born in the 80's?
24 years of Yaadein
Half Girlfriend: anyone watched it?
Part – 59
One day….
Adi, Pinky, Pinky's mom and papaji Sneha ko dekhne aatha hai……
Geet is happy to see them….
Meera bhi hothi toh kitna achcha hoga?
Par Suresh has got a job in Australia and Meera is now there……
Pinky: Geet, toh tum bhi maa ban gayi? Mujhe toh bahut dar lagtha
Geet: Pinky tum kaisi ho?
Adi: ye toh waise hi hai, dekho ab kitna moti ho gayi
Pinky: hare, abhi toh sare ladhkiyaan moti ho jaathi hai
Geet: sachi? Pinky tu bhi?
Pinky: haan Geet….Pinky sharmathi…..
Geet: bas ab Meera hi bakhi hai
Pinky: meinne suna woh log bhi koshish kar rahe hai
Geet: achcha? toh Meera bhi maa banna chahathi hai?
Pinky: haan, pehle kehthi thi abhi nahi, ye toh enjoy karne ka umar hai
Geet: lekhin bachon ke saath khelne ka maaza hi kuch aur hai
Pinky: tum toh aaise hi ho, jab dekho Neha ke saath khelthi rehthi thi, Annie toh hamesha kehthi thi ki tujhe bhi jaldhi shadhi karna chahiye aur maa banna chahiye, ab dekho tumne Maan bhai se shadhi bhi karli aur unnkke bache ki maa bhi bangayi, aaj Annie hothi toh kitne kush hothi?
Pinky's mom: Pinky toh tum Geet ko rhulanne hi aayi ho toh chalo, hum chalthe hai
Adi: haan, ye toh bikul bhudoo hai, hamesha aaisa hi bak bak karthi rehthi, bina kuch soche samje
Geet: Adi, ussko bolnne do, mein bhi hamesha aaisa hi sochthi aur apne mann ki baat ko kissi ke saath share bhi nahi kar payi, Maan se toh ye batein karna bahut mushkil hotha
Adi: haan Geet, ye baat toh tum unsse kaise kar sakthi?
Pinky: sorry Geet, mujhe maaf kardo, mujhe bhi ye baat nahi karni chahiye
Geet: kyun nahi karni? Tumse ye baat nahi karthi toh kisse karthi?
Pinky: Geet?
Geet: waise tumse aaise batein karkke mujhe bahut achcha laga
Neha bhi aajaathi……
Pinky: Neha, hare hummari Neha kitni badi ho gayi?
Neha: haan, ab mein school bhi jaathi
Adi: very good
Pinky's mom has got the baby in her lap….Neha keeps looking at her….
Neha: maa ye hummari princess hai, innke paas kyun hai?
Geet: hare ye toh princess ko wish karne aaye hai
Mr. Handa bhi Hoshiarpur se Adi ke saath lautkke aaye hai…..
Mr.Handa: Neha yahan aao, dekho humne aap ke liye kya laya hai?
Neha: naanu
Neha goes and hugs him…..he has got her laddu….she loves those laddus made by Geet's bhuaji…
Geet: Neha aap jaakke nahalo
Neha: nahi mein princess ke paas hi rahoongi
Neha ko lagtha hai ki ye log princess ko apne saath lekhe jaayenge……
Pinky's mom: hum sab haina tummari pari ke saath
Neha: issiliye toh mein ussko chodkke nahi jaa sakthi
Geet: Neha, papa aathe toh dhaantenge
Mr.Handa: Geet, kyun bachi ko darathi ho? Neha beti,aap badh mein nahalena
Neha: ji naanu
Geet: aap aagaye haina? Ab ye meri koi bhi baat nahi manegi
Pinky's mom: Geet, teri beti toh bilkul teri jaise hi hai, wahi aakhen aur dekho hasthi toh bilkul nanni Geet ko yaad dilathi
Ranno: haan, ye toh mujhe hamesha Geet ki bachpan ki yaad dilathi, usski harkat bhi Geet jaise hi hai, bahut badhmaash hai
Pinky: haan Geet, ye bilkul tummari tarah hi dikhthi
Neha: mein aapkke jaise kyun nahi hoon?
There is silence for a moment…..isska kya jawab demge?
Magar aaj toh Ranno ne pehle bar samajdari se baat ki…..
Ranno:Neha toh bilkul apne papa ki tarah hai, haina Geet?
Geet: haan maa, bilkul Maan ki tarah, wahi gussa, wahi attitude aur sawaal bhi unkke jaise hi karthi rehthi hai
Mr.Handa: Neha, Geet ko dekho jaise bilkul mere jaise hi hai, sundar, suisheel aur samajdar
Neha: lekhin mein maa ki jaise kyun nahi hoon?
Mr.Handa: hare hamesha pehle bache papa ki tarah hi hothe hai, jaise Geet hai, achcha hua Geet mere jaisi hai, warna socho ye tummari naani ki tarah hothi toh tummare papa issko dekhthe hi bhaag jaathe
Neha: aap naani ko dekhkke kyun nahi bhaage?
Mr.Handa: hummare jamaane mein shadhi ke pehle ladka ladki se nahi mil saktha, kash mein ek bar isse mil patha , mein toh ussi waqt kahin dhoor bhaag jaatha
Ranno: bachon ko apni bhuri kahaaniyan mat sunao
Neha: joot, naanu aap joot bol rahe ho
Mr.Handa: kya?
Neha: haan mujhe patha hai ki aap naani se milne chor ki tarah deewar pe chadkke gaye aur ghir gaye ho, issiliye aapki haath aaisa hai
Neha shows his slightly tilted left hand….
Ranno ne Neha ko bedtime stories mein apni stories ko bhi kehdhi…..
Geet: maa, ye toh mujhe bhi nahi patha tha
Ranno: hare ye ladhki har din mujhse kahaaniyan sunthi rehthi haina?
Mr.Handa: toh tum ussko aaise kahaaniyan sunathi ho?
Neha: naanu naani bahut achche kahaaniyan sunathi, Geet ki stories, hoshiarpur wali stories
Geet: kya? Maa tune mere barein mein kya kya kaha?
Ranno: kuch nahi Geet, tum bachpan mein tummari school se har rang ke chalk piece churakke aathi thina?
Geet: kya? Maa , ye kissne kaha?
Mr.Handa: haan Geet, tab toh tum bahut choti thi
Geet: aaj se Neha ko tujhse dhoor hi rakhna padega
Pinky: hare Geet patha hai kaise tumne ek din uss ladhkke ko tappad mara tha?
Neha: haan, jab ussne aapki khaane ko break mein khaaliya tha,aur aapko bahut bhook laga, haina?
Pinky: haan wahi, toh tum sab jaanthi ho?
Geet:maaa
Ranno: ye Geet ko kya ho gaya?
That night…..
Maan: haan,Adi ne mujhe call kiya tha, mein noida mein koi zaroori kaam mein fusgaya tha, issiliye nahi aapaya
Geet: woh baat nahi hai
Maan: phir kya baat hai?
Geet: kuch nahi, aap sojao
Maan: aaise kaise so saktha? Tum mujhse kuch kehna chahathi ho, haina?
Geet: nahi, bas yuhi kuch bolna chahathi thi, haan Pinky bhi pregnanat hai
Maan: Geet tum mujhse kuch chupa rahi ho
Geet: nahi
Maan: Geet mere aankon mein dekhkke kaho
Geet raises her head…..she is in tears…..
Maan: toh pinky ne tujhe Annie ki yaad diladhi?
Geet: Maan?
Maan: mujhe bhi Annie ki bahut yaad aathi hai Geet, jab hummari shadhi hui thi, aur tummari godh barayi ke samay aur abhi tummari delivery ka waqt, aur jab bhi Neha ko dekhtha hoon
Geet: mujhe bhi usski bahut yaad aathi hai, bas aapse kehnahi payi
Maan: tumme kuch bhi kehne ki zaroorat nahi hai Geet, ye toh hum donno hi jaanthe hai ki Annie ko bhoolna namunkhin hai, phir usske yaadon se kyun darna? Bas Neha ke samne usski baat nahi kar sakthe
Geet: Maa, mujhe laga aap Annie ko bhool gaye ho
Maan: kaise bhool saktha hoon Geet? tum toh bas ussko theen saal se jaanthi, mere barein mein socho Geet
Geet hugs him tight and tries to console him…..
Kabhi kabhi Maan ko lagtha ki Geet usski biwi nahi maa hai……aaj Maan ki maa hothi toh shayad Maan ko Geet ki saath ki itni zaroorat nahi padthi?
tooo busy...😉 - no dear...was postponing to read at the end...this is happy one na thats why...
missing Ur comments...😲 - me too...Part – 60
The following week……
Geet aur Neha Maan ke liye wait kar rahe hai……
Maan has promised to take them out today……
Maan is a little late as usual….
Geet ko ye baat ki aadat ho gayi aur woh aaram se tayaar ho rahi hai…
Par Neha is not used to it….actually Neha ko Maan itna wait nahi karwatha….
Neha calls him…..
Maan: tum log shopping mall aajao, mein bhi dus minute mein wahan pohunchjaaoonga
Neha: Geet, jaldhi karo papa aagaye
Geet is not yet ready….
Geet: hare, woh aagaye? par kahan?
Neha: papa yahan nahi aayenge, chalo hum chalthe hai
Geet: teek hai, unke liye wait karthe toh hum bhi nahi jaa sakthe
They go to the mall…..
Maan has already got there…..
Maan: Geet tumlog itne dher kyun lagaye?
Geet: kya? Hum late hai, ha ha ha aap toh bahut jaldhi aagaye haina?
Maan: haan mein paanch minute se wait kar raha hoon
Geet: paanch minute, hare babaji, hum kaise mr. MSK ko paanch minute wait karwa sakthe? Maan, aap bas paanch minute wait nahi kar sakthe? Hum toh kitne bar ganton aapke intrezaar karthe rehthe the?
Maan: ab kal hi Neha ke liye tumne naye kapde kareedha tha, ab aaj woh kya purane ho gaye hai?
Geet: Maan, aap MSK ho har din kya har gante aapkke beti ke liye naye kapde kareedh sakthe, samje?
Maan: aaise hi chaltha toh MSK ek din pagal hokke sadak mein gooomega, haina babaji?
Geet: Maan agle hafte Neha ke school mein fancy dress competition hai
Neha: haan papa, aap bhi aao
Maan: of course, hummare Neha ko kaunsa dress chahiye? Aap ye lelo, aur ye bhi
Geet: dekho beti ko dekhthe hi shuru ho gaye, babaji mein bhi dekhthi hoon ki ye donno itne sare kapde kyun lethe hai? mujhe toh lagtha humme KC chodkke kapdon ka dhookaan kolne chahiye, ghar ko toh inhonne godown banadhi
Maan: Geet wahan kya kar rahi ho? Dekho ye kitna cute hai?
Geet: Maan, hum yahan pura dhukaan khreedhne nahi aaye
Maan: Geet tumme kaunsa dress pasand hai? woh bhi lethe hai
Geet: Maan ye laal dress bahut sundar hai
Maan: kya? Meri betei ko tum danger light banadoge?
Geet: toh ye hara suit lethe hai
Maan: Geet tumme ye pasand hai?
Neha: Geet, ye princess ke liye lethe hai
Geet: haan, ye bahut achcha hai
Maan picks up a white gown for Neha…..
Neha: papa ye bahut ahcha hai
Geet: ye, Maan aapko har waqt safed hi pasand aatha
Maan: haan Geet, mujhe toh safed hi pasand hai, tum kaho tumme kaunsa rang pasand hai?
Geet: mujhe toh blue pasand hai
Maan: kal toh tujhe laa pasand tha, aur usske pehle pheela
Geet: Maan, har din naya hotha haina? Issiliye humme bhi har din ko naye andaz se jeena chahiye
Maan: tum jaise bhi jeelo, magar humme toh yahi pasand hai, iss dress mein Neha Pari lagegi
Neha: haan papa, choti princess hai toh mein Angel hoon, haina?
Maan: haan meri pyaari Pari
Geet: pyaari pari? Ye toh kahin suna hai meinne? Kya? Pari?
Maan: haan Geet, dekho hummari pari kitni sundar lagthi?
Geet: wow, Neha toh bilkul Angel lagthi
Neha: toh mujhe yahi chahiye
Geet: par babaji, aapko nahi lagtha ye Maan kuch zyada hi pari pari karne lage?
Maan:Geet kisse baat kar rahi ho? Chalo chalthe hai, pari ko ice cream khana hai
Geet: pari?
Maan: hare Neha ko
Geet: babaji, zaroor kuch gadbad hai
Maan accompanies Neha to the school for the function…..
Par Maan kept her updated and sent her Neha's photos and video whish Geet enjoyed watching at home….
Neha ko pretty Angel ka tittle milla aur ek choti crown bhi milli….
Actually they had rewarded every child with diff tittles to suit their dress, jaise snow white, chindrella, Barbie girl, princess, etc.
Neha is very happy and she wanted her little sister to come with her….
Geet promised to take her to Neha's school next time as she is not well this time…..
Ghar aathe hi Neha heads straight to baby's room…..
Geet: hare, toh tum Pretty Angel ho? Kitna cute crown hai, bahut pyaara hai, Neha ye aakke haath mein kya hai, mujhe dikhao
Neha: nahi ye toh meri princess ka hai
Maan: Geet, ye toh Neha ne specially apne princess ke liye laya hai
Geet: par ye aapko kahan milli?
Maan: ye bhi Neha ki teacher ne hi diya hai, achcha hua unkke paas ek do crowns extra tha, warna mujhe aaj pura mall doondhna padtha, Neha toh ye crown ke bina aathi hi nahi
Geet: achcha, meri bachi kitna smart ho gayi?
Maan: lekhin Geet, mujhe lagtha ye thoda zyada hi ziddi ho gayi hai
Geet: Maan aap hamesha hummari galthiyaan doondhthe rahthe ho, haina babaji?
Maan: tum toh mere har baat se problem hotha hai
Geet: maan, woh sab chodo aur humme ek snap lo
Maan: Geet sach kahoon toh tum bhi pari se kuch kam nahi lagthi
Geet: phir se pari? Maaan
Maan: Geet aaj toh tum bahut hot lag rahi ho
Geet: hare Maan, bachon ke samne?
Maan: toh chalo mere saath
Geet: Maan?
Dadi: hare, hummari Angel aagayi
Dadi just comes to see Neha…..
Maan signals Geet to comewith him…..
Geet: Maan, aap jao
Maan: Geet, woh mera watch ko tumne kahin dekha?
Maan hurriedly removes his watch and hides it…..
Geet: Maan?
Dadi: hare Geet bete, hum haina, aap jao
Dadi smiles…….ye Maan toh aajkal bahut shaitan ho gaye hai
Geet leaves…..nakli gussa karthi magar Geet ko bhi aaise sharaarat pasand haina?
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
193