Itne sare natak jo humne kiye the,
Woh sare pal jo humne really jiye the,
Teachers ko class se bhagana,
Woh ek hi friend ko baar baar rulana,
Ek hi tiffin mein hum sabke haath,
Raat ko aati thi wohi friends ki yaad,
Headache ka toh bas tha bahana,
Asal mein bunk marne tha jana,
Subah uthkar uniform ko dete the gaali,
Do minute mein tiffin wale ki maggi ho jati thi khali,
Dance competition ho ya Drawing sabhi saath mein jate,
Haar ho ya jeet has kar laut ate,
Class ke first ranker ke report card se jalna,
Open day ke din apne sare marks badalna,
Ek hi best friend aur uski personal diary,
Doosri best friend aur uski do teen bakwaas shayari,
Sixty people in a class,
Doors band karke karte the hum masti bindass,
Exams mein help nahi ki toh ohh lagti thi vaat,
Kyunki copy karna tha kuch logon ka only art,
School ke baad lagti thi canteen mein line,
Roj milti thi friends se treat yaar,
It was a good time,
Homework ke liye karte the roj call,
Par baat karne lag jate the kuch aur,
Hairstyle aur ID card ke liye roj pakde jate,
Aur Principal ke office se daant khakar hi wapas aate,
Marks ke liye humne teachers ko bahut maska lagaya,
Par teachers ne hume sirf aage picche nachaya,
School mein late aane ka hota tha darr,
Baad mein rote the kab jayenge ghar,
School life nahi aayegi wapas humare pas,
Kya college life hogi itni khaas?????