Arnav
Tera yakeen kyun maine kiya nahi, tujhse raha kyun juda
Mujhpe yeh zindagi karti rahi sitam, tu ne hi di hai panaah
Tera mera rishta'.Purana
Tera mera rishta'. Purana
Hai kya tadap hai yeh kaisi sazaa
Tu kyun mujhe aaj yaad aa gaya
Bechain din mere, bechain raat hai,
kya main karun kuchh bata
Hain mere paaon hi khud meri bediyaan,
khud se mujhe tu chhhuda
Tera mera rishta'.purana
Jo mujh mein hai shaks woh keh raha
Aa ab main doon karz tera chukka
Aankhen hain num meri, saanse chubhan meri,
zakhm hua phir hara
Dil ke viraane mein, mere fasaane mein,
tu hi toh har dum raha
Tera mera rishta'.purana
Tera mera rishta'.purana
Khushi
Hum intezaar karenge , hum intezaar karenge
Tera Qayamat tak
Khuda kare ke Qayamat ho, Aur Tu Aaye
Na denge hum tujhe ilzaam bewafai ka,
magar gila toh karenge teri judaai ka
tere Khilaaf Shikayat ho,
tere khilaaf Shikayat ho, aur Tu Aaye
Khuda kare ke Qayamat ho, aur Tu Aaye
Hum intezaar karenge...❤️❤️
6