this is my thinking why mallu want to give her child to nidhi and ashutosh. Mallika thinking about her past.about jagan and the pain he had given to mallika,and the pain what she had given to nidhi and indirectly ashutosh. mallika'"mere ander ek bacha pal rahaa hai,kehte hai,bacha bhagwan ka roop hota hai,leking kya main uski parvarish karne ke kaabil hoon?jisne muz per bharosa kiya maine woh saare logon ka bharosa toda.maine apne bhai ko bada kiya,padhaya likhaya lekin apne faaydeke liye aur nidhi ko nooksaan pahuchaaneke liye uska istemaal kiya.usne muze rokneki koshish ki toh maine usse emotionsal blackmail karke,gumraah karke usse bhi gunehgaar banaa diya.humesha suhasini ki baatome aati rahi. aur nidhi jisko maine itna dard diya,uska ghar chheen liya,uske baba ko chot pahuchai,use hospital se nikalwaya.jisne muze apne ghar me panaah di,ussi ko ghar se bahaar nikalwaya.ashutosha aur nidhi main daraar dalaneki koshish ki.aur ek shaadishuda aadmi ko apne kareeb laaneki koshish ki. aur ashutosh mera sabse achha dost,12 saal ki dosti ka bhi lihaaj nahi kiya,uski achhai,insaaniyat ka faauyada uthaaya,aur use apni biwi ki nazrome giraya.koi apne dost ke saath aisa kaisakar sakta hai,ab muze apne aap pe sharm aa rahi hai,jo ek achhi behen nahi ban saki,achi dost nahi ban saki,achhi doctor nahi ban saki,woh apne bache ko kya sikhayegi,woh apne bache ko kya sanskaar degi.main ek achhi maa kaise ban sakti hoo?jo ek achhi insaan nahi woh ek achhi maa kabhi nahi ban sakti.takdir ne muze do farishto se milways lekin main unhe samaz nahi paaye.jagan ne jo mere saath kiya,maine wohi to apne dosto ke saath kiya tha.issiye muze apna prayshchit karna hai,main apne gunaah kabool karke jail jaaoongi,aur ashu aur nidhi ke paav pakadke unse mere bache ki parvarish karneko kahoongi,taaki mera bacha unke jaisaa achhe dilwala aur sanskaari bane,main apni parchhai bhi uske uper nahi padne doongi. shaayad yehi mera prayshchit hai!