Maan had never felt something this amazing before. He kept gliding his hand over her stomach. She had withdrawn her her. she felt ticked yet so warm. For Maan…ohh god, he had never felt something so extraordinarily beautiful ever!
After a while, he felt a kick again. He was so excited.
Maan: geet..dekho..baby kicked again…
And that's when he notice she had dozed off already, resting her head uncomfortably on the headboard. He smiled and carefully laid her on the bed, making sure, she was comfortable and pulled on the spread. He walked back ot the hall to get his coffee…oops his cold coffee which he absolutely detested!
After finishing his coffee Maan went back to Geet's room and sat beside her and was talking to his Princesses when the bell rang. Maan went and opened the door and saw Yash n Meera but failed to see their disappointed face in his excitement & began telling them how the babies kicked when he kept his hand on Geet's baby bump. He pulled them with him to Geet's room asked them to keep their hand on the baby bump to feel the babies' movements. When Meera kept her hand the babies didn't kick neither when Yash kept his hand. Maan seeing their confused faces took their hands & kept it along with his & the babies kicked. His eyes shone is extreme happiness. …one of the most beautiful moments for him! Meera & Yash were surprised by this. They couldn't help smiling seeing Maan's excitement.
Geet felt pain when the babies kicked n woke up & was about to open her eyes when she heard Meera saying, "Maan mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai" & looked towards Geet and found her. sleeping & then continued "Geet ke case ke bare main."
Geet hearing it decided not to open her eyes n was listening to their talks.
Meera sat next to Geet &took her hand in hers while Maan &Yash settled in chairs nearby.
Maan "Tum log aaj kaha gaye the???" seriously.
Yash "Hum police station gaye the complaint likh wane ke liye"
Maan "Kya??? Tum logo ne mujhse ek baar bhi poochna zaroori nahi laga???"
Meera "Maan tum naraz mat ho. Hum tumhe pareshaan nahi karna chahte the isiliye nahi bataya"
Maan "Hum is bare main baad main baat karenge phele yeh batao ke police station main kya huva???"
Yash "Maan unlogo ne complaint toh nahi likhi lekin inspector ne hume kuch help ki hai FIR file karne ke liye kya kya proofs chaiye aur who sab bataya hai"
Maan "Yeh toh main bhi bata sakta tha tum logo ko"
Meera "Haan lekin tum toh kuch dino main chale jaoge aur tumhara kaam bhi toh hai isiliye…"
Maan "Acha theek hai batao kya kaha inspector ne???"
Meera "Maan unhone kaha ke hum log toh FIR file nahi kar sakte sirf geet hi kar sakti hai aur ek eye witness bhi chaiye. Aur kaha ke hum yeh FIR yaha file nahi kar sakte kyuki yeh incident Palampur main huva that oh waha ke district police station main hi jake file karna padega."
Maan "Baaki sab toh theek hai lekin geet ko hi FIR kyu file karani padegi??? Waise toh koi bhi file karwa sakta hai na"
Yash "Haan maine bhi poocha toh inspector ne kaha ke aise kitne saare cases arahe hai aaj kal aur kahi cases jhoote hai isiliye agar victim file kare toh todha jaldi investigation hoga"
Maan "Oh ok. Waise eye witness toh main hu toh usme koi problem nahi hai. "
Meera "Haan usme koi problem nahi hai lekin Geet kaise FIR file karwa yegi aur who bhi Palampur main. Waha toh use bohut khatra hai aur doctor ne use stress lene se mana kiya hai lekin iss baat se use bohut stress hoga aur inspector ne yeh bhi kaha tha ke 15 days main FIR file kar dena chaiye warna yeh case delay ho jayega."
Maan "Hume kuch solution sochna padega ke Geet ko koi stress na ho aur FIR bhi file ho jaye."
Meera felt Geet's hand moving so she silenced Maan &Yash through her eyes & signaled them to go out. she herself went out after making sure that Geet was not awake.
Geet opened her eyes after she heard the soft thud of her the door closing &tears rolled out of her eyes.
Geet (st) "Kya main sach main itni khush naseeb ho sakti hu ke mujhe Meera aur Yash jaise dost mile hai. Ek taraf yeh log hai jo meri jaan ki parwah main mujhe koi takleef nahi dena chahte aur dusri taraf mera parivaar hai jisne mujhe marne se phele ek baar bhi socha nahi. Nahi who mera parivaar nahi hai ab Meera,Yash aur meri bachiya hi mera parivaar hai. Lekin kya main inn logo ki mehinat pe aise hi pani main jane du sirf isliye ke meri tabiyat kharab ho sakti hai. Aaj mujhe aapne baare main nahi balke meri bachiyo ke baare main aur un aurto jin hone yeh sab saha hai unke liye yeh FIR file karni hogi." She wiped away her tears with determination.
Maan,Meera & Yash were thinking about different plans to the prolem when they heard Geet's room door opening n saw Geet coming out. Meera went n helped Geet to come into the living room n sit on the sofa.
Meera "Geet kyu itni jaldi uth gayi. Tujhe todha aur araam karna chaiye. Aur bahar akeli kyu aayi mujhe bula liya hota na."
Geet "Hogaya tera daatn shuru. Abhi kuch dino se tera daatna kuch zyada nahi ho raha? Arre main room main bore ho rahi thi isiliye bahar aayi. Aur tu kuch sawal jawab shuru kare use phele mujhe kuch khane ko de mujhe bhook lagi hai" n made a baby face.
Meera hit her hand on her forehead "Uff main bhi na. Tu rukh main abhi tere liye kuch khana lati hu" n went into the kitchen.
Yash came beside Geet & sat next to her & asked "Tu ab kaisa feel kar rahi hai???"
Geet "Bohut better feel kar rahi hu lekin yeh dono toh bohut badmash hogayi hai. Football khelti rehti hai andar aur dard mujhe hota hai"
Maan hearing it said "Meri Princesses ke bare main kuch mat kehna."
Geet made baby angry face & said "Aap toh chup hi rahiye. Aapko kya pata mujhe kaise feel hota hai… dard toh mujhe hota hai na aapko nahi isiliye aap kuch mat boliye"
Before Maan could tell amything Meera returned &stopped them "Tum dono baad main lad lena phele Geet tum yeh khana khatam karo aur Yash aur Maan tum log bhi lunch le lo"
Maan & Yash went into the kitchen while Geet happily took the plate from Meera's hand & took a bite n made a yuck face & kept back the plate on the table & pouted & said "Mujhe yeh nahi khana…"
Meera "Geet yeh khana kha le dekh main teri fav khana banaya hai aur waise bhi yeh teri sehat ke liye bohut acha hota hai"
Geet "Lekin mujhe kuch pheeka khana hai…."
Meera "Tu toh kabhi pheeka khana khati nahi toh aaj kaise??? Aur tu abhi yeh todha sa kha le aur phir main raat ko tere liye pheeka khana bana dungi"
Geet with a annoyed face "Ab main isme kya kar sakti hu agar mujhe pheeka khana hai toh??? Mujhe pheeka chahiye to chahiye bas!"
Maan who had returned from the kitchen with pasta heard Geet telling that she wanted to have something bland said "Acha Geet tum gussa mat karo. Tum yeh mere pasta kha lo."
Meera "Maan tum ruko main abhi Geet ke liye pasta bana deti hu. Tum yeh kha lo tumhe meeting main bhi jana hai na todhi der main." N gave her the plate.
Maan "Koi baat nahi Meera Geet ko khane do aur rahi meri baat toh main meeting se phele waha se hi kuch kha lunga."
Geet "Arre nahi aap yeh kha lijye. Main todha wait kar lungi." N gave him back the plate.
Maan gave it back to her n said "Tum wait kar sakti ho lekin meri Princesses nahi."
As Geet was about to give it back to him Meera said "Acha tum dono baad main lad lo abhi ke liye dono issi main se kha lo tab tak main Geet ke liye aur pasta bana ke leke aati hu."
Geet n Maan "Theek hai" n they starting having pasta from the same plate.The look on geet's face was worth watching. she relished every bite as if her life depended upon it...ahhh she felt sooo pleasant...she actually made slurping noises as she took in a bite. maan couldn't help but watch her in awe!
After finishing his lunch Maan went to his room to get ready n came back after 10 mins. He told to Meera "Meera main meeting main jar aha hu aur agar late huva toh wait mat karna."
Meera nodded n went back to the kitchen.
Maan came to Geet n kneeled down in front of her n kept his hand on the baby bump n said "Bye Princesses. Main ek impt meeting ke liye ja raha hu isiliye plz mujhe all the best wish karo aur Mumma ko zyada tang mat karna. Ok" n felt two kicks. He smiled n said bye to Geet n left.
After having her lunch, Geet went back to her room n rested for sometime n then helped Meera in cutting the vegetables for dinner n then they had dinner with lots of talks.
Geet went to her room after Meera told her to sleep as it was late but sleep was far away from her. The babies were kicking and moving very much n after sometime she gave up trying to sleep n tried to read a book but couldn't as she was feeling a bit restless.
She caressed her baby bump n saw the clock n saw that it was nearing midnight but yet Maan hadn't returned.
Geet to babies "Haan Bacha mujhe pata hai Maan wapas nahi aaya par main kuch nahi kar sakti …mere pass unka no. bhi nahi hai ke main unko call karu aur bolu ke Unki Princesses unhe miss kar rahi hai. Aap plz aise kick mat karo na Mumma ko dard ho raha hai aur neend bhi arahi hai."
Hearing to Geet the kicks reduced. Geet smiled n went to bed n soon sleep took over her.
After an hour the door of her room opened n Maan peeped in to see Geet sleeping. He tiptoed to her bed n sat beside her n said caressing the baby bump, "I'm so sorry Princesses. Main todha late hogaya na??? Par main kya karta who meeting hi itni lambi chali isiliye"
But the babies didn't kick n so Maan continued "Oh lagta hai Princesses Papa se Naraz hoke so gayi… Ab Papa ko kaun maaf karega. Sachi Princesses sorry aage se kabhi late nahi honge aapke Papa."
As he told that he felt 2 kicks as if telling him that they have forgiven him n they are not angry on him anymore. the word "papa" came out so naturally..even he didn't know how and why..just that..everything was taking its own course!
Maan "Aww Meri Princesses ne aapne Papa ko maaf kardiya. Thank u Princesses" he kissed her bump and began talking about many things.
Geet woke up when she felt the babies kicking her very hard n then a slight tickle on her tumme. she heard Maan saying Papa n was surprised to see that her babies had accepted Maan as their Papa their protector.
__________________________________________________________________
next: geet and babies serious
Prev: PART 9
Next: PART 11