RajeevsKitty thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1

Hemlata Umesh Chauda.. India ke Gujrat Bharooch se aayi hui ek aam ladki.. ek aam ladki ki hi tasveer nazar aati hai usme.. farq.. sirf itna ki usme himmat hai..

Himmat hai usme.. sach kehne ki..
himmat hai usme.. apne bure halaat ka samna karne ki..
Himmat hai usme.. samaj ke samne sar uncha kar ke jeene ki.. aur ye haq bhi hai uska..

28th March aur 29th March.. in do Rato me puche gaye 16 sawal hi kafi hai.. uski poori zindagi ka mulyankan karne ke liye..

na jane kaise kaise din dekhe usne.. fir v muskan barkarar thi uske chehre me.. samaj ki use parwah nahi.. aur kyu kare wo us samaj ki parwah.. jab uske halaat kharab the to kya kar liya samaj ne uske liye.. halat itni kharab thi.. ki premi jodo ko physical relationship ke liye apna kamra dena pada kiraye ke liye.. na jane uspar kya betti hogi..

hemlata se pucha gaya ki kya kabhi usne use ki hui lipstick o becha hai? Us bat par mujhe ek joke yad a gaya.. "ek dukan me dukandar ka ek bacha baitha hua tha.. ek admi ne use pucha ki beta yaha itni sari chocolates rehti hai apko khane ka man nahi karta? Bachcha kjehta hai ki uncle karta to he par papa ne khane ko mana kiya hai.. islie mai chocolates ko chat kar wapis pack karke rakh deta hu.." ek ladki jisko sajne ka shauk hai uske liye esa karna aam bat hai bhai..

par hemlata se kai aise sawal bhi puche gaye.. jo hamare samaj ka aaina hame dikha deta hai.. wo yaha ek aam Hindustani ladki ki tasveer dikha gayi.. ek thappad mar gayi un samaj ke thekedaro ke upper jo niyam aur maryada ki khokli bate karte rehte hai,..

jab hemlata se pucha gaya ki kya kishorawastha me uske mamere bhai ke sath uske sharirik sambandh the? uske bad uske pati umesh ka raweya thoda badla hua laga.. jaise ki usko is bat par apatti hui.. lekin 16th sawal tha ki kya hemlata ne apne pati umesh ko usse ki gayi bewafai ke liye maaf kar diya? ab ektaraf use is bat se dikkat thi ki uski patni ka uski kishorawastha means ofcourse before marraige uske mamere bhai se sambandh yhe.. aur dusri taraf usne uske sath bewafai ki.. kya ese pati ko naraz hone ka haq hai?


uske Pita.. kai bar samaj ki duhai di unhone.. kyun.. kyunki unko beti ne apni marzi se apne bhai ke dost se shadi kar li.. kaun sa gunah kar liya.. shadi ki hai usne.. isme samaj kaha se aa gaya.. ye bat to meri samaj ke bahir hai.. aur haan.. jab we apni khud ki beti ko buri nazar se dekh raha tha.. tab unko isi samaj ka khyal nahi aaya..

kai sal pehle ek show aaya karta tha.. bhanwar.. jisme sachi ghatnao ke adhar par episode banaye jate the.. usme ek episode me kuch aisa hi kissa tha.. jise mai yaha se relate karna chahti hu.. usme ek 13-14 sal ki ladki ke maa aur bhai behan ko shadi me jana pada.. us ladki ko apne pita ka khyal rakhne ke liye ghar par chorha gaya.. har ladki apni zindagi me.. specially apne bachpan me apni ma ki sharee aur churiya pehan kar sringar karti hi hai.. usne bhi kiya.. uska pita ghar ata hai.. puri tarah se nashe me dhut.. wo ladki apne pita ko khana khilati hai.. aur uska baap.. nashe ki halat me uska rape kar deta hai.. kuch din baa ladki pregnant ho jati hai.. apni maa ko ye bat batati hai.. par uski ma apne pati ko jali-kati sunane ke bad apni beti ke liye aur kuch nahi kar sakti.. par baat jab samaj par muh dikhane ki ati hai ki ek kawari 14 sal ki ladki pregnant kaise ho gayi.. to fir us ladki ko zehar khila kar mar diya jata hai..


Raksha bandhan ke din.. behne apne bhai ko Rakhi bandhti hai.. aur agar kisi aur ladke ko b rakhi bandhi tab bhi wo ladka apni muh boli behan ko ye vachan deta hai.. ki wo uski, uske man-samman ki Raksha karega.. hemlata se jab sawal kiya gaya ki kya kishorawastha me uske bhai ne uska yaun soshan karne ki kosish ki..? Hemlata kuch keh pati usse pehle hi.. uske bhai ne buzzer daba diya.. mere liye.. ye harqat.. ek silent answer tha.. ki jawab tha haan.. sayad usi bhai ne.. ya fir uske dusre bhai me se kisi ne sach me ye ghinauna kaam kiya.. matlab Rakhi ke dhage v itne kamjor pad gaye ki hemlata ka bhai apna vaad bhul gaya.. agar bhai aisahota hai.. den m very very lucky dat i don have any real brother..

lekin ab ye baat samne ati hai ki aurate ghar me bhi safe mehsus nahi karengi.. aur ab na hi kisi par bharosa kar payegi.. kisi par bhi nahi..

Apni maa par bhi nahi.. jise wo janm lene se pehle sehi judi hoti hai.. wo bhi uski madad nai kar sakti.. kyu hemlata ki ma ne apne pati ko ya apne bete ko ya fir apne bhai ke bete ko kuch bhi nahi kaha jab un logo ne uski beti ke man-samman par hamla kiya.. kyu parda dalti rahi wo.. ek janwar bhi apne bachche ke hifazat ke lie jan ki parwah nahi karti.. wo toh insan hai.. aur ulte usne apni beti ko vaishya kaha.. kyunki usne shadi ki.. aunty ne apni pati ya bhai kio roka nahi.. par beti ko vaishyya kehne me hichkichai nahi..

Hemlata ki himmat ki main dad deti hu.. mere dil me uske liye gehri shradh umad aayi.. khas kar ke tab jab usse pucha gaya ki kya kisi paise wale insan ke liye wo apne pati ko chorh degi.. aur kya wo sach me apne pati se pyar karti hai?

aur uska jawab.. sach me kabil-e-tarif tha.. mujhe bahut jyada shantushti mili.. itni kharab halat me bhi aath salo se apne pati ka sath nahi chorha.. ma-bap sath nahi.. paise ki tangi.. karzdaro ka dar jiski wajase sehar chorna pada.. fir bhi pati ka sath nahi chorha.. as my King.. even I'm proud o her..

👏

Created

Last reply

Replies

3

Views

25.5k

Users

2

Likes

3

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
28th & 29th March Episode Of Sach Ka Saamna With Hemlatha..it was one of the most difficult episodes of SKS...For the very first time i felt bad, i never knew that i could be upset seeing a episode of the reality show SKS..i always have said that, the main reason i watch the show is the man on the host seat, it is the host, Mr. Rajeev Khandelwal, who keeps me glued to the show...they say that there is always a first time for something new & yes indeed it is true..for the very first time, the participants truth made me upset, made me emotional & for the very first time i did not know what to say...i salute Hemlatha's courage to accept the truth in front of so many people..she has faced so many hurdles in life but that has in no way stopped her..woh agge badhkarr Sach Ka Saamna karr rahii hai...i mean she has guts yaar...as i already mentioned the 28th march episode brought tears in my eyes too...& the 29th march episode was literally so painful..as a viewer it was so difficult for me to listen to Hemlatha's truth, Hemlatha has undergone all that...i can't even imagine what life has put her through & the trauma she must have faced, but still she is fighting it & emerging out victorious...hat's off to her courage..well talking about Hemalatha's father, mother & brother, i mean what the he**, what on earth, kis mitti ke bane hue hai yeh log..aur kaunse samaj kii baat karr rahe hai..i mean as Hemlatha's husband, Umesh, pointed out correctly saying 'Aise Samaj Se Tho Achcha Hum Besamaj'..Here is a hypocrite family first who says they have problem with their daughter eloping & marrying, just because they have a da** reputation in the society..& then the same family's truths are exposed, where the truth is out that the father has tried to sexually abuse his daughter, the mother even after knowing the truth has tried to cover it up & the brother hits the buzzer, when the question is if Hemlatha was molested by her brother when she was young, why did the brother have to hit the buzzer - this hitting the buzzer shows the brother has tried to molest his sister...i mean what kind of a disgusting family is this & they have the gull & guts to talk about society..society, begins at home, being a part of the so called society you also form a part of it, kyun jab the father tried to molest the daughter, or the mother tried to cover it up, or when the mother called her own daughter a prostitute, or when the brother tried to molest his sister, tab samaj ka khayal nahii aaya, tab kya samaj teil (oil) lene gaya tha..disgusting bunch of dhakiyaloosi bloo** hypocrites...i loved it when Rajeev said 'Aur Aap Samaj Kii Baat Karr Rahe The' & 'Aapka Samaj' , Rajeev was at his sarcastic best & that is the right way to deal with Hemalatha's disgusting family, i think they don't even deserve to be called Hemlatha's or for that matter anyone's family..Umesh was very supportive of her & he said it rightly, the suffocation which Hemlatha has faced since being a child, she has accepted it & it is her Sach Ka Saamna...& The Show, Sach Ka Saamna, has given her a chance to set herself free of the suffocation & Hemlatha has done just that by facing the truth..Hemlatha surely deserves a round of applause for her courage...i seriously salute her bravery..it is easy to face a sword in the war but it is indeed very difficult to accept the truth in front of so many people, when you know each truth said, will pierce your soul, rip your heart & tear you into two..i hope that Hemlatha & Umesh find their happiness & lead a life with people who truly care for them..God Bless Both Of Them..& her hypocrite family can go to he** with their God-Dam*** So Called Society...😊
talking about the host, Rajeev Khandelwal, in the particular episode... well he held himself together, as a host too well...many a times we could see the pain of the parrticipants truth flashing on Rajeev's face, many a times we could see his disapproval of the participants hypocrite family's doings , we could clearly sense the anger, frustration & irritation on Rajeev's face.. yeh tho hona hii tha, kyunke apart from being a host, Rajeev is also a common person, like you, like me, like everyone else out there... Rajeev was the fair judge sitting there on the host seat, but still he is a 'Aam Aadmi' & the irritation, disapproval towards the participants family was completely justified on Rajeev's part...i say that Rajeev handled himself well, because agar main Rajeev kii jagah hothi tho i would have literally blasted the participants family off..i may be would have kicked them out of there too... & much worse would have abused them left, right, center...& all through the episode i was scolding & seriously bad mouthing the participants family...so thus i say Rajeev handled himself well, very well, to the 'T' of 'PerfecT', without any doubt...kudos to Rajeev for doing such a good job & being a brilliant host & by far the best host for the reality show Sach Ka Saamna..truth may bring you pain, truth may bring you tears, truth may bring you anguish, truth may bring you happiness, truth may bring you sorrow, truth may bring out your mistakes, truth may bring out your hidden face, but all said & done truth always sets you free, i so believe in this...Rajeev Rocks..he surely is the Bestest Host 'Sach ka Saamna' could have got..👏
👏
RajeevsKitty thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#3
Mujhe us Ladki HEMLATA par Garv hai.. aur iski himmat ko mera salaam.. ummeed karti hu ki hamare samaj ki baki ladkiya bhi uski himmat se kuch inspiration le.. usne kuch jyada nahi kiya.. sirf apni khud ki zindagi ke 16 sawalo ka jawab diya.. par uska ek-ek jawab samaj ke thekedaro ke muh par ek-ek karara thappad tha.. aur sks k har ek episode ke bad king Khandelwal ke liye meri respect aur kai guna jyada badh jati hai.. he becomes KING in real sense.. and m proud of myself because i'm his fan..
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
yes Hat's Off to Hemlatha's Courage...😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".