Stageset - All Bajpai members gathered in the hall. Shankar Dayal disowns Anant as his heir and asks him to leave the house.
Anant(in a strong voice) - Aap kya mujhe apne parivaar ka hissa manne se inkaar karenge, main khud aapko apna parivaar manne se inkaar karta hoon. Thokar marta hoon main apke jhootey adarshon aur khokle siddhanton ko jinki aap dingey haaktey hai.
Tab kahan tha aapka adarsh jab aap baraat rokne ki dhamki dekar ek ladki ke pitah ko usse maafi mangwane par majboor kar rahey they ?
Tab kahan tha apka siddhant jab aap bagair Navya ki baat suney usse maafi mangwane par tuley hue they. Aur kis sanskar ki baat karte hain aap. Kaha rehta hai aapka sanskar jab aaye din Bua Daadi kisi na kisi ki beyizzati karti rehti hai aur aap mook darshak bane tamasha dekhtey hain. Nahin chahiye mujhe aisi pratistha jo dusron ko chota samajhti hain.
Bua Daadi(with her usual mundi jhatkas) - Dekh rahey hain bhaisahab sahabzadey ki jaban kitni tej ho gayi hai. Apno ka to kuch lihaj hi nahin. Ee sab is Nab...
Anant(angrily) - Bas kijiye Bua Daadi. Apno aur parayon ka paath aap na hi padhaye to accha hai. Jo apne bete ka hi apna nahin ho saka woh kisi aur ko apnepan ka gyan de accha nahin lagta.
Om(angrily) - ANAAANNT
Anant - Chillaye mat Papa. Chillane se sach jhoot nahin ban jayega. Aur sach ye hain ki is ghar mein kisiko ek dusre ki bhawnaon ki koi kadar hi nahin. Jo aap log kahey aur karey woh sahi aur baaki poori duniyan galat?
Bua Daadi(sobbingly) - Bas ab aur nahin suna jaata. Aehi din dekhne ke liye bhagwan humko jinda rakhey they. Bhaisahab aap jald se jald mere liye Amreeka ki ticket kata dijiye. Main ab yahan aur nahin rehna chati.
Shankar Dayal(in a commanding tone) - Anant isi wakt aap is ghar se nikal jaiye.
Anant - Woh to main jaunga hi. Lekin...
Navya(requesting) - Chup ho jao Anant. Bhagwan ke liye chup ho jao.
Anant - Nahin Navya aaj mujhe kehne do. Honge ye is sheher ke mahan vidvaan, lekin jinki kehni aur karni mein zameen aasman ka fark hai woh mere liye ek galti ke pitare se zyada kuch nahin hain.
Om(shouting) - Nikal Jaaaooo....
Anant - Chalo Navya, waise bhi is ghar se humare le jane layak kuch hai hi nahin.
With these words Anant grabs Navya's hand and walks past the Bajpai threshold leaving behind the entire family in their usual reactions.