Thank you for your love and support. I love to read each and every comment it really means a lot.
Guys I have already mentioned but still I feel that many of u r tensed about Maaneet getting separated. Trust me friends jitna aap log bura soch rahe ho utna bura nahi hoga.
Even if misunderstanding occurs I promise it won't last long and the end of this track will take maneet relationship to the next level. That's a promise
I dedicate this update to each one of u coz without ur support and encouragement I would not have been successful in writing these many parts
A special mention to Shivangi, Ritzy Di, Silky, Anu, Zahra, Khushi and Ada. Thank you for being such good friends
love- Piya
PART 40
Tujko ko main kar lo haasil lagi hai yahi dhun... (He hugs her passionately)
Maan: Geet kya tumhe ab bhi yahi lagta hai k hum judaa ho jaayenge?
Geet does not say anything. She simply wanted to live this moment to the fullest.
Maan: Geet agar main tumse kuch puchu tho kya tum mere sawalo ka jawab doghi?
Geet: Hmm...
Maan: Geet kya tum mujh par bharosa karti ho?
Geet: Ye bhi koi puchne ki baat hai?
Maan: Sawal ka jawab dho Geet aaj main jaana chahtha hoon
Geet: Haan
Maan: Kitna bharosa hai tumhara mujhpar?
Geet: Apni Zindagi se bhi zyaada uss rab se bhi zyaada aap par bharosa hai
Maan: Geet meri aakhon mein tumhe kya nazar aatha hai?
Geet: Aapki aakhon mein mujhe apni ek aisi tasveer nazar aathi hai jise chahkar bhi aap mitha nahi sakthe
Maan: Geet aaj tum mere baho mein ho kya ab bhi tumhe darr lag raha hai?
Geet: Aapke baho se zyada mehfoos jagah iss pure kayinaat mein mere liye kahi nahi hai
Maan: Jab tum sach mein aisa mehsoos karti ho tho phir ye bewajah ka khauff kyun hai Geet?
Geet tightens the hug
Maan breaks the hug
He holds her hand in his
Maan: Geet kya tumhe ye lagta hai k main tumhe iss zindagi ki ladai mein akela chod dunga... kya tumhe aisa mehsoos hotha hai k musibat k waqt main tumhara haath nahi thamunga
Maan: Bolona Geet
He lifts her face by holding her chin
Geet looks directly into his dark brown eyes
His eyes clearly reflected the immense love and care that he had for Geet
Geet: Musibat... jab musibat ko pata chalega k aap mere saath ho toh wo meri taraf rukh karne se pehle hi darrke mujhse kayi meel dur chala jaayega
Maan: Itna yakeen karti ho mujhpar Geet
Geet ek baar phir se apna sar maan ke kandho par rakh dethi hai
Geet: Maan meri zindagi mein agar aaj koi sabse bada sach hai tho wo sach aap ho
This statement of Geet gave rise to an all together new emotion in Maan
It made him feel that Geet was an angel that God had made only for him
Geet: Maan main ye tho nahi jaanti k humara rishta kya hai haan magarr aaj itna yakeen zarur ho gaya k main aapko kho nahi sakthi issiliye tho mujhe darr lag raha hai
Maan: Jab hum dono saath ho tho darr kis baat ka...main tumhari parchai bankar tumhare saath chalunga Geet mere rehthe hue tumhara koi kuch bhi bigaad nahi saktha
Geet: Wo toh main jaanthi hoon magar agar aapko kuch ho gaya toh mera...
Maan: Tum ho na mere saath mera khayal rakhne
Geet: Haan magar meri wajah se agar aapko kuch ho gaya toh main apne aap ko kabhi bhi maaf nahi kar paaungi
Maan: Tum aisa kyun keh rahi ho Geet?
Geet: Maan aapne mera humesha se saath diya
Maan: Tumbhi toh mera saath kabhi nahi chodthi
Geet: har musibat har uss waqt jab mujhe aapki zarurat thi toh mere bina kuch kahe hi aap humesha meri taakat bankar mere paas aa jathe the
Maan: Tum bhi toh bina kahe mere dil ki har ek baat ko padh lethi ho
Geet: Uss din agar aap na hothe toh wo Arjun
Maan got angry on hearing Arjun's name
Maan: Achha toh ye baat hai maine bahut badi galti kar di
Geet: Galti?
Maan: Haan uss Arjun ko zinda chodkar
Geet: Maan ye aap kya...
Maan: Haan Geet agar maine usse ussi din khatm kar diya hotha toh aaj tumhare inn aakhon mein darr k bajaye khushi hothi...
Maan: Tumhare iss maasum se chehre mein tanav ki jagah raunak hothi
Maan: Tumhare in hotho par muskurahat hothi
Maan: Tumhare dil mein agar aaj bhi Arjun ko lekar darr hai toh uska zimedaar main hoon
Geet: Nahi Maan aisi baat nahi hai
Maan:Aisi hi baat hai Geet warna aaj Arjun ka darr tumpar haavi nahi hotha
Maan: Aaj hum itne kareeb hai Geet tab bhi humare beech faasle hai ek duje ko khone ka darr hai kya aaj jo humare paas hai hum usse khush nahi reh sakthe
Maan: Kyun hum iss darr mein jee rahe hai k humare beech daarar pad jaayegi kya humara rishta itna kamzoor hai
Geet: Nahi bilkul bhi nahi
Maan: Shayad hai Geet warna tum itni pareshan nahi rehthi tumhari aakhon se se shararat gayab na hothi
Maan: jaanti ho Geet subah se tumhare aakhon mein main apna chehra dekhne ki koshish kar raha hoon magar mujhe najaane kyun aaj tumhari aakhon mein apni chavi nazar nahi aayi
Maan: Kya Arjun ka darr mujhe zyada ahem hai tumhare liye
Geet: Aapse zyada anmol mere liye kuch bhi nahi
Maan: Tumhari batu par vishwas nahi ho raha geet
Geet: Aapka vishwas mujhpar se kabhi bhi nahi utt saktha Maan main ye jaanti hoon
Maan: Jab jaanti ho toh vaada karo k aaj k baad humare beech Arjun k naam ka bhi zikr nahi hoga aur agar Arjun ka naam bhi maine tumhare muh se suna ya kabhi mujhe ye mehsoos hua k tumhare chehre se muskurahat ussArjun k wajah se gayab hui hai toh wo chahe iss duniya mein kahi bhi ja chupe main ussi waqt jaakar usse zinda dafnagunga
Geet wanted to tell Maan about her encounter with Arjun but she was scared of the consequences since she was sure that Maan won't spare Arjun this time
Right now all that mattered to her most was Maan her Maan and she did not want Maan to be in any problem especially due to Arjun
Maan :Geet vaada karo k tum abse usska naam bhi nahi logi
Geet: Vaada toh karungi par meri ek sharth hai?
Maan: Sharth kaisi sharth?
Geet: Mujhe icecream khana hai
Maan: Geet icecream aur abhi iss baarish mein
Geet: haan
Maan: Bilkul bhi nahi beemar ho jaayogi geet
Geet: Toh kya hua aap ho na mere paas mera khayal rakhne k liye
Maan was extremely happy to hear those words
He placed a kiss on her forehead
Maan: Haan Geet main hoon tumhare paas humesha humesha k liye
PRECAP: AND THE DEAL GOES TO...😕😲😭
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love -Piya
Edited by piya- - 13 years ago
29