#6Kya Pyar Aisa Bhi Ho Sakta Hai(AR)Pa-206,7:149 - Page 93

Created

Last reply

Replies

936

Views

163.4k

Users

111

Likes

2.4k

Frequent Posters

sonakap1 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
Thanks for the note...eagerly looking forward for the next part...hopefully the issues are sorted at your end and you are at peace...god bless...
vidu87 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 14 years ago
hey thnx 4 d note
will b waitn 4 d nxt part
cont soon
dmg_roks_antara thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 14 years ago
hey wen will upd next yaar waiting eagerly for it
AR_FAN thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
thank god Ankita aap aayi tou yaar
welcome back
GoDsLoVe thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago

Part-206

R: har pal ajeeb tha uss waqt, hum ankit ki sachayi saamne laana chahte the par jab sachaayi sabke samane aayi to hum khush nahi the, sab khatam ho gaya tha, ankit ke gunaaho ne sab khatam kar diya tha, vibha ka operation karke uski pyaari si gudiya aur uski jaan bacha to li par vibha coma mai challi gayi thi, usse nahi pata tha ki uske beti hui hai, ankit se uska license chin liya aur galat tareeke se apne paeshe (occupation) ko istemaal karne ke liye jindagi bhar jail mai rehne ki saja mili jisse wo tut gaya,

jay singhaniya jo jab ye sab pata challa jo tab tak paralysis ka naatak kar rahe the taaki ankit meri jindagi barbaad kar sake unhone bahut koshish ki ankit ko bachane ki aur saara blame apne sir par lene ki par adalat ne kuch nahi suna aur unhe bhi 5 saal ki saja hui apne bete ko gumraah karne ki, apne ghar ko pal mai tut ta dekhkar aur logo ke pathar kha khakar wo sach mai paralysed ho gaye,ankit ko jab jay singhaniya ki asliyat ke baare mai pata chala jinke liye usne apna sab kuch ghum kar diya tha to usse sadma laga aur paagal ho gaya

sab khatam ho gaya tha pal mai, jay singhaniya ki jhutti nafrat aur badle ki jhutti aag ne sab khatam kar diya, unka acha bhalla ghar tut kar bikhar gaya tha, koi wajah na hote hue bhi bewajah unhone khud sab kuch barbaad kar diya, jinko log sallam karke nikalte the unke muh par logo ne thukna shuru kar diya, unke posters jalaaye gaye aur jay singhaniya bas aansu bahate gaye, vibha hosh mai aayi hi nahi kabhi bhi aur ankit paagal khaane mai sirf vibha aur apne bache ka naam ratta rehta tha, kuch din baad pata challa ki angle(vibha's daughter) ki growth theek nahi hai, vibha ko itna bada jhatka laga tha ankit ki sachayi jaankar uska saara asar angle par ho gaya, angle badi hokar bhi bachi hi rahegi hamesha….. (riddhima cleared her eyes)

Va: (clearing her eyes) kya aaj bhi vibha ko hosh???

R: (shaked her head) nahi vibha aaj bhi waisi hi hai, beech mai recovery hui thi uski, usne ek baar riddhu kehkar pukaara bhi tha par jab usne angle ko dekha uski haalat phir waisi hi ho gayi…..

Va: kaha hai wo??

R: yahi hamare saath..

Va: kya matlab???

R: vibha ke papa ko jab pata challa ki vibha comma mai hai to..

Flashback…

Vibha's father: riddhima bache sirf ek vinti hai.. (he joined his hands)

R: (holds his hands) mai aapki beti jaisi hun uncle, aur bacho ke aage haath nahi jode jaate, bas hokum kiya jaata hai…

V F: mai kuch theek nahi kar sakta par itna to kar sakta hun ki apni beti ka haath kissi safe haatho mai rakhun, mai vibha ki nishani ko paal poss kar, ache sanskaar dekar nahi bada kar sakta, mai bhi ab budda ho gaya hun , kab iss duniya se challa jaun nahi pata, to kya tum log meri beti aur uski nanhi si betii ka dhyaan rakh sakte ho, tumse jayda acchi dawaai vibha ke liye aur koi nahi ho sakti,

tumhare pyaar ke aage vibha ki nafrat ek din jarur khatam ho jaayegi aur wo sab gham bhul jaayegi, kya tum mere liye aur apni bachpan ki sakeli ke liye itna kar sakti ho???? (he again joined his hands, riddhima looked at armaan with unsurity who with genuine smile nodded, riddhima said yes to uncle, he hugged her and kissed her on forehead…)

***************************

R: hum vibha ko apne saath ghar le aaye, sab kuch itna jaldi jaldi ho raha tha ki kuch samajh hi nahi aa raha tha, hamare haatho mai ek gudiya thi, hume vibha aur gudiya ka khayaal rakhna tha, plan karna tha sab kuch, par uss se pehle ek aur kaam tha.. (vaishali was confused and riddhima moved in her past once again)

Flashback..

Armaan came out from room only to find riddhima on sofa, patting vibha's daughter and was lost in thoughts…

A: kya hua riddhima??

R: (coming out from thoughts) kuch nahi… (she settled baby in cot and then herself shifted in armaan's lap and closed her eyes, armaan caressed her with his face and then slightly kissed on her cheek, she hugged him tightly) armaan sab kuch kaise sambhalenge, sab kuch kitna jaldi ho gaya, 2 din mai jaise hamari aadhi jindagi aur nikal gayi ho, humne aise to kuch bhi plan nahi kiya tha…

A: kya hamare plans ke hissab se aaj tak duniya challi hai riddhima?? Jo ho gaya usse bhul jao ab, ankit ki sachayi to ek din sabke saamne aani hi thi, bhul jaao ankit ko, abhi hume bas vibha aur iss gudiya ka dhyaan rakhna hai, ankit ka jikar hum yahi par khatam karte hai, nahi to hum kabhi aage nahi chal paayenge… (riddhima nodded) sanjeevani jaana hai(riddhima looked him with surprise, but didn't ask anything,armaan noticed her questionable eyes) dr. keerti ka phone aaya tha, urgently bulaaya hai.. (she again nodded, in next hour they're in sanjeevani, ritu and chirag were taking care of vibha and her daughter at home)

As soon as AR stepped out from car they found each and every eye on them with a regret on faces and embarrassment in eyes and Armaan's holding riddhima's hand with proud and kept on moving forward without giving them a look, everything's changed, riddhima compared her today with her past when everyone used to call her with bad names, seeing regret on each face she felt little relieved, she felt that her heart got lightened a bit, they moved in hospital and was surprised to see hospital decorated with walls full of " welcome back dr. riddhima malik", "we are proud of having a doctor like riddhima malik", before they could understand anything one huge welcome cake on trolley came in front of ridhima, riddhima was surprised and raised her eyes to find sister lovely behind trolley, before she could react

A: ye sab kya ho raha hai???

S.L: wo dr. armaan riddhima ji ke liye chotta sa surprise hai, wo ab ye phir se hospital aayengi na, uss ankit ka..

A: (cutting her and in sterned voice) sister lovely ye ek hospital hai koi park ya hotel nahi, yaha patients ilaaj ke liye aate hai ye sab decorations dekhne nahi..

S.L: ji dr. armaan humne to sirf pyaar..

A: (Again cutting her) pyaar dil mai hota hai sister lovely,agar pyaar ho to ek chotta sa gulaab ka phul bhi sabse bada tohfa ban jaata hai aur agar dil mai pyaar na ho to ye sab karke bekaar hai…

he holds riddhima's hand and moved in conference room, all the sisters and ward boys kept on looking at their retreating figure, then followed them, AR entered in conference room, it's all dark, one spot light was there which after following AR moved towards floor and WELCOME was written with flower petals right after their feet, and suddenly all the lights goes on, AR were surprised seeing the decoration in conference hall, before they could understand anything all the interns and doctors, trustees came in front of them while applauding them and inters hugged AR tightly, riddhima responded them but armaan's in dilemma still looking around, in between vedic said

Ve: welcome back bhabhi, ab aap bhi hamare saath rahegi hamesha ke liye iss hospital mai, phir sab pehle jaisa ho jaayega, phir iss hospital ko jindagi mil jaayegi..

A: (before vedic could continue more, armaan cut him) kuch bhi pehle jaisa nahi ho sakta vedic… (vedic looked him questionably)

Ve: kya matlab bhaiya??

A: kuch nahi… (he moved forward towards trustees) hume yaha kyu bullaya gaya hai sir???

Tr: (while moving towards riddhima) hume maaf kar dijiye beta aapke saath kiye gaye bure bartaav ke liye. Sab kuch bhulkar hume maaf kar dijiye aur waapis apni duty join kar lijiye..(riddhima's shocked, first she looked at armaan then at trustees, then back at armaan) kya soch rahi ho aap beta??? Kya aap sab kuch bhul nahi sakti, kya aap hume maaf nahi kar sakti???

R: jii wo.. (seeing riddhima in dilemma dr. keerti said)

Ke: dr. riddhima aap itna confused kyu ho rahi hai??? Aap bhi to kabse issi pal ka intejar kar rahi thi na, phir ab ye soch kaisi??? Maana aapko samajhne mai humse bhul ho gayi, par aaj sabko pachtawa hai apni galti ka, sab dil se maafi maang rahein hai aapse, to aapka bhi farz banta hai ki aap sabko maaf kar dein. Itne saalon se iss hospital mai rahi hai aap, itna kuch diya hai aapko iss hospital ne,kya aap iss hospital ki ek galti nahi bhulla sakti, kya iss hospital se dur reh paayengi aap, jiss hospital ne aapko ek pehchaan di kya uss se dur jaana theek hoga,

galtiyan sabse hoti hai dr. riddhima, humse bhi ho gayi, aaj sab dil se sharminda hai, aapse maafi maang rahein hai.. (riddhima looked at armaan, whose face's emotionless, his nose was red, his hands were tightly holding his wheel chair arms, riddhima's unable to understand his expressions as his eyes were on other side) dr. armaan bhi yahi chahte hai, bas ab aapki haan ka intejar hai, aapne hume maaf kar diya hai to (suddenly one loud scream travelled in whole room)

Basss…… (everyone looked at armaan who's looking angry)

A: bass kijiye aap log apna ye naatak.. (trustees tried to say something but armaan raised his hand to stop them,everyone's shocked to see anger in armaan's eyes, he moved to riddhima and pulled her down from her arms) kya ho gaya hai tumhe riddhima??? Bolna nahi aata?? Kyu aur kiss soch mai doobi ho??? Itna sab kuch ho jaane ke baad bhi kya tum iss hospital mai kaam karne ka soch sakti ho??? Aadat pad gayi hai apne swaabhimaan ke saath baar baar samjhota karne ki???

R: armaan mai.

A: mai kya riddhima???? Kya kehna chahti ho??? Ki phir tum sab bhulkar iss hospital mai kaam karne ke liye taiyar ho… (he slightly jerked riddhima out of anger) pata nahi kaha ghum ho gayi hai meri wo riddhima jo apne swaabhimaan ke aage kuch bhi bardash nahi karti thi, mai iss riddhima ko to jaanta hi nahi hun… (there's pin drop silence in hall, everyone's looking at armaan with disbelief)

Tr: dr. armaan ye sab kya ho raha hai???

A: (with coldness) riddhima sanjeevani kabhi join nahi karegi, bas mujhe iske alava aur kuch nahi kehna… (everyone's again shocked)

Tr: ye kya tamasha hai dr. armaan???

A: tamasha??? Tamasha to aap logo ne bana diya hai sir..

Ke: dr. armaan ye aap kaise baat kar rahein hai…

A: (with bitterness) jiss se jaise baat karni chahiye hi baat kar raha hun dr. keerti, iss hospital ka har roj ka khel ban gaya hai, jab mann karta hai hospital se nikal dena aur jab mann kiya maafi maang kar waapis bula lena chahe wo sheekha ka case ho ya ankit ka case ho, kissi ki self-respect ki, kissi ki feelings ki koi chinta nahi hai, ek aisa hospital hai ye jaha apno se jayda bahar ke logo ki baton par vishwas kiya jaata hai, jo log aap logo ke saath 6 saal se kaam kar rahein hai unki baato ka vishwas nahi kiya jaata aur jiss insaan ko aaye 6 mahine bhi nahi hue uski baato ko sunkar ek innocent ladki ko bahar nikal diya jaata hai..

Ke: dr. armaan wo ek bhul thi, koi bhi uss jagah hota to waisa hi karta aur wo sab baatein khatam ho chukki hai, riddhima ki innocence prove ho chukki hai, to kyu unhi baato ko dohra rahe ho, aap bhi to yahi chahte the ki ankit ki sachayi sabke saamne aa jaye aur riddhima ko unki dignity ke saath iss hospital mai laaya jaaye to aaj ye gussa, ye kadwahat kaisi dr. armaan???

Aur agar aapke dil mai itni hi nafrat thi sabke liye to aapne ye hospital waapis kyu join kiya?? Kyu riddhima ko join karne ki condition..

A: (cutting her and almost shouting) haan mai iss hospital mai aaya par iss hospital ke liye nahi sirf aur sirf apni biwi ke sammaan ke liye, ek maksad tha ankit ki sachayi sabke saamne lane ka, wo maksad pura ho gaya hai, mai aaya uski aankho se wo soonapan cheen ne jo kissi ki jindagi ko soona dekhne se bhi darr jaati hai, apni biwi ka swaabhimaan lautane, uski aankho mai khud ke liye confidence dekhne jo usne aap sabki wajah se aur ankit ki wajah se ghum kiya tha,

mera har pal ka intejar tha pichle 3 mahino se "aap sabki aankho mai meri riddhima ko galat samajhne ka pachtawa dekhna mera armaan tha, aap log riddhima ke maaf karne ka intejar karoge meri khwahish thi, usse ijjat ke saath phir hospital mai aane ke liye kahoge mera yakeen tha, aur riddhima iss hospital mai waapis aane ke liye kabhi taiyar nahi hogi ye mera jawaab tha aap sab ke liye, iss hospital ke liye…

ek din aisa tha jab aapne issi jagah inhi logo ke saamne riddhima ko hospital se nikal jaane ke liye kaha tha aur aaj phir jagah wohi hai, log wohi hai par faisla hamara hai, waqt kabhi ek sa nahi rehta, nafrat ho gayi hai mujhe iss jagah se, ye hospital ye log sab jhutte hai dogle hai,

tumhara waqt acha to sab tumhare saath tumhara saaya bankar chalne ke liye taiyar rehte hai aur waqt bura aaya nahi sab muh modkar lete hai, umar bhar dosti nibhane ka waada (he looked at his old gang), bhai ban ne ka daawa karna (he looked at rohit), riddhima ki khud ko bahen batane waali ladki ka apni bahen par vishwas na karna (he looked at niki), kitne ajeeb rishte hai yaha par, vishwas kam aur dard jayda dene waale rishte hai yaha par.

Dr. keerti aap thodi daer pehle riddhima ko iss hospital ke liye uske farz ki yaad dilwa rahi thi par kya iss hospital ka koi farz nahi hai apne doctors ki taraf??? Bina jaane, bina sacahayi ka pata lagaye kissi bhi insaan ne kaha ki riddhima ka character kharab hai to minute bhi nahi lagaya unhe yaha se nikal phenkne ke liye, aapka farz kaha gaya tha uss waqt???

Sharab, drugs bas itna hi jaan paayi thi 7 saalon mai apne interns ko???ek report ke uppar aapne riddhima jaisi ladki par shak kar liya, aap khud bhi to ek aurat hai kaise riddhima par iljaam lagne de diye itne ghinone??? Iss hospital mai aakar humne sabse jayda waqt aapke saath bitaya hai, aapse jayda koi nahi jaanta tha, aapne kaise soch liya ki riddhima ka character itna kharab ho sakta hai,

khair aapse shikayat kya karein jab bachpan se jo riddhima ke saath rahe wo uss pal ke liye apni nafrat bhulakar uska saath nahi de paaye, nahi keh paaye ki riddhima marna pasand karegi par apni ijjat ke saath samjhota karne ka khayal wo sapno mai bhi nahi la sakti.. (he looked at dr. shashank whose head was down and anjali who's crying badly while shaking his head) kuch logo ki nafrat kitni gehri hoti hai na ki wo riste to kya insaaniyat tak ka farz adda karna bhi pasand nahi karte..

(then he looked at trustees) aise hi farz nibhaya jaata hai na sir, aapke hospital mai jo log kaam karte hai kahi saalon se unke baare mai koi kal ka aaya koi bhi insaan kuch galat bol de to aap uss insaan par vishwas karke unn logo ko bahar nikal phenkenge jinhe aap saalon se jaante hai, ek baar bhi aapne koshish nahi ki sach ka pata lagane ki, seedha nikal diya riddhima ko hospital se,

khud ki ijjat par koi daag nahi lagna chahiye bas iss se matlab hai, apne staff aur unki ijjat se aapko koi matlab nahi, koi bhi aakar jitna marji ghinona aur vahiyat iljaam lagaye aapke staff par to aap uss staff ko bahar nikal denge aur jab wo iljaam hatt jaaye to ye jhutti maafi ka dikhawa karke aap waapis bula lenge, waahh kya farz hai na aapka apne doctors ke liye, dr. keerti yehi haina aapki family jo jara si mushkil aane par apne members ka saath chod deti hai… (he clapped, everyone's looking down, after few minutes interns came near them and made a circle around AR)

Ve: to bhaiya kya aap hume chodkar challe jaayenge?? Humse kiss baat ke liye naaraj ho??

A: tumse kissi baat ki narajgi nahi hai, tum logo ka mai jindagi bhar aabhari rahunga..

Siddharth: to phir aap hume kyu chodkar jaa rahe ho??

A: ek baar dil par haath rakh kar kaho ki kya sach mai tum log chahte hai ki riddhima ye hospital re-join kare, itna apmaan hone ke baad, kya tum sach mai chahte ho hum waapis aa jaaye???(siddharth with tears shaked his head, armaan like a loving brother placed his hand on his head, siddharth cried more, riddhima cleared her own tears and placed her hand on sid's shoulder, he looked her, riddhima cleared his tears, sid tightly hugged her)

Sid: bhabhi.. aap logo ke bina mai bhi iss hospital mai nahi rahunga, bahut mushkil se mujhe apne bhaiya bhabhi mile hai, mai unhe phir se nahi kho sakta..

R: (caressed his head) kisne kaha ki tum hume kho rahe ho??? Itne pyaare devar se kon dur ho sakta hai kya??? Dil ke rishte to dur rehkar bhi nibha sakte hai na sid?? (sid nodded a bit) pata hai sid pyaar aur vishwas ye 2 shabd hai jiski jarurat har jagah har mod par padti hai, ye saath hai to har jagah, har kona tumhare liye swarg ban jaayega, ye na saath ho to sirf dukh aur dard hi hoga har jagah, chahe ghar ho, chahe job ho, pyaar ki jarurat har jagah padti hai,

tum jaha kaam karte ho waha logo mai ek dusre ke liye pyaar ho, vishwas ho to kaam mai hamesha mann laga rehta hai aur wahi agar nafrat aur shak ho logo ke dilo mai to tum hamesha pareshan rehte hai, kaam par dhyan nahi de paate kyunki nafrat ke kaaran log tumhare raasto mai mushkilein khadi karte rehte hai, jaise ki ye hospital ban gaya hai,

jaha pyaar har anjaan ko apna bana deta hai yaha logo ki nafrato ne har apne ko anjaana bana diya (she looked at dr. shashank) ab tumhi batao aise anjaan logo ke saath rehkar hum kaise kaam kar sakte hai?? Jaha vishwas nahi hai waha kaise kaam karein??? Doctors ke liye sabse jaruri hota hai ki uske patients, uske colleagues, uske seniors usspar vishwas karein, kaise aur kyu kaam karein phir hum yaha par???

Sid: (joined his hands) mujhe maaf kar dijiye bhabhi, mai apni selfishness ke kaaran sab bhul gaya tha, aap challe jaiye yaha se, ye hospital sach much aap logo ke liye nahi bana, challe jaiye aap yaha se…. (everyone's crying, suddenly one baby cry roamed in room, everyone turned towards door and found ritu standing with vibha's daughter, hearing her cry, riddhima rushed to her and took angle from ritu)

Ri: bahut ro rahi thi issliye mai angle ko hospital hi le aayi…

R: (smiled a bit) acha kiya ritu.. (riddhima turned but ritu again stopped her)

Ri: riddhima.. (riddhima looked her questionably, ritu with lowered eyes showed her some tickets, riddhima's smile vanishes, she kept on patting angle) tum logo ne humse itni dur jaane ka faisla kar liya aur hume bataya bhi nahi..

R: ritu wo hum batane hi wale the..

Ri: (cutting her) kab? Aaj jaane ke baad??? (with tears she said this) galti… nahi galti nahi gunaah ho gaya tha humse, par kyu… kyu itni dur jaa rahe ho humse?? Mat karo aisa… mat karo aisa please… (she cried, riddhima looked at chirag who's standing behind ritu and aarish's sleeping in his arms, she gestured him to console ritu, again there's pin drop silence in room, armaan came to riddhima and took angle from her)

A: riddhima challo, flight ka time ho raha hai…

R: (with tears) hmmm… (she looked around, everyone's crying but no one has words, armaan's words locked everyone's lips, everyone's crying remembering their moments with AR, niki remembered godbharayi function and how AR helped her to meet her parents, abhi too was feeling guilty, rohit's sad but was satisfied with AR decision,

old gang's feeling like their life is going away but as if their lips were sealed, they can't utter a single word, anjali joined her hands as soon as riddhima looked her for a second but riddhima turned her face, anjali fells down on floor, atul holds her and anjali cries badly hugging him tightly, riddhima's collecting all her memories, while armaan's talking to chirag, suddenly)

Ri: (holding riddhima's arm) par tumhari studies riddhima???

A: riddhima'll continue her studies in kasaulli..

Ri: par tum aise hi sab kuch chod kar nahi jaa sakte armaan..

R: (taking aarish from her arms) sab kuch kaha hai ritu?? Yaha par koi to apna nahi hai… (she looked everyone who's standing at her back with guilty faces) jo mera apna hai wo mere saath hai hi hamesha, baaki sab begana ho gaya, ek aandhi aayi aur sabka asli roop dikha gayi (she holds armaan's hand)

Ri: kya uss aandhi mai itni shakti thi ki tum sab kuch bhul jao, hamara pyaar, hamari dosti???

R: hum tumhari dosti kaise bhul sakte hai ritu?? Par ek chotti si insecurity jarur ghar kar gayi hai dil mai, wo insecurity khatam hogi ya aur bhadegi ye to waqt hi batayega..

Ri: hmm…. (ritu again asked with little hope) aise rooth kar jaana jaruri hai kya???

R: hum kissi se naaraj ya roothe nahi hai ritu, par bas ye imtihaan dete dete thak gaye hai, sukun se jeena hai ab hum, ye logo ki bewajah nafrat se thak gaye hai hum, ab bas apne pyaar ki duniya mai rehna chahte hai aur hum chahte hai ki tum hamare saath do iss decision mai, hume kamjor mat karo ritu, kyunki yaha par sach mai sab khatam ho gaya hai, SAB KUCH…. (ritu nodded and hugged riddhima tightly with tears)

A: bas chipkalli aise rokar bejegi hume, hamari nayi jindagi ke liye apne aansun gift karegi…

ritu shaked her head and cleared her tears, four of them hugged each other tightly and goes out from conference room with interns, leaving everyone else behind with guilty hearts and tears in eyes, AR took round in hospital and recollected all their memories, locker room, fire escape, reception, general ward, OT, their cabin, corridors, cafeteria…..

everything was screaming "mat jao hume chodkar, ab tumhare pyaar ke bina hum bhi adhure hai, har kona iss hospital ka adhura ho jaayega tumhare bina" but they kept on moving towards main door and before going out from door once again they turned and had a look, everything again screamed "hum yahi par tumhara InTeJaR karenge, wada karte hai hum tum jab bhi waapis aaoge tumhari yaadein, tumhare pyaar ki khushbu, tumhari choti choti baato par ladai, ek dusre ka har muskil mai saath dena sab waisa hi milega..",

riddhima cleared her tears, armaan too cleared his corners of eyes, both touched the ground then touched their heads, both in heart thought "chahe koi bhi saath na ho hamare, chahe iss hospital mai rehkar sab kuch chin gaya ho hamara, par iss hospital se hume wo mila jo hum jannamo janam tak nahi bhul paayenge wo hai ek dusre ka saath jiske aage ye apne, ye society, ye duniya sab chotte hai, iss saath ko dene ke liye hum iss hospital ke sada karzdaar(debtors) rahenge…"

armaan holds riddhima's hand, both smiled a bit, and they moved out from hospital with armaan holding angle and riddhima holding aarish.." baaki sab piche reh gaya, Armaan riddhima ke maaf karne ka intejar wo log, wo samaj, karte hi reh gaye aur armaan riddhima dono ek dusre ka haath thame apni nayi majil ki aur bhadte hi rahe ek nayi responsibility ke saath vibha aur uski angle….

***************************

To be continued..

Ankita


Edited by GoDsLoVe - 14 years ago
GoDsLoVe thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago

Part-207

Riddhima came in present when heard "mumma… mumma", both vaishali and riddhima turned towards door, riddhima smiled and opened her arms, vaishali confusingly cleared her tears when riddhima hugged one very cute little boy almost 4-5 years and a very beautiful little girl of around 2.5-3 yrs and little girl kept on mumbling mumma.. mummaaa… riddhima showered both of them with kisses…

R: aap dono kaha se aa rahe ho??? (before liitle boy could speak, girl interrupted)

Girl :kool (school) che (se), mumma ichu gana (mumma rishu ganda hai) mei (meri) footy (frooti) kham…

R: (looked at aarish who's standing guiltily with head down) rishu betu aapne phir se angle ki frooti khatam kar di, maine aapko mana kiya tha na baby, angle aapki bahen hai aur apni bahen ko yun koi pareshan karta hai kya??? (rishu shaked his head, then looked at angle and cutely holds his ears, angle moved forward and leaves wet kiss on his cheeks, aarish smiled and holds angle hand)

Aa: mai angle ko nayi flooti dilba (dilwa) kar aata hun.. (and he moved out holding angle's hand, riddhima tried to stop him but he's already out, riddhima shaked her head and settled next to vaishali, she's still confused)

R: ab kya hua??

Va: ye bache kon hai??

R: are bacho ko nahi pehchana??? Aarish aur angle..

Va: angle matlab vibha ki beti??? (riddhima nodded) wo tumhe mumma kyu bol rahi thi???

R: rishu ko dekhkar badi hui hai na, 3 saal se usse dekh rahi hai, jo wo bolta hai angle bhi waise hi copy karti hai… (she moved to armaan's bed and checked his pulse)

Va: kya hua??

R: pata nahi, ab bas aur intejar nahi ho raha, armaan se baat kiye hue 16 days ho gaye hai, kab aayega armaan ko hosh..

Va: sabar karo riddhima…

R: aur kitna sabar vaishali, humne to 10 dino ka estimate liya tha armaan ko ache se hosh mai aane ka, par aaj 15th day hai..

Va: riddhima estimate liya tha, par tumhe pata hai na medical mai estimates lagana bekar hai, patience rakho, sab kuch hamare according ho raha hai bas thoda sa slow ho raha hai, sab normal hai, dekhna armaan ko bahut jaldi hosh aa jaayega aur wo apne paero par tumhare saamne khada hoga, socho tumhare 4 saal ka intejar khatam hone jaa raha hai, 4 saal ka sapna pura hone jaa raha hai, unn 4 saalon ke aage ye din to bahut kam hai na… (riddhima looked her and nodded) mai rounds par jaati hun, tum yahi par baitho..

riddhima nodded again, vaishali left, ridhhima caressed armaan's head and visualized him standing on his feet and a smile crept on her lips, she bends down and kissed his forehead and in his ears mumbled "jaldi se aankhein khol lo armaan, mera intejar khatam kar do, laga lo apni riddhima ko apne seene se, mujh bejaan ke shareer mai jaan daal do phir se, in 16 dino tak tumse baat kiye bina abhi tak issliye jee paayi kyunki tumhare theek hone ka sapna shayad meri maut se bhi bhadkar tha, par ab aur intejar nahi ho raha,, sunlo apni riddhima ki pukaar, hamare pichle 3 saal ki mehnat ko de do anjaam", she placed her head on his chest and don't know when she fell in deep slumber.

Its evening, vaishali asked riddhima to go and freshen up, moreover kids were remembering her, riddhima with unsurity looked at armaan, vaishali said "don't worry, I'll stay here till the time you show up", riddhima nodded and goes out half heartedly, vaishali knew that riddhima doesn't believe anyone when it comes to armaan, though she trusts vaishali a lot but still she's insecured,

vaishali shaked her head with a smile and settled on sofa, thought to read magazine but riddhima's words kept on roaming in her mind, she thought "itna kaise koi suffer kar sakta hai, kaha se aati hogi inme itni patience" but then her answer was very clear, she looked at armaan, she had seen their love, their bonding, she knew them from last 6 months, they shifted to banglore 6 months back only, riddhima joined Apollo hospital just for armaan only, just to treat him and free him from paralysis, before seeing AR vaishali can bet she'd not seen a couple like them

vaishali was lost in past, when riddhima first entered in hospital, she's very nervous, she's holding armaan's hand tightly and armaan's trying to detangle his hand as he's on wheel chair, so it's looking very funny.

A: kya kar rahi ho riddhima, haath chodo, sab dekh rahein hai.. (riddhima shaked her head) kya hai itni badi ho gayi ho, khud se chalna nahi aata..

R: kya hai armaan, mujhe darr lag raha hai, agar thodi daer haath pakad loge to kuch challa jaayega kya??

A: kyu haath pakadne se tumhara darr bhaag jaayega kya, sab dekho kaise ghur ghur ke dekh rahein hai..

R: baaki sabki fikar hai, bas ek meri hi fikar nahi hai tumhe…( at reception nurse asked who r they)

A: (before riddhima could speak) baap beti… (riddhima looked him) ab aise haath pakad kar rakhogi to baap beti ka hi rishta lagehga na… (riddhima made a face and threw his hand, riddhima heard nurse whispering)

Nu: itna handsome ladka iss ladki ka baap hai, dekhne mai to ladki maa lag rahi hai…(armaan laughed where as riddhima thumped her feet in anger and then they goes to see the head of hospital, he welcomed them)

Head: mujhe dr. malhotra (vibha's father) ne sab kuch bata diya hai, mujhe khushi hogi agar ye hospital kaam aa sake aapke… (riddhima looked at armaan who with eyes asked her to continue, riddhima nodded and took a deep breathe)

R: dekhiye dr. Sharma, dr. malhotra ne aapko sab kuch bata diya hoga, par phir bhi ye hospital join karne se pehle mai kuch baatein clear karna chahungi, jaisa ki aap jaante hai ki dr. armaan ka operation karne ki ijjajat mujhe government se nahi mili hai, humne bahut koshish ki par aisa nahi ho paaya, ye operation shayad pehle kabhi nahi hua hai na india mai na kahi or, iss operation mai risk bahut jayda hai, shayad dr. armaan bach paayein, aur shayad sab khatam ho jaaye, agar sab theek raha to aapka hospital world's ke best hospital mai aa jaayega, aur agar nahi to…

Dr. Sh: jab aap ye risk lene ke liye taiyar hai to hume kya dikkat ho sakti hai dr. riddhima??

R: dr. Sharma agar aapko apne hospital ki reputation ka jara sa bhi darr ho to beshak dr. armaan ka record mat rakhiyega aur dhyan rakhiyega mai sirf armaan ke treatment ke liye yaha aayi hun, mujhe koi nurse, wardboy ki help nahi chahiye, mai kissi aur patient ko nahi dekhungi, aur ek separate pathlab, OT chahiye hoga, ab se next 6 mahino tak dr. armaan ke regular tests honge, aur mai usme kissi ki interference nahi chahti…

Dr. Sh: dr. riddhima don't worry, sab ho jaayega, mai aapko dr. vaishali se milwa deta hun wo aapki har tarah se madad karengi, all the best for your

Test.. (riddhima nodded and goes out with armaan, she's discussing something with armaan and kept on laughing then hugged him when both turned back on hearing riddhima's name)

R: ji??

Va: ji maid r. vaishali hun, dr. Sharma ne aapko.. (riddhima nodded) dr. armaan kaha hai???

R: ji yehi dr. armaan hai.. (she pointed to armaan)

Va: to aap apne father par operate karengi..

R: (with confusion) father????? Ye mere husband hai… (vaishali looked her with widened eyes)

Va: lekin bahar reception par to..

R: ohhh wo… (riddhima back to angry mood looked at armaan) ye sab mere inn dusht husband ki nautanki thi, aadat daal lijiye, apako 6 mahine tak yehi sab dekhna padega… (armaan imitated her, riddhim introduced her to armaan, that was first meeting of AR with vaishali)

Vaishali found them strange and named them as "badalta mausam" in first meeting as in a minute they'll be seeing fighting with each other and in another minute they'll be hugging each other, vaishali found something strange in them, in first 3 months vaishali had a very formal relation with AR as they didn't let anyone to peep in their personal life,

they're still strangers for everyone yet each one in hospital was fond of them, armaan irritating riddhima and then manaofying her with cute cute ideas, riddhima trying hard not to hurt armaan while checking him, their controversies and finally ending up with a different solution not matching with their ideas, their unity, their togetherness, their support for each other, their jokes,

everything's different which attracts each one in hospital to them, their

love's pure, their's no show-off in their relation, everyone's equal for them, but when it comes to armaan's treatment riddhima always become over-possessive, no one was allowed to come in OT when armaan's testing starts, this over-possessiveness of hers sometimes irritates everyone but slowly slowly everyone started accepting her with this nature.

Vaishali remembered that with the end of second month in this hospital everyone started calling them happiest couple in this world as no one had witnessed any kind of sadness, they just smile and smile and try to bring smile on other lips too, some people says " lagta hai inki kabhi dukh dard se mulakaat nahi hui, inki jindagi mai koi dukh nahi hai", vaishali thought "tab lagta bhi to aisa hi tha", but one day when vaishali was on rounds, stopped suddenly when..

A: riddhima vedic ka phone tha.. (riddhima looked him) tumhari nani ko… heart attack… (before he could complete, riddhima almost fell on bench, armaan goes to her and holds her, a lone tear escaped from riddhima eyes remembering her good times with nani, she hugged armaan) tum kaho to hum Mumbai challe, mai abhi tickets book karwa deta hun… (riddhima shaked her head) nani waise out of danger hai ab, par vedic keh raha tha ki naani ne aankhein kholte hi tumhara naam sabse pehle liya tha, mere khayal se to hume unhe ek baar..

R: (cutting him) nahi armaan, mai uss daldal mai phir se nahi jaana chahti aur meri koi naani nahi hai..

A: riddhima aise kehne se rishte thodi tut jaate hai…

R: armaan bolne se rishte bante bhi to nahi hai na, nibhane se bante hai rishte, aur jinn rishto ki tum baat kar rahe ho unhone nibhana to dur ki baat hai unhone to hamare dukh mai humare sir par haath rakhkar ye bhi na kaha ki sab theek ho jaayega, kaise bhul sakti hun aaj unhi rishto ki wajah se hum dard ki ek nadi ko paar kar chukke hai, kon se rishte hai ye armaan jo hume dukh dekar aaram se jee sakte hai, aise rishto ko mai nahi jaanti armaan… (armaan hugged her and caressed her head, then kisses her)

A: hmmm… to riddhima aapne mera blood test nahi karna??? You know thodi daer baad aap par iss hospital ke log hamla bol denge.. (riddhima looked him confusingly) wo kya hai na log pasand nahi karte ki aap itne handsome doctor ke saath (pointing to himself) itna jayda waqt bitaye, after all unka bhi mujhpar utna hi hak hai… (riddhima hit him, armaan giggled and again hugged her back)

R: armaan tumhare test ke baad hum mandir challe???

A: test hum kal bhi kar sakte hai, mandir abhi chalte hai..

R: shut up, tumhare tests se jayda kuch bhi important nahi hai… challo OT mai… (they turned only to find vaishali standing with kind of shocked face, seeing them she corrects her expressions and riddhima clears her face and started smiling, then started with her non-stop chit chat, if vaishali would have not witnessed the conversation between AR a moment ago then she would have believed riddhima's smile but she knew something's there)

She tried to know about AR lives but riddhima always changes the topic, one day one lady was admitted in hospital, she's in bad condition, having internal bleeding and labor pain, by chance other doctors were busy, riddhima without wasting any time admitted her in OT, everyone's shocked as riddhima's a neurologist and that case was critical to be handled by any other specialist other than gynaecologist,

all started sweating, some nurse tried to stop her but ridhima asked her to stay quiet and pass her the equiptments, after 2 hours riddhima came out with a baby boy in her arms and gave him to his father, he with tears thanked her a lot, riddhima turned and found everyone standing with big eyes, open mouth, totally shocked, but riddhima straightway goes to armaan..

A: (hugged her tightly and smiled whole heartedly) party to banti hai boss.. (riddhima nodded and again goes in OT, everyone turned to armaan) kya hua aise kyu dekh rahe ho??? Riddhima ek bahut achi gynaecologist hai.. (everyone left with shock, but vaishali kept on looking at armaan) so dr. vaishali, aapne uss din hamari saari baatein sun li thi, right??

Va: (lil embarrassed ) kab??

A: jis din riddhima ki naani ko heart attack aaya tha.. (vaishali nodded with guilty face, armaan smiled a bit) to ab aap kya jaan na chahti hai??

Va: (with little courage) kya mai jo jaan na chahungi wo bataoge???

A: koshish karenge, agar bata sake to…. (he smiled)

Va: mai tum logo ki life ke baare mai jaan na chahti hun sab kuch, mujhe aisa lagta hai ki tum log jo actual dikhte ho wo ho nahi, kuch hua hai tumhare past mai, nahi to riddhima kabhi bhi dur na bhaagti apne past se, wo gynaecologist hai to kyu practice nahi karti hai, kyu neurologist ban na chahti hai, kyu tumhe lekar wo itna possessive hai,

jab tum loh itna khush ho apni jindagi se to kyu wo tumhare paralysis ka treatment karna chahti hai, kyu wo kissi par vishwas nahi karti, kyu wo satisfied nahi rehti itni achi neurologist hokar bhi, wo kuch aisa tumpar test karne jaa rahi hai jo shayad duniya mai kissi ne bhi na kiya ho, ye test 99.9 % fail hone ke chances hai, riddhima tumhe kho sakti hai hamesha ke liye phir bhi wo kyu bechain hai ye test, ye operation karne ke liye, kya hai sach???

A: bas vaishali bas… itne sare kyu aur kya hai tumhare dimaag mai, aur inn sabke jawab sunkar tumhare dimaag ke chotte chotte pieces ho jaayenge..

Va: mai apne dimaag ke saath risk lene ke liye taiyar hun..

A: tum itni kyu curious ho sab jaan ne ke liye??? Apni jindagi mai already bahut problems hoti hai, unhi problems ko suljhate suljhate hum thak jaate hai, unme kuch aur problems aur add karwakar tumhe kya milega??? I mean hum log khush hai, tum logo ke saath hassi khushi time nikalte hai, phir kyu tum itne deep jaana chahti ho?? Achi nahi lagti tension free life???

Va: yehi to rishto ka naam hai armaanji, rishte hai to dukh aur khushi dono ka apna maja hai, rishte na ho to naa koi dukh ho na koi khushi, pata ni kyu riddhima se dil se attachment hai, mujhe kabhi bhi kissi ki bhi life mai interfere karne ki adat nahi rahi, par riddhima aur aapne hamesha se dil mai alag jagah bana kar rakhi hai, aur aap log to mere bahut ache dost ban gaye ho to doston ke baare mai sab kuch jaan ne ka hak hai mujhe… (armaan smiled fakely when heard "dost.. bahut ache dost", with in a second old gang and new gang images started revolving in his mind) kya hua?? Aap aise kyu hass rahein hai??

A: bas kuch purani yaadein, log naye par wohi purane wade, wohi puraane rishte..

Va: (with confusion) kya matlab??

A: (shaking his head) kuch nahi, dost ne kuch maanga hai hak se to usse jarur millega… (vaishali smiled so as armaan)

Va: waada??

A: pucka waada..

Va: par kya riddhima ko acha lagega, I mean tum mujhe ye sab bataoge..

A: to mai kya uss se darta hu kya??? Armaan naam hai mera(both giggled) but jokes apart riddhima koi hitler nahi hai, par haan wo past mai nahi jaana chahti, uss past se itna dur bhagna chahti hai ki uski parchayi bhi 100 kos dur rahe …

Va: par kyu??? (armaan smiled) kya wo nahi jaanti ki jinn cheezo se jitna jayda dur bhaaga jaata hai wo cheezein utna hi picha karti hai??

A: par agar unn cheezo ke paas jaao to wo dukh bhi to bahut jayda deti hai..

Va: dur rehkar dukh kam ho jaata hai??

A: shayad nahi, par kabhi kabhi kuch cheezein itne jakham de deti hai ki unke paas jaane ke raatse hum khud hi band kar dete hai, hume kabhi kabhi dukhi rehna manjur hota hai par unke paas jaakar phir se jakham lene ki shakti aur hausla ghuma dete hai, hum jaha hai bahut khush hai vaishali, pichle 3 saalon mai hum chot khaane ka matlab bhul chukke hai, kabhi kabhi purani chot dard de jaati hai, par wo dard bearable hoga, haan agar humne past se bhaagna chod diya aur phir usse face karne ka socha to shayad uska dard na saha jaaye… (he again smiled)

Va: aisa kya hua tha tumhare past mai jo tum log bilkul bhi usse face nahi karna chahte, riddhima apni naani se milne bhi nahi gayi, tum logo ko kabhi bhi apni family, apne purane dost kissi ki baat karte nahi suna, kaha the tum log pehle??? Kiss hospital mai?? Kya hai tumhari kahani???

A: (smiled) sabhi ladkiyo ko kya adaat hoti hai ki ek sawaal nahi dher saare sawaalo ki bearish ek saath karni hai??? (vaishali bites her tongue and mumbled sorry, armaan nodded and told her about AR's first meeting, their fights, but still supporting each other, their trips, their confusions for their love……… and so on)

**************************

Vaishali came in present when heard some noise and found one glass on floor, she took it lightly but then straightway stood up when realized that glass fell from side table that was besides armaan, she found armaan's arm near his head and thought "glass kaise gir gaya, kahi armaan ko hosh to nahi aaya tha", then goes to armaan and slightly patted his face and called his name several times but no response,

vaishali again settled on sofa, kept on looking at armaan and again moved in past when armaan tells her about their story, riddhima never interfered in between, she listens to armaan when he tells vaishali about their moments but goes from there whenever armaan talks about dr. shashank's behavior, ankit or sheekha's case, slowly slowly armaan told her about their past, 1 month passed in this and only 15 days were left for armaan's operation, when vaishali asked him to tell more about their story, riddhima interrupted..

R: vaishali chinta mat karo, aage ki baatein mai bata dungi, aaj se armaan ko under observation rakhna hai, 15 dino baad operation hai to mind par stress nahi padna chahiye warna operation aur delay ho jaayega, stress pada jara sa bhi to body temperature, blood circulation sab disturb ho jaayega aur hume 15 dino tak uss box (she pointed to a huge transparent rectangular box almost of the size of armaan) ke uppar jo report pasted hai uss jitna proper ratio rakhna hai , na kam ,na jayda, mai nahi chahti ki ab armaan se koi bhi mile, aur agar koi mile to sirf 2 min ke liye, koi risk nahi le sakti iss tym par… sorry agar mai rude ho gayi hun to…

Va: (immediately) are nahi riddhima, tum rude nahi hui ho, samajh sakti hun ab mai, tumhare 3 saal ki mehnat aur 4 saal ka sapna sakaar hone jaa rahi hai, kaise risk le sakti ho iss waqt… (riddhima smiled and thanked her, vaishali moved out thinking " kaash tumhari ye surgery jeet mai badal jaaye, tumhare 3 saal ki mehnat (she looked at the transparent box) ye nayi research rang le aaye ridhima", she turned and looked at the duo)

R: armaan aaj se ulti ginti (counting) shuru ho jaayegi.. (she took his hand and placed on her heart) I'm scared, sab theek hoga na???

A: (pulling her down so that she's on him) tumhara darr 2 minute mai bhaag sakta hai..

R: wo kaise???

A: darr tab lagta hai jab hum exam dene se pehle hi result ke baare mai chinta karne lagte hai… haina??? (riddhima thought a bit and nodded) to mere operation ke baad ka bhi result expect karna band kar do riddhima, mat dekho sapna mujhe apne paero par khade dekhne ka, neutral raho result ke liye, jo bhi hoga acceptable hoga, chahe operation ke baad mai chal na paun, ya shayad puri body hi paralysed ho jaaye, ya koi body part puri tarah se kharab ho jayega, ya shayad saasein challengi hi nahi…

R: ya shayad tum apne paero par phir se khade ho jaaoge…

A: (placing his hand on her face) mujhe darr lagta hai riddhima, mujhe lagta hai ki tum bahut sapne dekh baithi ho iss operation ko lekar ki ye operation success hi rahega, agar na hua to mai tumhe kaise sambhalunga???

R: (kisses him on cheeks) don't worry armaan, mai har case ke liye prepared hun, par tum hamesha mujhe worst ke liye prepare karte ho aur mai apne aapko best ke liye prepare karti hun, sapne jayda nahi dekhein hai, agar 99.9% hum negative soch kar chal rahein hai to 0.1% positive bhi to soch kar chal sakte hai na..

A: jab tak tumhara positive tumhe daraye mat, tumhe jayda sapne na dikhaye mujhe koi problem nahi hai, par jaha par mujhe laga ki tum jayda expect karne lag gayi ho waha par hi mera treatment ruk jaayega.. (riddhima's shocked) riddhima mai bas tumhari aankho mai tute sapne aur aansuon ki maala ko nahi bardash kar sakta, mujhe aise rehne mai koi dikkat nahi hai, par jab tak tumhari muskurati aankhein dekhta rahun bas tab tak… (riddhima smiled and nodded)

R: tum theek keh rahe the armaan maine sapne jayda dekhne shuru kar diye the, don't worry ab aisa nahi karungi..

A: aur dekho tumhari heart beats bhi normal ho gayi, tumhara darr bhi dur ho gaya… (riddhima felt strange but it actually happened, she kisses armaan and tried to get up) treatment shuru karne se pehle ek waada karogi?? (riddhima looked him) ye operation successful na hua to tum ek bhi aansu nahi bahaogi, tum isse kismat ka faisla samajh kar bhul jaogi..

R: agar theek hoge to to rone doge na???

A: (nodded) pucka… (they again hugged each other, and both cleared their tears, vaishali too cleared her tears and left)

************************

Vaishali smiled when memorized this.. and mumbled "alag hai ye, bahut alag hai, nahi dekh sakti aisa pyaar mai kabhi aur, kabhi bhi pyaar karte karte thakte hi nahi, unke pyaar ko aksharo ki maala mai pirona aasaan hi nahi hai, bas unhe dekhte raho, saari jindagi aise hi bita do, kya pyaar itna khubsurat bhi ho sakta hai, kya pyaar sach mai tumhe itni shakti de sakta hai ki tum haste haste hajaron mushkilo ko seh lo, …

Suddenly she heard "riddhima"….. "riddhima", she stood up immediately and rushed to armaan..

Va: armaann…. (with a wide smile) tumhe hosh aa gaya… armaan.. (she slightly patted on his face)

A: riddhimaa….ridhima..

Va: wo bas aati hi hogi.. (she quickly called riddhima with shivered hands) riddhima.. (out of happiness she's not able to speak) armaan..

R: (frightened) kya hua armaan ko???

Va: pagli tere armaan ko hosh aa gaya… (riddhima for a moment jammed there where she was, and her eyes got filled) bas tera hi naam pukaar raha hai… (she placed cell phone on armaan's ears)

A: riddhima… riddhima…. (riddhima weeped silently and placed her head on wall, then settled down on floor, kept on hearing her name, she felt as if she'd drunk water after ages, then got up quickly thinking to meet him quickly else she'll die..)

Vaishali again tapped on armaan's face to which he regained his senses and opened his eyes only to find riddhima's face in front of him, then he carefully looked at riddhima and realized it's her photo, he slightly turned his head..

Va: mujhe pata tha ki tum aankhein kholte hi riddhima ka chehra dekhna chahoge, issliye tumhara mobile tumhari aankho ke saamne rakh diya.. by the way tum jaante to ho na ki mai kon hun??? (armaan holds his head, vaishali tried to check but he passed a little smile saying he's ok vaishali, she smiled, armaan's feeling very weak from inside yet he tried to get up, but vaishali stopped him) nahi armaan, abhi mat uthna, riddhima ne bataya tha ki chahe tumhare saare stitches dissolve hona shuru ho gaye ho par 50 days tumhe proper bed rest karna hai, matlab kissi cheez ke liye bhi nahi hilna…

A: (looked her confusingly and with difficulty) kyu?? Kuch galat..

Va: nahi armaan koi complications nahi the operation mai, operation jitna jayda difficult lag raha tha utna hi smoothly ho gaya, 20 hrs tak tumhara operation challa tha, kahi baat beech mai sink hua, BP, pulse rate bhi drop hua par aisa lag raha tha ki riddhima bilkul prepared thi har condition ke liye (armaan smiled) kahi bhi kuch complications najar hi nahi aaye, tumhari vein easily mil gayi thi, koi internal bleeding nahi hui,

tumhe pata hai tumhe bas ek hi din blood diya gaya tha, uske baad jarurat hi nahi padi, next day hi tumhari saare tests ho gaye the, tumhara har body organ proper functioning kar raha hai, koi bhi long term problem nahi hogi, bas BP starting mai fluctuate ho raha tha par ab wo bhi theek hai, internally sab kuch perfect hai tumhara,

bas ab physically tumhare body parts ki functioning check karni hai… (she looked towards his legs) pata hai dr. Sharma aur sab itne excited the tumhare hosh aane ke liye, kyunki almost ye operation success hi ho gaya tha aur agar tum physically bhi theek rahe to medical ki field ke liye ye vardaan saabit hoga…. (armaan smiled and shaked his head lightly) waise tumhe sab kuch yaad to hai na??? apni jindagi ke pichle 32 yrs yaad haina??

A: (lightly) 32 yrs ka to yaad nahi, haan pichle 10 yrs bahut ache se yaad hai…

On other side riddhima rushed towards armaan's room, as soon as she entered in corridor her heart beats raised thinking about armaan, thinking what will be the result of her surgery, she moved forwards with her heart beats banging loudly inside her chest, she reached to door, armaan felt her presence and straight way looked towards door. Riddhima's eyes slightly got filled ans she slowly slowly moved towards him,

armaan smiled, riddhima reached near his bed, first touched his legs slightly while moving then looked at vaishali who sadly started looking down, riddhima stopped there only, vaishali with tears looked her and then shaked her head, riddhima felt as if all her dreams crashed, she looked at armaan who shaked his head and then by placing his one hand over second one he reminded her of her promise..

riddhima cleared her tears with heavy heart and then hugged him, taking care of his bandages as well and mumbled "nahi royungi mai", armaan kissed her and asked "kaise rahi 15 din tum???" riddhima stayed quiet..

Va: tumhe apne paero par khada dekhne ka sapna dekhkar hi isne ye 15 din nikale the armaan… (riddhima showed her eyes and asked her to stay quiet, vaishali goes out while making a face)

R: armaan tumhare bina meri bas saasein chal rahi thi, ek kathputli ban gayi thi mai, jisme aaj jaan dal gayi tumhari aawaj sunkar..

A: aadhi jaan..

R: hmm… sapna dekha tha ki tumhe dekh paungi apne paero par khada hua, par…. Par armaan mere liye tum important ho, ye sapne to chotti cheez hai tumhare aage… (she smiled)

A: (slightly kisses on her temple) that's like a brave girl, I wish tumhara har sapne tumhare bina kahe pura ho jaaye… (riddhima hugged him lil more tightly..)

To be continued…

Next update will be on new thread which is already created and its address is updated on first page of this thread..

Precap:

Riddhima reminded their past 3 years, their masti and their present

Just stay tunned

Do comment or press like tab

Pms will be send only to those who's commenting/ pressing like tab and is in my buddy list, commenting's not a compulsion but atleast u can press like tab na, wo to itna mushkil nahi haina, just ek click karna hai, it hardly takes a second or 2, mere liye bhi to jaan na jaruri hai na ki kon read kar raha hai, kiss ne kab skip kiya, agar aapne story read karna chod diya hai to bejhijhak mujhse kahiye ki ab aapko pms nahi chahiye…

Lots of luv

Ankita…

Edited by GoDsLoVe - 14 years ago
vidu87 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 14 years ago
resd..
part 206
OMG
ankita i dun hav any word for dis part.
am juz speechless
sry cant say a wrd coz evry complement will b less for dis part
dis part is outstanding amazing
luvd it 2 d core
πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘ πŸ‘πŸ‘ πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘ πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘ πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘
Edited by vidu87 - 14 years ago
akshiankita thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 14 years ago
love d post
write soon
will b waiting
Shruti_0505 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
wow
im at a loss of words
but i must say u have a way with words
loved the update
this is exactly what i wanted to see
i didnt want armaan ridhima to forgive anyone n the part abt insecurity was also true
i just want ritu n cirag n all the interns to be there
no one else
amazing part
Mrs.Hulk thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Awesome writing skill ankita
Loved the update
The way u finished the part was EXCELLENT
I loved every bit of the part
Keep Continue

love ya
Prinz

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington Β· 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand β–Ό
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".