meri ankhon main jo utra nasshaa hay
mere honton nay usko choo lia hay. . . .
naa janay kia ajab si chaashni hay
k rooh tak main bhi jis ka zaaiqa hay. . .
haaye wo lams k hiddat se jin ki
badan saara mehakta jaa raha hay . . .
hay ik ehsaas k main hoon mukammal
jahan saaray ka saara paa lia hay. . . . .
mere honton nay usko choo lia hay. . . .