Sagar and Vidya are hugging each other tight. Sagar is crying a lot and Vidya is consoling him. Sagar keeps telling, "Mere saath hi aisa kyun hua Vidya? Meri kya galti thi? Maine toh sirf yehi chaha ke mom dad aur main humesha khush rahe. Par aisa kuch hoga, maine sapno mein bhi nahi socha tha. Unn dono ne aisa kyun kia?!" Vidya says with teary eyes, "Ssshh! Chup ho jao. Main hoon na tumhare saath. Tumhari koi galti nahi hai Sagar. Yeh sab toh kismaat ka khel hai. Aab rona bandh karo. Please." Sagar tries to stop crying. Vidya makes Sagar look into her eyes and holds his cheeks. She tells Sagar lovingly, "Tumhare aakho mein main aasu bardasht nahi kar sakti. Humesha yaad rakhna ke main apni aakhri saas tak tumhare saath hoon." Hearing this, Sagar becomes pleased. Vidya wipes out Sagar's tears from his cheeks. Sagar hugs Vidya and says, "Agar tum nahi hoti toh sach mein main mar jata, Vidya." Vidya holds Sagar's arm and makes him move back. She tells him, "Agar aisi baat dubara kahi naa toh main sach mein main apni jaan..." Sagar puts his finger on Vidya's lips and says, "Main aisi baat nahi karunga aur tumhi aisi baat dubara kabhi bhi maat karna." Vidya nods his head sweetly. Sagar smiles a little bit and hugs Vidya again. After a few moments of hugging, both move back. Vidya looks worried and Sagar notices that. He asks worriedly, "Tum kuch pareshaan dikh rahi ho. Kya hua Vidya? Koi problem hai kya?" Vidya thinks, "Abhi Sagar bohot tensed hai, papa aur mere beech ke huye argument ke baare mein abhi naa batayu toh theek hoga." Thinking this, she nervously says, "Kuch nahi Sagar. Sab theek hai." Sagar says seriously, "Jaise main tumse koi baat nahi chupa sakta waise tum bhi mujhse koi baat nahi chupa sakti. Bolo kya baat hai? Tumhe meri kasam." Vidya sadly says, "Abhi toh tumhe batana hi padega. Woh... actually... (tells Sagar about her argument with her dad)". Sagar smiles at his bad luck and says, "Yeh sab toh hona hi tha. Unn dono ne jo kia hai uske baad agar tumhare papa ke jagah agar koi bhi hota toh woh aisa hi karta. Chalo tumhare ghar! Tumhare papa ko hume puri sacchai batani hogi." Vidya worriedly says, "Par tum kaise...?" Sagar holds Vidya's cheeks and says with a determined look, "Main theek hoon Vidya. Maine apne aap ko samhaal liya hai. Main samajh gaya ke unn dono ke liye rone ka koi faidaa nahi hai. Unn dono ne mere asli dad ko maaraa. Aur aab main unhe sazaa dilakar hi chan ki saas lunga. Tum mera saath dogi naa Vidya?" Vidya takes Sagar's hands in her hands and says, "Main apni aakhri saas tak tumhare saath hoon Sagar. Main janti hoon ke tum jo karoge, theek karoge." Sagar smiles with tears of joy in his eyes, kisses Vidya's forehead and says, "Mujhpe itna yakeen karne ke liye shukriyaa." Vidya smiles. Then both get up. Vidya wonders and tells, "Sahil kaha gaya?" Sagar smiles a bit and says, "Woh ghar chala gaya hoga. Main usse acchi tarah se janta hoon. Uske dimaag mein aaya hoga ke hum dono ko akelaa chod dena chahiye aab. Issi liye woh chala gaya. Chalo hum aab tumhare ghar chalte hai." Vidya smilingly nods her head. Both get out of the house and sits into the car. Sagar starts driving the car.
The car stops in front of Singhania Mansion. Vidya says worriedly, "Sagar, agar papa ne kuch aisa vaisa kehe diye toh plz bura maat manna. Aur main janti hoon ke tum innocent ho. Aab yeh baat sirf papa ko samjhani hogi hume." Sagar says, "Kaisi baat kar rahi ho Vidya! Woh mere bhi toh papa hai. Aur agar ek pita apne bete ko kuch bhi kahe, toh beta kyun bura manega bhala? Aur jab tak tum mere saath ho, main janta hoon ke mere saath kuch galat nahi hoga." Vidya is pleased hearing this and she smiles a bit. Then both gets out of the car and goes inside the mansion holding each other hands. <3
VP is sitting on the sofa. SV enters the house holding each other hands and seeing this, VP gets angry. SV walk to VP and VP walk to them. All the three are face to face now. VP says to Vidya in a serious tone, "Vidya, tum andar jao." "Par papa?!", Vidya exclaims confusingly. Sagar looks at Vidya and indicates her to listen to her dad. Vidya goes away but secretly, she's standing at a corner where VP and Sagar don't see. VP says to Sagar in a damn serious tone, "Vidya ne tumhe bataya hi hoga ke baat kya hai. Toh main bhi tumse poochna chahta hoon ke tum apni safai mein kuch kehene chahte ho ya jo main soch raha hoon woh sach hai? Aur mere samne jhoot bolne ki himmat bhi maat karna warna mujhse bura koi nahi hoga." Sagar says, "Aapse main jhoot kabhi nahi bolunga. Mere maan mein koi chor nahi hai. Aap sach ka ek pehlu jante hai par ussi sach ke dusre pehlu se aap aab bhi anjaan hai." VP asks confusingly, "Kya matlab?" Sagar now tells VP all the truth including the facts that he's not their real son and they killed his real father. VP is shocked. He asks seriously, "Kya proof hai ke tum sach kehe rahe ho?" Sagar says, "Koi proof toh nahi hai par maine jo kaha wahi sach hai." VP says angrily, "Theek hai. Then prove yourself. Agar Vidya ke liye tumhara pyaar saccha hai toh phir prove karo. Bolo, kar sakte ho?" Sagar says with a determined look, "Aap jo bolenge, main wahi karunga. Boliye kya karna hoga mujhe?"
**Scene shifts to Thakur Niwaas** Sagar's parents are sitting in the main hall. Sagar arrives there. Sagar's parents smile seeing Sagar. Sagar acts to smile and thinks in mind, "Mujhe khud par sharam aa rahi hai aaj ke main itne saalo tak tum dono ko apna mata-pita mana. Lekin aab bas bohot ho gaya. Aab aap dono ko apne anjaam tak main pohochayunga." SD (sagar's dad) says to Sagar, "Aao Sagar. Bilkul sahi time pe aaye ho. Hume tumse kuch zaruri baat karni hai." Seeing the both murderers acting so good, Sagar is becoming more furious than before. He says angrily, "Tum dono ne mere asli pita ko maaraa! Aur agar main tum dono ka kaam na karu toh tum dono mujhe bhi maar doge, haina?" Sagar's parents are shocked. Sagar fumes into anger and says, "Main sab kuch janta hoon. Tum dono khooni ho. Main tum dono ko kabhi maaf nahi karunga. Main tum dono ko sajaa dunga." Saying this, Sagar takes out a loaded gun from his pocket and points out at his betrayers, that's, his foster parents. Seeing the gun, Sagar's foster mom and dad get afraid. SM (Sagar's mom) says nervously, "Yeh tum kya kar rahe ho? Dont forget that humne tumhe paal-pos kar baraa kia hai. Itni luxurious life tum humari vajar se hi ji rahe ho." "Issi ka toh afsos hai.", Sagar exclaims angrily. In the meantime of Sagar's and his foster mom's conversation, Sagar's dad trickily goes near the table and from its drawer, he takes out his own gun. Then, taking the gun, Sagar's dad (SD) goes to Sagar and says, "Sagarrr.." Sagar sees SD with a gun in his hand and is super shocked (widens his eyes). He becomes silent in shock. He didn't even realize when the gun fell off his hand. SD keeps saying, "Haan humne hi tumhare asli baap ko maaraa kyuki usne humare khilaaf jaane ki zurrat ki thi. Humare smuggling business ke liye woh khatra ban gaya tha. Iss liye usse marnaa paraa. Aur aab tum bhi maro kyuki tum ne bhi humare khilaaf jaane ki gustaakhi ki hai. So bye bye Sagar." Saying this, SD shoots Sagar. The bullet goes into Sagar's chest. He screams in pain and falls on the floor.
So, here's the end. The last part is scary, I know! Hope you like this new twist. And i hope u liked this part as well. Waiting for ur comments. Love... Bidz!!!