Here, I am back with the next part. Enjoy friends. :)
Sagar, Vidya, Sahil and Sanju are sitting in the cafeteria in a round way around the table.
Sahil (says to Sanju shyly) : Sanjana, kal toh Sunday hai, so hum kaha drama event ke liye practice karenge?
Sanjana (smilingly) : Umm... I think, hum mere ghar mein practice kar sakte hai. Aur waise bhi, main India mein toh akeli raheti hoon! Iss liye mere ghar mein disturb karne wala koi nahi hoga!
Laddoos start to burst in Sahil's heart. He gives a big smile and thinks in mind, "Wow! Sanjana ke ghar mein, sirf main aur woh! Amazing!"
Sanju (smilingly) : Aur phir hum Sagar aur Vidya ko wahi bula lenge! Phir hum charo ek sath practice karenge!
Hearing this, Sahil's cute dream breaks! He makes a sad face and thinks in mind, "Anjane mein main humesha Sagar Vidya ke beech mein kabab mein haddi banta hoon, iss liye shayad bhagwan ji mere aur Sanjana ke beech mein unn dono ko kabab mein haddi bana rahe hai! Yeh kaha ke insaaf hai bhagwan ji! Main jaan buch kar thodi naa Sagar Vidya ke beech kabab mein haddi banta hoon?!"
Sanju : Sahil... Sahil...
Sahil (comes back to reality) : Haan kya? Bolo!
Sanju : Tum kuch soch rahe the kya?
Sahil : Nahin nahin! Bolo! (smiles)
Sanju : So kal mere ghar mein hum charo practice karenge drama event ke liye! Done, everyone? (forwards her hand)
Sahil puts his hand in Sanju's hand! Just when, he touches Sanju, he feels so amazing! He keeps smiling and blushing! Sanju is waiting for Sagar and Vidya to keep their hands on hers and Sahil's hands! But seems like, Sagar and Vidya are in their own dream world. They are holding their hands, smiling and having an eye lock session. Sanju sees this, puts her palm on her forehead and says, "Hey Bhagwaaaan!" Then she shows it to Sahil as well. Now, both, Sahil and Sanju, are staring at them in a very peculiar way keeping their elbows on the table and their hands on their cheeks.
Sanju (says in a funny way) : Vidya... Meri pyari Vidya... My sweet friend... Meri taraf dekh... Ek bar dekh...
Vidya doesn't respond at all. She seems to be lost in Sagar eyes.
Sahil (in his own peculiar style) : Sagar... Mera best buddy... Sagar... Sun toh meri baat... Hello...
Sagar also doesn't respond. Same as Vidya, he also seems to be lost in Vidya's eyes.
Sanju (to Sahil) : Sahil, inn dono ko shayad pyaar ka kuch jyada hi dose padh gaya hai! Chalo innko jagate hai aur iss real dunia mein vapas laate hai!
Sahil (makes a curious face) : Kaise?
Sanju gives a mischievous smile, stands up from her chair, goes near Sagar and Vidya, brings her face in the middle of them and shouts, "Aise!" Sagar and Vidya jumps in astonishment, and finally they are back in the real world! Sahil laughs!
Sanju and Sahil says together to Sagar and Vidya : Welcome Back To The Real World Love Birds! So kaisa raha aap dono ka safar, apne pyaar aur sapno ki dunia mein?
Sagar and Vidya feel very shy! Both rubs their forehead with their fingers, then Sagar brushes his hair back in shyness!
Sahil (teases) : Tum dono shayad bhul gaye par hum bhi yaha hai!
Sanju (joins Sahil and starts teasing SV) : Shadi se pehele itna romance theek nahin hai, kahin shadi ke baad ke liye romance kam naa padh jaye!
Sagar and Vidya blushes and finally they say something!
Sagar and Vidya (softly and shyly) : Kya tum log bhi naa! Kuch bhi bolte ho!
Sahil : Thank God! Finally, inn logo ne kuch toh kaha!
Sanju : Yes, finally! Thank you Mr. Thakur and Ms. Singhania!
Sagar smiles and blushes!
Vidya (playfully hits Sanju) : Chal aab humari taang khichna bandh kar!
Sanju (laughs) : Hahah! Okay okay! So I was saying that kal hum charo mere ghar mein drama event ke liye practice karenge! :)
Sagar (makes a curious look) : Par tumhare mom dad?
Sanju : Sagar ji, jab aap aur apki yeh girlfriend apne dream land mein the, tab maine kaha tha ke mom dad india mein nahi hai, main akeli raheti hoon!
Sagar rubs his forehead with his finger!
Vidya (cuts off Sanju) : Accha theek hai theek hai! Aab tease karna bandh kar hum dono ko!
Sanju (smiles) : Okay! :) Waise, Vidya, mujhe tujhse aur Sagar se ek baat janni thi!
Sagar and Vidya (make curious faces) : Kya?
Sanju : Tum dono ki dosti se pyaar tak safar ki puri kahani!
Sahil : Haan guys! Yeh toh main bhi nahin janta! Please batao naa!
Sanju : Haan! Please please please! (pleads)
Sagar and Vidya : Theek hai.... Theek hai! (smiles) Hum batayenge! :)
Then Sagar starts the story of his and Vidya's journey from friendship to love and we are shown flashbacks of two years back!
FLASHBACK - TWO YEARS AGO
Sia, the maternal cousin sister of Sagar (at present in abroad), who was a year younger than Sagar, reads in St. Xavier's College (Vidya's previous college). One day, Sagar, wearing his cool pink t-shirt, arrives in front of St. Xavier's college in his white car to meet his cousin sis Sia! He went inside the college and tells a pion to call his cousin sis whose name is Sia Singh Thakur! The pion does so! Sia comes in front of the college gate, sees Sagar and gives a huge smile! Sagar smiles back!
Sia (shocking look but happy) : Bro, tum yaha?
Sagar (smiles) : Tujh se milne ka maan kia iss liye chala aaya, sis!
Sia (suspicious) : Umm... Par tumhara chehra toh kuch aur hi bata raha hai bro!
Sagar (nervous) : kyaa matlab? (rolls his eyes in nervousness)
Sia : Matlab.... I know that you came here to see a glance of my classmate Vidya!
Sagar coughs in nervousness and shyness! (chori pakri gayi beta..LOL)
Sia (smiles) : Arey arey arey! Ghabrao maat aur shy feel karni ki bhi koi zarurat nahi hai! After all I am ur sis naa! Main toh tumhari dil ki baat uss din hi samajh gayi thi jab tum pichli bar mere college mein kuch kam se aaye the aur Vidya ko dekhkar tum usse ghur ghur kar dekhte hi rahe gaye! Aur ghur ghur ke dekhne ke baad tumne uska naam bhi poocha mujhse!
PRESENT TIME
Sahil and Sanju are laughing!
Sahil (laughs) : Toh buddy, tujhe bhi love at first sight hua tha, haina?
Sagar (smiles) : Haan!
Sanju (smiles) : Accha hai! (to Sahil) Sahil, tumne Sagar se kaha ke tujhe "BHI" love at first sight hua tha! Yeh "bhi" ka kya chakkar hai? Kya tumhe bhi kabhi love at first sight hua hai?
Sahil gets nervous! Sanju laughs, so do Sagar and Vidya!
Sanju (to Sahil) : Arey tum nervous kyu ho raha ho? Main toh mazak kar rahi thi!
Sahil feels relax!
Sanju (to SV) : By the way, Sagar, tum dono na apni do saal ki facebook friendship ke baad mile ho! Phir yeh college mein peheli nazar mein pyaar? Kuch samajh mein nahi aaya!
Vidya (smiles) : Hum mile toh hai do saal ke baad! Par... Sagar ne mujhe kahi bar dekha tha do saal pehele!
Sahil (curious) : Dekha tha toh Sagar ne tumse milne ki koshish kyu nahi kia?
Vidya looks at Sagar and smiles cutely. Sagar smiles too.
Vidya : Kyuki mahashay mujhse baat karne ke liye bohot shy feel karte the aur bohot jyada darr te the, kyuki Sia ne unse kaha tha ki main kisi ke sath jyada socialize nahin karti, mere gungi hone ke vajar se! Aur Sagar ko yeh darr tha ke kahin main uska baat karne ka kuch galat matlab naa nikal lu!
Sanju (smilingly) : Oh! Phir kya hua?
Sagar (smilingly) : Phir......
FLASHBACK - TWO YEARS BACK
Sagar : Arey aisi koi baat nahi hai sis! (feels shy)
Sia : Agar aisi koi baat nahi hai toh phir itna blush kyu kar rahe ho?
Sagar (shocked) : Kya? Blush?! Main?!
Sia : Oyee itna choko maat! Now come to the point! Mujhse kya chahiye tumhe?
Sagar (says with a lot of feelings) : Sis... kabhi bhi kisi ko dekhkar aisa mehsus nahi hua jaisa feeling Vidya ko dekhkar hua tha uss din! Main humesha se hi chup chap sa hoon, mera koi khaas dost bhi nahi hai ek tere sivay, aur aab tu bhi kuch din ke baad abroad jaa rahi hai! Par usse dekhkar naa jaane kyu maan mein aisa laga ke woh mera akelapan dur kar sakti hai! Iss liye, I want to talk with her and I want to be her friend! Par tune kaha ke woh jyada socialize nahi karti! Toh aab phir main kya karu?
Sia : Ummm.... ek kam ho sakta hai!
Sagar (smiles) : Kya?
Sia : Woh practically aamne-saamne kisi se jyada socialize nahin karti kyuki jaisa maine tumhe kaha tha uss din ke woh gungi hai! Par... uska facebook mein account hai aur tumhara bhi! Par... woh toh anjaan logo ki requests accept nahi karti!
Sagar (sadly) : Toh phir?
Sia (smiles) : Arey bro! Sad kyu hote ho? Main hoon naa! Mujhpar chordo! Main usse bol dungi tumhari request accept karne ke liye!
Sagar (curious) : Par woh toh teri kuch khaas friend bhi nahin hai phir tu kaise.....
Sia (smiles) : Arey leave that all upon me!!! Tum just usse facebook par add karlo! Main aaj hi usse baat karungi!
Sagar (smilingly) : Okay! Toh phir main chalta hoon and thanks a lot sis!
Sia (smiles) : Beheno ke liye no thanks bro! Take care! Bye! And don't worry! Abhi main class mein jati hoon! Bye!
Sagar (smiles back) : Bye!
Sagar leaves!
Precap : In the flashback, Sia tells Vidya to meet her after college! Vidya agrees!
That's the end for this part! I hope all will like it! Comments please! :) And to know more about the character of Sia that's shown in the Flashback, check the first post! :)
Edited by Bidz_cutegal - 14 years ago