1.Riddz:-Sid!mujhe tumhaari bana diya gaya hai..
Her heart:-Par main armaan ki ban chuki hoon..
2.R:-Main har pal tumhare sath saans lena chati hoon..
H:-Par meri saansin to har pal armaan k liye hi chalti hain..
3.R:-Main jaanti hoon k tum mujhe zindagi ki har khushi doge..
H:-Par tum nahin jaante k meri asli khushi armaan hai aur mujhe armaan k diye aansu bhi duniya ki har khushi se zyada pyare hain..
4.R:-Main tumhaare sath dhire-dhire aage bad rahi hoon..
H:-Par mujhe maalum hai k aaj bhi wahin kahin pichhe khadi hoon main..
5.R:-Tumhaari patni har kadam par tumhaara sath degi..
H:-Par wo khud har kadam par armaan ka sath chahegi..
6.R:-Main samjhti hoon k ab main mrs.riddhima modi hoon..
H:-Par tum nahin samjhte k mere khayalon mein aaj bhi mrs.riddhima basket mallik hone k khwab zinda hain..
7.R:-Apne pati ka vishwaas pane k liye mrs.modi ne doosri baar uske haathon se sindoor aur mangal sutra pehan liya hai..
H:-Par riddhima to aaj bhi wahi zindagi jee rahi hai,jab wo apne armaan k saath,uske paas baithi apni sagayi ki khushian mana rahi thi.saari duniya ko thukra k apne armaan k sath jeene k hassen sapne saja rahi thi..
8.R:-Tum hamesha apni patni ko ye ehsaas dilaate rehana k uska pati use bahut pyar karta hai..
H:-Par ye isliye nahin k wo ye chahti hai,balki isliye k mrs.modi kahin basket k aage jhuk k wo na kar baithe jo wo khud chahti hai.jise chahne ka use ab haq nahin raha..
9.R:-Tum mujhe armaan se shayad zyada samjhte ho..
H:-Par main kya karoon jab main pehle se hi apne nasamjh armaan ki deewani hoon..
10.R:-Tum itne achhe ho sid,tumne hamesha mujhe sahara diya,to main khud tumse alag kaise ho sakti hoon..
H:-Par tum khud hi mujhse alag kyon nahin ho jaate,kyonki mujhe tumhare is sahare ki nahin,baat baat pe mujhe chod k jaane wale armaan ki zaroorat hai..
I think this is the reason why our basket is so confused..her voice and heart go in opposite directions..i wish her heart wins..AR FOREVER..