Press Conference of Pavitra Married Society
All married couples who are pavitra even after so many days of their marriages (Unconsummated married Couples) decide to unite and have a society of their own. Media people decide to arrange one press conference for them. Needless to say, the key attractions were ArMan, SaSha and Vaishes (vaishali +Dharmesh).
Assumption: Vaishali and Dharmu will follow the same track)
Archana- hi everybody. Mujhe yeh jaan kar behad khushi hai hamari is pavitra society ko aaj yeh pehchan mili aur aaj hum TV par hain. To aap log abhi sawal kar sakte hain. Aap ke sawalon ke jawab hum sab milke denge.
Media- madam yeh bataiye pavitra bole to kya?
Archana- main nahi bata sakti manav aap batao na plz
Manav- pavitra matlab hum log pati patni hain..par ek doosre ko us nazar se nahin dekhte
Media- sir thoda clear kariye plz. In fact yeh nazar kya hai?
Manav- mujh se bataya nahi ja raha..satish tum bataoge
Satish-pavitra matlab yeh hota hai ki hum log ek doosre ko chute tak nahi…kabhi galati se body touch ho jati hai to sorry kehte hain aur baki…u know
Media-ok..thats great..aap logon ke kadam kabhi behek nahi jate
Archu- chhi..kya sawal hai. Hum thode na gande log hai jo kadam fisalyenge
Media- madam mera matlab yeh hai ki aap log kaise control karte hain
Satish- main apni baat karta hun. Yeh to sach hai ki kadam behekna is quite natural. But I control. Woh aise ki jab raat ko 11-12 bajte hain main terrace ke upar chala jata hun aur mendak (frog) ke pichhe bhagta hun. Bhag bhag ke itna thak jata hun ki aake seedha sofe pe let ke so jate hun. Believe me itni thakawat hoti hai ki koi model bhi aake mujhe apavitra karne ki koshish kare tabhi mujhe koi fark nahi padega
Varsha- achha janab ki nazar abhi models pe hai. Ghar chalo main dekhti hun tum ko
Media- Madam fight mat kariye. Yeh bataiye aap kya karti hain
Varsha-main Archu Taai ki behen hun yeh soch ke so jati hun
Media- manav ji aapne kuch nahin kaha?
Manav- main ek takia ke upar Archana ki photo lagake usse gale lagake so jata hun (LOL)
Archana- chhi gande..tabhi main kahun ek ke baad ek takiya fat kyun raha hai
Media- waise madam yeh bataiye aap log kyun aam couples ki tarah wo sab nahi karte jo quite normal hai
Manav-exactly main bhi wohi soch raha hun
Archana- chup karo Manav..aisi soch rakhna hamari pavitra society keliye ek punishable act hai
Varsha- in fact hum log ek doosre ko itni buri nazar se dekh nahin sakte. Next question please
Media- aap logon ka makshad kya hai
Archana- pavitrata ka prachar karma
Media- par aise sansar aage kaise badhega..
Varsha- pehle se kya kam population kam hai jo aapko aur chahiye?
Manav- aur na jane kitni shravani hain hum unke bachho ko naam de sakte hain. Hai na Archana?
Archana- (smiling) ab aap ne kaam ki baat kahi mere achhe Manav
Media- but what about the biology and human tendency, desires
Satish- dekhiye..biology gayi ghaas katne aur tendency gayi tel bechne..samjhe?
Media-matlab?
Satish- matlab yeh ek trend hai aur isse hamen follow karma hai bas that's it..(aankhon mein aansoo)
Manav- ( also crying now) thik kaha satish tumne..yeh..
Media- ab mamla kuch samajh mein aa raha hai..hamen lagta hai manav ji aur satish ji aap isse khush nahi hain...aap dono ko bhi wo sab chahiye jo aam normal aadmi ko chahiye
Archana- nahin yeh log bhi pavitra hain. Don't play with their sentiments plz. (dhimi awaz mein) badi mushkil mein pavitrata maintain ho pati hai (LOL)
Media- manav aur satish hum samajh sakte hain..khaas kar ke aap dono ki biwiyan itni hot aur happening hain…to zahir hai aap log kitne udaas honge
Satish- yeh to sach hai ki udaasi hoti hai..jab meri wife bathroom se nahake towel mein bahar aati hai mujhe muh deewar ki ore karna padta hai. Tab meri kya halat hoti hai mujhe hi pata hai
Manav- aur meri wali jab kapde badalne keliye kamre se mujhe bahar nikal deti hai aur darwaja band kar deti hai, bas uski chudiyon ki khanak sunke mujhe kaisa lagta hai yeh main hi janta hun
Archana- varsha lagta hai yeh conf band karna padega.. na jane yeh dono kya kya bolenge
Satish- haan better close this. Otherwise main us baarish ki raat ki baat karne wala tha jab main aur varsha bhig gaye the aur car se aa rahe the. Aur kaise mujhe varsha ne car ki pichhe wali seat pe bandh ke dal diya aur khud drive karne lagi
Varsha- ab yeh conf yehi band karte hain..(gusse mein)
Media- ok bas jate jate dharmesh ji aap se yeh sawal.aap ne yeh rasta kyun chuna?
Dharmesh- well..maine chuna nahin..it was nature's decision
Media- matlab?
Dharmesh- kya aap mere is bade se pet ko dekh nahi pa rahe hain?
(The End)