ek janam to kya lage jaise koti janam bhi hain kam
puroshottam ka charit batayu,sarbottam ki katha sunayu.
manas ko he bas iye aas,phirse GURU darshan ka abhilash.
dibya sudarshan rup hain anupam manohari,is rup ke barnan pe to koti janam balihari.
dekh une lagte ho aise,manuj deha me kamdev ho jaise.
byabahar jinka ati uttam hain jan,MAN ya RAM sab charit me GURMEET mahan.
bhakta ke liye bhagwan ho jaise,mere liye GURU bhaiya hain waise.
jabtak mere dehe main sesh rahega pran,ajiban karta rahu bas GURU ka gungan.
adbhut saswata sundar bhari,inke na upama jagme koi sari.
koi bhi charit kare barnan,GURU sparshga paye jiban.
jab kiya RAM lage aise treta ke bhagwan,staya me vishnu jaise ho,narayan ke saman.
phir DEBINA sang PATI,PATNI WOH,GURU ne use bhi sampurn kiyo
ab GEET main MAN ka charit nibhaye,GURU sparsh se charit nahi MAN jiban paye
aisa andaz ,byaktityo ho bhari,bolne ka ada bhi ati manohari.
sabse sreshtha guru ki abhinay,GURU ki ho bas sada hi jay.
mujh akinchan pe bhi sneha kiya barshan
dhanya huye tan man mera,harshit huye jiban.
GURU parash se lagte to aise,pichle janam ka koi nata jaise.
mere liye GURU he bhagwan,khoon ka nehi,sneha ka nata hain mahan.