DMG - best possible ending..

Mars35913062 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Engager Level 2 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#1
Folks, after looking at the way forward of this show where RIddhima is getting more confused here is the suggested ending of the DMG season. (Please read slowly and feel her pain, if any).
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

DMG, The day starts, Sister Stella asks Dr. Siddhant about Dr. Riddhima as one of her patients is seriously ill in the ICU. He calls Riddhima on her cell phone but does not get any response, her phone is off.

Sid says "pata nahin Dr. Riddhima kahan hai" wondering where she could be.

"Tum kaisay pati ho Dr. Sid" Sister Stella questions him and Sid puts his hand on her mouth.
Dr.Armaan walks in and looks at Sid, smiles, teasing him. Sid understands and says "Iss ko nahin bolo gay ke tum mere paas zaroor wapas aaogee."

Armaan rotates his eyeballs in a funny way and says "Iss ko kyun, meri riddhima toh mere paas hai" and pats on the photograph in his pocket.

Sid then asks him "Dr. Armaan have you seen Dr. Riddhima?"

"Meray hawalay ki thi?" Armaan spurts out in his typical funny tone.

"nahin.. " Sid stammers, pauses and then decides to tell him the truth and step forwards into the camera lens so that it focuses on his mouth only "Haan main ne uss ko kaha tha ke tumhari patni bun kar rahey!!"

"Achaaa! !" Armaan is shocked to hear that but then relaxes and says "main bhi kahon ke jab Dr. Riddhima achay mood main hoti toh mujh se poochti thi ke Jaantey ho sub se bara besharam kaun hain? Main samjhta tha ke shaayad mujhay taunt kar rahi hai.Hmmmmmmmmmm.. ab samjh aaye hai" Armaan giggles.

"Dr. Armaan ye mazzak ka waqt nahin hai, Dr.Riddhima ka phone bhi off hai." Sid was serious.

"Haan uss nay mujhay kaha tha ke mujhay doosri SIM ley do, SID bahut missed calls karta hai", let me try on her number". He calls her to find that her phone is off.

"I have not seen her in the last whole week, koi chakar hai." Armaan deduces like Sherlock Holmes. "uss ke ghar chalte hain, kahin baimaar na ho?" Armaan suggests. "Laiken woh to khud Doctor hai, woh kaisay baimaar ho sakti hai " he starts to talk to himself.

"Woh rehti kahan hai?" Sid asks, ignoring Armaan's internal discussions, "Hospital ke baad toh kabhi dekha hi nahin".

They start calling Naina and she gives them the address of Raaj. "Raaj!!!!" Armaan shouts,

"Lately she was living with Raaj, deedi kehti thi Raaj abhi show par naya naya hai aur abhi sirf wohi hi hai jo meri thori bahut izzat karta hai". Naina clarifies and quickly adds"aur Falan show Mon-Fri Raat 9:30 bajay aur Falan show Mon-Fri Raat 10:00 bajay dekhna naa bhooliye ga"

Armaan and Sid rush out towards the parking stand and the scene changes to Riddhima's room.

They look around in the room. The bed was made as if no one slept there last night. Her old clothes were hanging in the closet and the artificial jewelery was lying on the dressing table. On the dressing table also lies a medium size box with label which says in bold letters "open only in the last episode". Armaan and Sid stand next to the box, Sid looks at Armaan and Armaan whispers "I guess the show has reached its end, lets open it." Sid opens the box and finds a neela duppata, golden sandals, mangalsutar and two copies of the same letter. one labeled "for Armaan" and other labelled "for Sid"

Armaan looks at the golden sandals and says "bechaari nangey paon hi gayee ho gi, saray scenes main aik hi joota tha uss ke paas"

"Choro yaar, meri maa ki jooti pehan kar gaye ho gee, fikr na karo..' says Sid, "ab khat parhtey hain, meri hindi achi hai main parhta hoon"

"zara dekhao, same to same hai ke different versions hain" Armaan jumps on his toes and tries to peep onto Sid's copy of the letter.

"Main parhta hoon tum sunn laina " Sid says "koi farq hoga to underline kar laina".

They both open their letters and Sid starts to read.

Riddhima's Last Letter. (to be read slowly in a husky female voice)

(song playing in the background ..Waqt ne kiya, kiya haseen sitam .........)

Dear Sid (jug jug jeo)
and Armaan (hi darling),

Jab tuk tumhey yeh khat mile ga, main yahan se door kisi aur achhay serial main kaam kar rahi hoon gi ya kissi achi jagga settle ho chuki hoon gi. Mujhay tum dono se koi gilla nahin hai. Gilla hai to sirf waqt se. Khas kar uss waqt se jab main nay iss show ko karney kay liye haan kahi thi. Mujhay iss waqt ne kabhi waqt per kuch nahi diya, yehan tak the show ki payments bhi. Armaan, jiss se main pyar karti thi, woh mujhay sahi waqt par marney kay liye chorr gaya aur khud world tour par chala gaya. Aur Sid, jiss se main nafrat karti thi aur jab chaha thappar mar daiti thi uss ko main ne ghalat waqt par apna pati bana liya. Aur ab jab main Sid ke saath Jeena Chahti thi, Armaan ghalat waqt par wapas aagaya, Mutlab yeh ke, waqt sahi waqt par ghalat ho jata hai aur ghalat waqt par sahi. Main KYAAA Karoon.

Ab meray galay main jiss ka mangalsutar para hai, iss ko mere bajaye apni maa ki parhi hai. Aur jiss ka nahin hai uss ko har waqt meri parhi hai. Hey bhagwaan main kiya karoon. Na main idhar ki rahi na udhar ki. Jiss ke pass rehti hoon woh kuch nahin karta, jiss ke haath nahin aati woh sub kuch karnay ko tyaar hai. Hey bhagwaan main kiya karoon Main nay doh (2) kashtiyon main paer(foot) rakha hai aur dono kashtiyon main surrakh hain. Jiss larki ki zindagi main aisi choices hi reh jaen toh woh bechari kya karey.

Sid aur Armaan, Tum dono hi bahut achay ho. Sid, please burra na manana, Armaan ke saath meri zindgai ke woh pal guzray hain jo na sirf main, balkay mujh se pehlay wali donno Riddhimaaen bhi bhula na paaengi. Armaan ke pyar ne hi mujhay jeena sikhaya. Bahut sarey dance steps bhi sikhaey hain aur main chahti hoon ke tum bhi iss se seekh lo taakey aglay serial main tumharey kaam aajaen. Armaan hi nay mujhay har doosray scene main apnay saath bheench (hug/squeeze) kar kar kay itna patla bhi kar dia hai. Armaan aik thorough gentleman hai. Laiken Armaan, jab tum mujhay chor gaye, tum nahin jaantey ke main ne har lamha kaisay guzaara. Main ne sarey ka sara ghussa Sid par uttaara, aur usko ghussay main bahut thappar marey. Armaan please meri taraf se Sid ke gaal par kissi kar do. Thanks. Phir jab mujhay pata chala ke meray saath jooth bolo gaya tha toh main ne tumhey doondhnay ki bahut koshish ki. Armaan, please bura na manana, Sid ne mera bara saath diya. Woh mere peechay peechay har jaga gaya, mujhay bus ke neechay aane se bachaya, doobnay se bachaya. Meri khaatir daakoo se churi bhi khai. Main tumharey ghar bhi gaye, wahan main ne bahut si apni cheezain dekhi jo mere kamrey se chori ho gayee thi. Main bhooki thi, chakkar aa gaya aur main girr gayee, main ne tumhey ander aatey dekha tha, uss din tum ne mujhay behosh dekh kar meri payal aur sonay ki choorian uttar li thee, kuch aur toh nahi kiya tha?? Armaan, tum ne burra toh nahin manaya, agar manaya hai toh Sid please Armaan ko hug karo, agar risk laina chahtey ho to uss ke gaal par kissi bhi kar do. Thanks. Laiken "waqt" ne phir tum se milne na diya.

Haan eik khaas baat toh reh gayee, jab mujhay hypothermia hua toh, Atul ke bacchay ke kehnay par iss Sid ne meray saray kapray uttar diye aur body heat dey kar mujhay bachaya, halaanke wahan bahut sari ghass bhi thi aur aag bhi thi. Armaan meri aik baat hamesha yaad rakhna aur issko dil main likh lo, tumhey agar kabhi zindgai main hypothermia honay wala ho toh yeh zaroor dekh laina keh kahin Sid to pass nahin hai. Agar hai to tumaharey liye marr jana behtar ho ga. Main to larki thi main nay to Rape ka ilzaam laga diya tha, tum kya kaho gay? Sid, tum ne burra to nahin manaya. Agar manaya hai to Armaan please Sid ke gaal per kissi kar do. Thanks. Sid ab bhi kehta hai ke main ne toh dekha tuk nahin tha tumhari body ki taraf, laiken agar tum Sid ki qamar par dekho toh mera wala tattoo uss nay bhi banwa liya hai. Jhoota kahin ka. Sid, please burra to nahin manaya kyun ke sacchi baat karwi hoti hai.

Armaan, please burra na manana, Sid ne meri nafraton ke bawajood mera saath diya. Sid ne mujhay achi tarah badnaam karney ke baad mere saath shaadi ke lye tyaar ho gaya taake woh mujhay acha naam de sakkay. Main marr jana chahti thi laiken woh poison ki expiry date guzar chuki thi, Sid nay mujhay bacha liya, aur ab jab main jeena chahti thi toh tum out of nowhere wapas aa gaye. Kyun? Armaan Kyun? Sid, please tum bhi poocho iss se. Thanks.

Armaan, Sid bahut hi acha baccha hai kaash utna acha pati bhi hota. Ussnay hamesha meri khusi chaahi, laiken shaadi ke baad saray pation ki tarah ab apni maa ki khushi zyada chata hai. Tum ussay pervert na samjhna, woh faislay karnay main zara kamzor hai, main sochti thi ke internship ke baad ussko kahin "Decision Making" ka course karwa doon. Woh chahata tha ke main khud faisla karoon. Thanks Sid. Armaan, tum ne Sid ko thanks karney ka burra to nahin manaya. Sid please Armaan ko gaal par kissi kar do. Thanks. Laiken woh mujh se zyada tumharey baray main sochta hai. Sid bahut acha hai, Armaan please bura na manana, uss ne kabhi mujh par pressure nahi dala, jab ke tum itni dafa mujhay dewaar ke saath buri tarah dubba chukay ho.

Humari shaadi ke baad kuch adjustment ki problems thi jiss main woh bilkul junglee bun gaya tha, laiken main ne mandir ki seerhian char kar uss ko theek kar liya. Agar uss raat ko main puray 100 dafa mandir ki seerhian charh leti to shayad aaj main uss ke bachay ki maa bhi bannay wali hoti. Armaan, please burra na manana, main yeh kehtay huay khud bhi blush kar rahi hoon, Jo main keh rahi hoon woh sub kuchh legally aur morally correct hai. Aakhir pati ka aur kya kaam hota hai.


Sid aur Armaan, tum donno please bura na manana, main aik aisay triangle ka hissa hoon jiss main donno sides meray saath juri hui hain. Main KYAAAAA karoon. Main ne inn dinon sari sari raat foreign tv shows dekhay hain ke kahin koi solution mil jaye, Three's Company bhi sara dekha, Friends dekha, Grey's Anatomy dekha, yahan tak ke Lost, Prison Break aur House MD tak dekh liya. Afsos ke mujhay Californication ki DVDs nahin mil saki. Please tum donno burra na manana, in programs to dekh kar mazaa bara aya aur thori dair ke liye mera dhyaan tum dono se hutt gaya aur meri zindagi main issi bahanay khushi aa gayee. Mujhay ghalat mutt samjhna, Khushi koi larki nahi hai buss aik feeling si hai.

Aakhir main kyaa karoon, meray CV nay meray character ka satyaa naas maar diya hai. Aur jab koi larki iss tarah se badnaam ho jae toh sirf uss ki maut hi uss ki badnaami ko dho sakti hai. Doosri taraf AR-SR Fans ka CVs par itna pressure hai ke unki samajh main nahin aa raha ke kiss ko khush karen aur kiss ko naraaz. Mujhay iss par shak hua ke kahin ye mujhay aakhir main marwaa na dain aur mashoor kar dain yeh to pehlay bhi zehar kha chuki hai, ya phir mera nervous breakdown karkay pagal na kar dain. Iss tarah SR-AR fans bhi khush rahengay ke kum-az-kum doosray ko toh nahin mili.

Ab jab main wahan nahin hoon toh mujhay khushi hai ke Sid aur Armaan tumhari dosti bahut zyada ho gayee. Aapas main pyar ke saath raho gay toh jaldi mujhay bhi bhool jao gay. You are made for each other. Woh din zyada door nahin ke same-sex marriages common ho jaengi aur main chahoongi ke mere pyaar ki nishaani ke taur par tum dono mil kar raho aur dono yeh gana gao "Mujhko ab dikhta hai, yaara main kya karoon.." aur haan, Mangalsutar uss ko mileyga jo meri jaga lay ga.

(the background music changes to a remix song with alternate lines singing "Waqt ne kiya, kya haseen situm.." and "Mujhko ab dikhta hai, yaara main kya karoon.."

Apni muhabbat ki nashaani ke taur par, main apna Neela flying duppata Armaan ko sonpti hoon aur apnay golden sandals Sid ko. Jab Armaan ko meri yaad aaye to mera neela duppatta apne sar par daal le or daydream kare, aur jab Sid bara hoga aur ussay pata chaley ga ke hum as husband and wife kitna mazaa kar saktey thay toh woh meray golden sandals apney sar par maray.

Ab chalti hoon. (train whistles in the background..)

Tum donno ki apni

Riddhima Spielberg
Head of Drama Productions,
Dreamworks,
Hollywood, CA

Tears starts to roll down the cheeks of Armaan and Sid and Armaan hugs Sid, consoling him and by mistake Armaan hand touches Sid jeans back pocket, Sid panics and runs out of the door saying "Abbey kiss ki baaton main aa gaye ho tum???"

As camera gradually pans back from the door towards Armaan and very very slowly closes up on his face and tears in his eyes and the Bee Gees songs starts playing in the background.

"I started a joke, which started the whole world crying,
But I didn't see that the joke was on me, Oh No.
I started to cry, which started the whole world laughing,
Oh, If I'd only seen, that the joke was on me.

As the titles finish the final slide "ALL BAD THINGS MUST COME TO AN END"

follows by TV ADs where Armaan, Riddhima, Sid, Yuvi and Naina are telling about the show times of other popular shows.


Created

Last reply

Replies

34

Views

4.2k

Users

29

Likes

44

Frequent Posters

Sadie.Saxton thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#2
LOL hahaaa🤣
loved it!
Julybaby22 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
#3
ROFLLL
omgg you killed me 🤣
my fav. part - Armaan please meri taraf se Sid ke gaal par kissi kar do.

☺️

hahhahaa



Edited by Julybaby22 - 15 years ago
--Nargis-- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
#4
This was hilarious...Thanks for the laugh!!🤣🤣🤣
Dhw@ni thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
#5

Hahahaa.. !! That was funny.. !

I liked the gifts part the best.. !
Armaan gets the duppatta.. And Sid gets the golden chappal.. ! 🤣
lilmzsunshine thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#6
Oh My God, I have NEVER loveed any piece of writing soooooo much.
Fabulous, Amazingly Mind Blowingly fantastic!!!
WOW!!!!
Beautiful. You should send this to the CVs ... they ought to make an epi out of this, just for yucks ...
Beautiful!!!
shara thumbnail
Posted: 15 years ago
#7
I think best ending would be if Arman get his Ridima and KW get his Jenifer. Both of AR fan and We Jeran fan will be happy.
cleopatra123 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#8
🤣🤣🤣

This is hilarious. and i loved the main KYA karoooonnnn dialogues every 10lines! this is SO riddhima.
Trust me u can be a better creative than the DMG team,

HealMeForever thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
#9

Originally posted by: Dhw@ni

Hahahaa.. !! That was funny.. !

I liked the gifts part the best.. !
Armaan gets the duppatta.. And Sid gets the golden chappal.. ! 🤣

😆😆
ssdtvgojan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#10
Hi Mars,
U r such a fabulus writer. I liked all yr posts and this one is the best of it and waiting for more writeups from u.
Instead of watching the show it is really worth to read yr post.
Keep going......👏

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".