Imagine, Armaan singing this Breathless song (Shankar Mahadevan) till he hasn't seen Riddhima...
" jaha use chaha tha,jahan main hasa tha aur bad main roya tha,
jaha use paya tha,pa k khoya tha,
jahan kabhi phulon k kaliyon k saaye the,
rangeen rangeen,
mahki rutt ne,harik kadam par raas rachaye the,
gulshan gulshan din main ujale the,
jag mag jag mag noor tha raaton main,
jhilmil jhilmil jahan maine khwabo ki dekhi thi manjil,
jahan meri kashti ne paya tha sahil,
jahan main pai thi palkon ki chhao,
jahan meri bahoon main kal thi kisi ki marmari baahen,
jahan ek chehre se hat ti nahi meri nigahen,
jahan kal narmi hi narmi thi pyar hi pyar tha baaton main,
haath the haathon main,
jahan kal gaaye the prem tarane,
jaha kal dekhe the sapne suhane
,kisi ko sunaye the dil k fasane,
jahan kal khayi thi jeene ki marne ki kasme,
todi thi dunia ki sari rasme,
jaha kal barsa tha preet ka badal,
jaahan maine thama tha koi anchal,
jaha pahli baar hua tha main pagal,
ab un rahoon main koi nahi hai,
ab hai wo rahen veeran veeran,
dil bhi jaise hairan hairan,
jaha kaha gaya mere sapno ka mela,
aise hi khyalo main khoya khoya,
ghum raha tha main kab se akela,
chamka sitara jaise koi gagan main,
gunji sadaa koi mann angan main,
Kisi ne pukara mujhe,mud k jo dekha maine,
mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe,
jise maine chaha tha,jise maine puja tha,
laut k aya hai,thoda sharminda hai,
thoda ghabraya hai,julf pareshan hai,
kampte honth aur bhigi hui ankhen hai,
dekh raha hai mujhe gumsum gumsum,
uski najar jaise puch rahi ho,
itna bata do,kahi khafa to nahi tum,
pyar jo dekha fir meri nigaho main,
agle hi pal tha wo meri in baahon main,
bhool gaya mera dil jaise har gam,
badal gaya jaise dunia ka mausam,
jhume najare aur jhumi fijaye aur jhume chaman aur jhumi hawaye,
jaise fir gaane lagi sari dishaye,
kitni haseen hai kitni suhani,
hum dono ki prem kahani!
And after he meets Riddhima he sings:
Rooh ka banjara re parinda
Chhad gaya dil ka re gharonda
Chhad gaya dil ka re gharonda todke
Re gharonda todke, gaya chhodke
Je naina karun band band
Beh jaye boond boond (2)
Tadpaye re, kyun sunaye geet malhar de
Bemalang tera iktara (8)
Itra tun basi basi, padi hai sirhane
Band darwaja dekhe lauti hai subah
Thandi hai angeethi seeli, seeli hain deewarein
Goonje takrake inme dil ki sada
Goonje hai re (2) dil ki sada (2)
Jo naina karun band band
Beh jaye boond boond (2)
Tadpaye re, kyun sunaye geet malhar de
Bemalang tera iktara (8)