Epilougue
22nd January,2007..
Raat k 2 baje hain...Mumbai ka JJ Hospital...Mukesh..Anita,Aarti,Dhiraj..sab maternity ward k baahar baith kar intezar kar rahe the..achanak hi Bani ko labour pain hua..abhi bhi waqt tha..par jo hua achanak hua.Bani so rahi thi..Jay bhi uske paas tha..in kai dino se Jay k saath theek se baat nahi ki Bani ne.Sooraj ki baaton ko lekar dono me bahut zyada tension thi..naa Bani Jay par chillai..naa Jay maafi maang saka theek se..asal me dono andar hi andar haar chuke the..
Himanshu ko issi baat ka darr tha..Bani ko woh jaanta tha..usko samajh me aa gaya tha k bahut dino tak is rishtey k bojh ko Bani seh nahi paayegi..rishta wahi kaamyab hota hai jiski buniyad sahi ho..mahez zaroorat ki wajah se bana rishta kabhi sukh nahi de sakta. Jay,pyaar me dhokha khaaya hua ek umar me bada insaan aur Bani,badkismati ki shikaar..humdardi yaa zaroorat..wajah koi bhi ho..inme rishta bana..aur wahi hua..jo hota hai aise rishton me.
Jay khada tha operation theatre k paas...Aarti ro rahi hai..pata nahi Bani ka kyaa hoga..kya woh dard jhel paayegi?Aise me Doctor ne kaha..normal delivery nahi ho sakti..kuchh complications toh pahle se hi the..ab waqt se pahle labour pain utha hai..complications aur bhi badh gaye hain..Doctor ne Jay k signature lie..consent form par..Jay ne sirf itna hi kaha ,"Doctor..I want her back..I want Bani..aur iski keemat kuchh bhi ho sakti hai..kuchh bhi.."
Jay khud ko dosh de raha hai..kyon woh Bani k kareeb gaya...kyon Bani par is rishtey ko thop dia..aur Bani se ussine bachcha maanga tha..sab kuchh mila kar Jay khud ko hi doshi maan raha hai..aisa kyon hua?Nahi hona chahie tha aisa..fir bhi hua..kasoor kiska tha?
Bani behosh thi..uski aankhon k saamne achanak se safed si ek roshni aa gayi...ek dhoondhla chehra jo yaadon k ghere me ghoom sa ho gaya tha..Paramjeet ka chehra.. jaise woh keh raha hai.."Jee lo yeh zindagi..woh zindagi jo main tumko dena chaahta tha.. jee lo..main nahi hoon,par tum ho,Bhaiya hain..tum dono ka aanewala kal,usme dher saari khushian..jis par tumhara hak hai..isko kho dogi toh mar kar bhi chain nahi paaogi..maut har baat ka hal nahi..maut kisi baat ka hal nahi..jee kar dekho Bani,ek din saare dard khushion me badal jaayenge.."
Doctor ne Jay ko bataya.."I think..we made it.."
Jay--Kyaa?
Doctor--Miracle happens Mr.Sareen..aaj saabit hua..your wife is alright..and you have a baby boy now..
*******************************
Paramjeet Sareen.Yeh woh naam hai jisne humseha Jay aur Bani ko ek rishtey me baandh dia..ek Paramjeet woh tha jo Bani ko biha kar Sareen house laaya tha..aur ek Paramjeet yeh hai..jisne Jay se Bani ka rishtey ko ek naya roop dia.Bani k dil me jo bhi hichak thi..is rishtey ko le kar,is bemaani shaadi ko lekar...woh sab door ho gaya, Paramjeet ki wajah se..uski zindagi me do Paramjeet hain..ek tha..aur abhi abhi ek aaya hai..uska Beta.. Paramjeet.
Jay bahut khush hua..naa sirf apne Bete ko dekh kar..bal k usse zyada khushi hui Bani ko theek dekh kar.Jay aaj bhi sochta hai k uska Bhai Paramjeet aaj bhi deewar ban kar khada hai Bani aur uske beech,par Bani ka chehra dekh kar lagta nahi k woh abhi abhi kis toofan se guzri hai.
Aarti,Anita ,Mukesh,Dhiraj..Himanshu..sab khush hue..sab ki zindagi me khushi aai.. Paramjeet k aane se..
Paramjeet saat maheene ka hua..July,2007..
Jay Office se lauta..dekha Paramjeet chain se so raha hai kamre me..Anita uske paas hai.. Jay ne Bani k baare me poochha..pata chala woh chhat par hai.Jay chhat ki taraf bhaaga.. jaa kar dekha..Bani kuchh jala rahi hai..Jay ne dekha Bani..woh saare khat jala rahi hai..jo Param ne likhe the Bani ko..Paramjeet aur Bani ki shaadi ka album bhi hai us aag me..
Jay chiila utha.."Kyaa kar rahi ho?"
Bani--Inko jala rahi hoon..zindagi me aage badhne k lia inko peechhe chhodna bahut zaroori hai..
Jay--Param ki yaadein thi yeh sab ..tum dono ki shaadi ki tasveeren..uski chitthian..
Bani--Jo paas hai uski yaadon ko zaroorat kya hai?Paramjeet hai humare paas..woh kahi gaya nahi hai..woh waapas aaya hai..woh kaise humse door reh sakta hai ..
Jay--Haan,sahi kaha tumne,humare rishtey ki buniad ka naam tha Paramjeet,aur humare rishtey ki wajah se Paramjeet ka wajood hai...woh kabhi jaa nahi sakta humen chhod kar.. hum teeno ..hi bane the..kahani hum teeno ki hai Bani..kisi ek ko chhod kar yeh kahani puri nahi hogi..main hi sochta tha..k yeh rishta itna adhoora kyon hai?Aaj pata chala.. kahani adhoori kyon thi?Param ka aana baaki tha..woh ho kar bhi nahi tha..woh naa ho kar bhi tha..aur woh aaj hai..humare saath..
Bani--Shaayad aaj kuchh chain sa mehsoos ho raha hai..samajh hi nahi paa rahi thi...aaj is aag me sab kuchh jala dia maine..har woh jhijhag..woh bandeesh..jo humare rishtey k aade aa rahi thi..aaj kuchh bhi nahi humare beech..
Aag ki lapet badhti jaa rahi thi..usi tapeesh me..kudrat bhi jal gaya..aur aasmaan bhi usi tapeesh me pighal gaya..aur pighal kar fir se baras ne laga..ek arse baad Jay bheeg gaya is pighlate aasmaan k neeche..Bani bhi bheeg gayi..dil me jo aag lagi thi aaj jaa kar thandi hui..Jai aur Bani..dono ko raahat mili is jalan se.
Aur Paramjeet..Anita ki goad me befikar ho kar so gaya..vaakei me Paramjeet waapas aa gaya tha..
THE END