tum nay haath tham liya jab dil lehroon k peechay doora tha
unn palon main dil sahaara mang raha tha
ek lori ki talash thi jab dil raat raat jag raha tha
tum nay meri aawaaz ko ansuna nahein kiya
tum nay mere ansuon kaa saath bhi diya
ab intezar karti hoon muskarati hoon
yaad aate ho jab pehron sochti hoon
tum nahein dikhte to khat chhorti hoon
har din tum say rishta zaroor jorti hoon
tum itne baras kahan rahay thay
tum nahein jantey mere ansoo kab say beh rahay thay
tumhare saath say hooslaa milta hai
zindagi ki tarf jaanaay ka raastaa milta hai
main is rishte koo nibhana chaahti hoon
haan ab main muskarana chaahati hoon