Anuprerna_fan thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 2 days ago
#1

Hi, it is a fanfiction regarding the story back to how the new gen Angad, Pari and Ritik came to these home...If you find it funny kindly ignore this..🙏🙏🙏


Homecoming....


So it's still celebration at Shantiniketan..

Everyone is waiting for Pari to welcome Pari and Ajay at "Pagfera" rasam...where bride comes to her home again for a visit with her husband....


Everyone is eagerly waiting to see her back.... Specially Tulsi and Mihir...it has been just 1day.. but yet it felt them years....


Pari entered the Shantiniketan...and surprisingly grabbed her mom from back....


Tulsi: Arrey!!! Tu....(Sobs)..


Pari hugged her...and they caresses each other ... everyone came from hall and sitted...


Pari: Mamma!!! ... Papa kaha hai ??


Tulsi: Tumhare papa sukkh gaye hai... tumhari yaad mein...aa rahe hai..


Pari : Mamma main naa ...do din rukne wali hoon...


Tulsi : waah!! Tere papa toh khush ho jayenge...baith tu...fresh ho le ..main breakfast le aati hu... damad ji ko bitha....


They sit and watch all of them welcoming...Angad ,and Ritik comes as well...they grab Pari from behind as they did in childhood....


Pari: Arrey kya kar Raha hai?? (She beats prankly)...uss din noyna aunty ke waha kyun nahi aaya???


Angad : Sorry!! Baba ....uss din hum dono ko delivery karne bheja tha mom ne...


Mihir comes. and hugs Pari as he missed her ..


Mihir: Kesa hai mera baccha ...do din huye nahi ...abhi hi teri kami khal rahi hai...


Pari: Dad!!! ...I miss you too...


Pari calls Tulsi...


Pari: Maa...aao naa ...Mom ..Aaj main kuch puchna chahti hoon... important hai...yeh baat...Aap sab aaiye naa...kuch der tak Kam rehne do na mom...


Tulsi: Kya hua...beta ..kya baat hai??? Bolna...


Ajay is confused as well...What she is going to ask??


Pari: Mama , Pappa ...aap dono ne mere parwarish bohot acche se ki hai...kabhi hum teeno ko ek pal ke liye bhi paraya nahi manne diya...koi kami nahi rakha...Karan bhaiya, gomxi bhaiya...harsh bhaiya sahil bhaiya yaa Shobha didi se kam nahi chaha...yeh aapka pyaar hai...par mujhe bas ek baar humara beete kal ke baare me janna hai..uss ateet ke baare mein , jisne hume yaha laya...kese hum yaha aye ?? Hume isse koi farq nahi padta trust me!! Mom ...dad...but phir bhi....


Tulsi is bit embarassed as it is too old topic...and is associated to a dark thing too ..but she decided to tell...


Tulsi : Yeh baat jaanne ke liye tumhe sirf apne yaa apne bade Bhai ke past nahi ...mere aur tumhare dad ke thode past ko jaana hoga...kyunki tum Kesar ke bacche ho....Kesar mere khud ke behan nahin thi ...main khud ek mandir ki purohit ki God liye hue bacchhi thi ... ...unka koi baccha ho nahi raha tha toh mujhe hi God le liya.....jab mujhe unhone apne paas liya tab main 2 saal ki thi... Phir kai saal tak Babuji ke saath mandir jati thi...kaam karti thi...school bhi gai ....phir main jab 12 saal ki hui toh suna ek din ki gaon mein mera ek behan aayi hai.....unka pehla baccha.....Bauji ne naam diya tha Kesar...bohot pyaari thi...Mera Khushi ka thikana nahi tha uss din..... Bache hue tiffin ke paiso se gubbare ...khilone ..mithai lai thi...par ghar aakar paya ki maa nahi rahi ...Issey janm dekar chal basi.. unhone mujhe maa ki Kami hone nahi diya.....

(She cries)...

Uss waqt Bauji Kesar ko le aaye they main aur woh bade hote rahi.... college wagera chalta raha ...main Shantiniketan ki mandir main kaam karti thi Bauji ke saath., Kesar kahi bahar padhti thi ....Sab thik thak tha......Shaadi hui Anupam sang, kaafi khush thi....par kisse pata tha ki Kesar ka bhi yahi problem hoga ..... woh bhi maa bohot der se bani..Yeh baat sunne ke baad Bauji bhi sehem gaye they....tabiyat bigadta gaya,unhe dar tha ki Kesar bhi!!!(Sobs)!! Main aur mihir unse kabhi kabhar Milne jate they par reh nahi pai unke sang!! Mere ghar bhi halat thik nahi they!!!......aaj ke din yeh sunne mein thoda ajeeb lagta hain...tum log Issey "taboo" kahoge shayad!! ...par rog ka kya?? Woh kisiko bhi lag sakta hai... Jab Gautam Sahil sab bade ho gaye they tab main 40+ ki thi aur Kesar 30 ke aas paas thi , bohot der baad uska bhi baccha aaya aur woh bhi nahi rahi maa jese...... Sabse hairat baart yeh thi ki Kesar tab tumhe mujhe saupa jab mere ghar par khud Ashanti thi .... Tum Nandini ko itna baat sunati ho, Pari....usne jo saha woh main muh se nahi keh sakti...hoth kaapte hai, pari....nahi bolna chahti.... Nandini ke saath uss hadse ke baad sab thik hote hi Karan, Nandini , Gautam Sahil aur bacche sab foreign chale gaye they... Uss haadse ko bhulane ke liye...Thik usi waqt, Kesar mujhe tumhe Jane se pehle saup gaye they ...tabhi Kesar bhi chal basi...maa ke jese...(Cries) ...mere apne bacche ek nai zindagi basane pardes chale gaye....aur tum teeno humare jeevan mein naye roshni jese aaye!!! (Caress their cheeks)...


Mihir: Aur yahi hai tumhare Shantiniketan mein aane ki kahani...ek nayi peedi ka aagaz ho tum iss Ghar ki...yaad rakhna...tum isi Ghar ki dharohar ho!!! (Pats Angad Ritik)


Everyone gets silent....!!!


All of the kids sobs inside ... Outside thunder roars....Nandini sits "numb" facing backside l in one of the chair ...(Her tears just rolled down by her cheeks).

Created

Last reply

Replies

1

Views

205

Users

2

Likes

1

Frequent Posters

NeeruNature thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 3
Posted: a day ago
#2

Wow great update it's awesome continue your story great intro

Edited by NeeruNature - a day ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".